Assalamualaikum Wa Rahamatullahi Wa Barakaatuhu…….
Ab hamne ek naya safar ilm haasil karne ka shuru kiya hai EK AYAH EK DIN MEIN aur main guzarish karti hu aap sab se ki , aap apne deen ko seekne main wahi dilchaspi aur khushgawari rakhenge jo hamesha rakte hai
Allah(swt) hum se aur aap sab se isey qubool farmaye.
Ameen
SURAH AN-NASR 
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم 
INTRODUCTION:
Surah Nasr , Juz 30 mein hae. Aor yeh Qur’an ka 110 wa surah hae.
Maa’nae:- ‘Nasr ‘ ke maa’nae ‘madad’ hae. Yeh Surah madani hae. Yeh hijrath ke baad nuzul hu’aa. Yeh naazil ho’nae waali Surat’on mein aakhri hae.
Yeh surah ke dusrae naam ,’Fateh’ bhi hae. Iss’kae 3 ayatein haen.
ROMAN ENGLISH TRANSLATION: (AYAT NUMBER:
,
,
)
AYAT 1:-
اِذَا جَآءَ نَصۡرُ اللّٰهِ وَالۡفَتۡحُۙ ﴿۱
(Jab Allah (Subhaa’na wa taa’aalaa) kee madad aa pahunchee aor fateh (haasil ho gayee).
AYAT 2:-
وَرَاَيۡتَ النَّاسَ يَدۡخُلُوۡنَ فِىۡ دِيۡنِ اللّٰهِ اَفۡوَاجًاۙ ﴿۲
(Aor Aye Nabi (SalAllahu alaihi wa sallam)! Tum’nae dekh li’yaa ke log fouj tar fouj Allah(Subhaa’na wa taa’aalaa) ke deen mein daakhil ho rahae haen.
AYAT 3 :-
فَسَبِّحۡ بِحَمۡدِ رَبِّكَ وَاسۡتَغۡفِرۡهُؔؕ اِنَّهٗ كَانَ تَوَّابًا ﴿۳
(Toh ap’nae parwardigaar kee taa’reef ke saa’th tasbeeh karo aor uss’sae magfirat ki dua maang’o. Beshaque woh badaa maaf kar’nae waa’laa hae.