Assalamualaikum Wa Rahamatullahi Wa Barakaatuhu…….
Ab hamne ek naya safar ilm haasil karne ka shuru kiya hai EK AYAH EK DIN MEIN aur main guzarish karti hu aap sab se ki , aap apne deen ko seekne main wahi dilchaspi aur khushgawari rakhenge jo hamesha rakte hai
Allah(swt) hum se aur aap sab se isey qubool farmaye.
Ameen
SURAH AL-IKHLAS 
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم 
INTRODUCTION AND ROMAN ENGLISH TRANSLATION 
Surah Al-Ikhlas,(maa’nae: paakizgee) yeh Qur’an ka 112 wa surah hae. Jis mein mahez chaar(4) ayatein hae. Surah Al-Ikhlas ko Surah “Tawheed” bhee kahaa jaata hae, kyun ke yeh Surah bahuth he mukhtasar andaz mein Tawheed , aor Allah (Subhaa’na wa taa’aalaa) ki ekjatee ka elaan karta hae.
NUZUL: Surah Al- Ikhlaas , Islam ke ibte’daayee ayaam mein RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) par Makkah shareef mein naazil hu’ee. Ek din Kaafir aor Mushrikeen, RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas pahunchae aor Allah (Subhaa’nawataa’aalaa) ke nasab par sawaal kiyaa. Tab Allah(Subhaa’na wa taa’aalaa) ne yeh Surah naazil farmaa’yaa.
ROMAN ENGLISH TRANSLATION
قُلۡ هُوَ اللّٰهُ اَحَدٌۚ ﴿۱
Ayat1) : Kaha do ke Woh (zaat paak jiskaa naam) Allah(Subhaa’na wa taa’aalaa) (hae) ek hae.
اللّٰهُ الصَّمَدُۚ ﴿۲
Ayat2) : Woh mabood -e- bar’haqq jo beniyaaz hae.
لَمۡ يَلِدۡ ۙ وَلَمۡ يُوۡلَدۡۙ ﴿۳
Ayat3): Na Iss’sae koyee pai’daa hu’aa aor na Woh kisi’sae pai’daa hu’aa.(yeh na kisi ka baap hae aor na kisi ka beta)
وَلَمۡ يَكُنۡ لَّهٗ كُفُوًا اَحَدٌ ﴿۴
Ayat4): Iskaa humsar nahee.
Tafseer to be continue…….