LESSON 1

sparkles SURAH AL-IKHLAS sparkles

  tulip newبِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمtulip new

ORANGE Masnad Ahmad mein hae key Mushrikeen ne RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) se kahaa ke ap’nae Rabb ke awsaaf bayaan karo, ispar yeh Surah Ikhlas naazil hu’ee.

writing-hand_270d-fe0f “Samad” ke maa’nae haen jo na toh paida huaa aor na Uskee koyee aulaad hae. Kyun ke jo paida huaa hae woh ek waqt maraega bhee aor dusrae us’kae waaris hongae. Allah (Subhaa’nawataa’aalaa) na marae, na Unn’kaa koyee waaris hae, Unn’kae jai’saa aor Unn’kae barabar koyee nahee.

ORANGE (Hadith : Bukhari Shareef) RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) ek choh’taa sa lashkar kaheen bheja, jis waqt woh wapas lau’tae toh unn’honae ne kahaa , “RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) ne hum par jisae sardar banayaa tha , woh har namaz ki qiraat ke khaat’mae ke baad
‘ قُلْ هُوَ اللَّهُ’
pad’haa kar’tae thae. Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) ne farmaa’yaa, uss sardar se pucho’ ke woh aisaa kyun kar’tae thae? Puch’nae par inn’honae bataaya ke ye surah Rahman ki sifath hae, , muj’hae iskaa padhnaa bahuth hee pasand hae. RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam ) ne farmaa’yaa inn’hae (sardar ko) kha’bar do ke Khuda bhee un’sae mohabbat rakhtaa hae.

ORANGE (Hadith: Bukhari shareef kitab- ul -Salaat)
Ek ansaari masjid-e- Quba ke imaam thae. Inkee aadat thee ke Alhamdu (Surah faateha) Khatam kar’kae , phir yeh surah (surah ikhlaas) padh’tae thae aor phir dusra surah jo bhee padh’nee hotee , padh’tae thae. Ek din jab logon ne kahaa aap surah ikhlaas padh’tae phir dusree surat padh’tae haen. Aisa kyun? Aap sirf iss hee ko padhaen ya cho’d dijiye,aor dusree surat padhaa kijiyae. Inn’honae jawaab diyaa ke maen toh jis taraah karta hun, waisaey hee karta rahungaa , tumlog cha’hae toh imaam rakho , ya kaho toh maen tumharee imaamath chohd’dun. Logon ko yeh baat bharee padee , kyun ke woh jaan’tae thae ke unn sab mein aap hee zyadah afzal hae. Ek din jab RasoolAllah (SalAllahu alaihi wa sallam) wahan tashreef laa’yae, logon ne yeh sab bayaan kiyaa. Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Ansari Imaam se puchaa, ” Tum ap’nae saathiyon ki baat kyun nahee maan’tae aor har rakat mein surah ikhlaas kyun padh’tae ho?” Woh keh’nae la’gae ,” Ya Rasool Allah! Muj’hae is surah se bahuth mohabbat hae. ”
loudly-crying-face_1f62d backhand-index-pointing-right_1f449Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne farmaa’yaa, ” iss surah ki mohabbat ne tum’hae jannath mein pahunchaa diyaa. “”

Subhan Allah

tulip newtulip newtulip newsparklessparklestulip newtulip newtulip new
Next part of tafseer to be continue…….

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s