SURAH AN-NASR
بسم الله الرحمن الرحيم
Dusree yeh tafseer bhee sahee hae jo Ibn Abbas (Radhiallahu anhu) aor wagairaah ne kee hae ke iss mein (Surah An-Nasr) Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) ko Aap(SalAllahu alaihi wa sallam) ke wasaayael ki khabar dee gayee ke jab Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) apnee basthi Makkah fateh kar lein , jahaan se unn Kufaar ne Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) ko nikal jaa’nae par majboor kiyaa thaa aor Aap(SalAllahu alaihi wa sallam) ap’nee aankhon se ap’nee meh’nath ka phal dekhlein ke faouj’on ki faoujein Aap(SalAllahu alaihi wa sallam) ke jamaath se mil gayae, aor islam qubool karliye, aor ab Allah (Subhaa’na wa taa’aalaa) ki taraf aa’nae aor mulaqaath kar’nae kee tayaari mein lag jaao. Samaj lo ke jo kaam humein, tumsae lenaa thaa , puraa ho chuka,. Ab aakhirath kee taraf nigaahein daalo, jahaan aapkey li’yae bahuth behethereen aor iss duniya se bahuth zyadah bhalaayi Aap’kae li’yae wahan hae. Wahan Aapkee mehmaani tayaar hae aor mujh(Allah (Subhaa’na wa taa’aalaa )) jaisaa mezbaan hae. Tum inn nishaanath ko dekhkar ba-kasarat maeree hamd wa sana karo aor taubaah aor Istaghfaar mein lagae raho.
(SAHIH AL-BUKHARI KEE HADITH) Hazrath Ayesha (Radhiallahu anha) se riwaa’yat hae kee: Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ap’nae rukuu sajdeh mein kasrath se
“سُبْحَانَكَ اَللَّهُمَّ رَبَّنَا وَبِحَمْدِ , اَللَّهُمَّ اِغْفِرْ لِي
pad’haa kartae thae.
Aor riwaa’yat hae ke Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ap’nee aakh’ree umr mein inn kalimaath ka aksar wird kar’tae thae.
سبحان الله وبحمده، أستغفر الله، وأتوب إليه”
Khuda kee zaat paak hae. Issee ke li’yae sab taa’reefein sazawaar haen. Maen Allah (Subhaa’na wa taa’aalaa) se Istaqfaar kartaa hun aor Uss’kee taraf jhuktaa hun. Aor farmaa’yaa kar’tae thae ke maerae Rabb ne muj’hae hukum dae rakhaa hae ke jab maen yeh alaa’maath dekhlun ke Makkah fateh ho gayaa aor deen-e-Islam mein fouj kee fouj daakhil ho’nae lagaen toh maen inn kalimaath ko ba kasrath kahun. Chunachae, Alhamdullilah maen yeh alaa’maath dekh chukaa, lehaaza ab iss wazifae mein mashgul hun. (MUSNAD AHMAD)
Hazrath Umm-e-Salma (Radhiallahu anha) se riwaa’yat hae ke Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ap’nee aakh’ree umr mein baithae, utt’tae, chaltae phirtae
· سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ
(SubhanAllahi wa bi Hamdihi ) padhaa kar’tae thae. Maen ne ek martaba puchaa ke Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) iss kee kyaa wajeh hae? Toh aap ne iss surah (An-Nasr) kee tilaa’wath kee aor farmaa’yaa muj’hae hukum Khuda ka hae, kisee majlees mein baitae phir woh majlees barkhaasth ho toh yeh zikr karnee chahiye. .”
(MUSNAD AHMAD) :-
Musnad Ahmad mein hae ke jab yeh surah (An-Nasr) naazil hu’ee toh Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , isae aksar ap’nae aap mein tilaa’wath kar’tae aor ruku mein theen martaba yeh padhaa’ kar’tae
سبحاناکا اللہعمو ربنا وابھمدیک اللہ یغفر لی ‘انکا’ انت توبر رحیم
(subahanaka allahumu rabana wabihamdika allah ayghafir li ‘iinaka ‘ant tawabur rahim).
Yahan Fateh se muraad hae Fateh’e- Makkah hae. Amuman Arab ke qaabiley iss muntazar thae ke agar Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ap’nee qa’oum par gaalib ho jaa’yae aor Makkah par fateh ho jaa’yae toh Aap (SalAllahu alaihi wa sallam) ke Nabi ho’nae mein zara sa bhee shuba nahee. Ab jabkae Allah (Subhaa’na wa taa’aalaa) ne ap’nae habeeb ke haath’on Makkah fateh kara diyaa toh yeh sab Islam mein aa ga’yae. Iss’kae baad do(2) saal bhi purae nahee hu’ae thae ke saara Arab Musalmaan ho ga’yaa aor har ek qaabiley mein Islam ap’nee hukumath kar’nae lagaa. Alhamdullilah!!!
MUSNAD AHMAD :- Iss mein bayaan hae ke Jaber bin Abdullah (Radhiallahu anhu) ke padosee jab ap’nae kisee safar se waapas aa’yae toh aap unn’sae mulaqaath kar’nae ke li’yae ga’yae. Woh padosee ne logon kee jhoot aor unn’kae ikhtelaafath ka haal bayaan kiyaa aor unlogon kee bad’adathon ka tazkeera kiyaa toh Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ke Sahaba kee aankhon se aansoo nikal aa’yae aor rotae rotae aap’nae farmaa’yaa ke ,” maen ne Habeeb -e-Khuda Hazrath Mohammed Mustafaa(SalAllahu alaihi wa sallam) se sunaa hae ke logo fouj ke fouj Allah (Subhaa’na wa taa’aalaa) ke Deen mein daakhil hu’ae lekin annkharib jamaathein ki jamaathein inn mein se nikal’nae bhi lag jayengey. ”
Alhamdullilah iss Surah (An-Nasr) ki tafseer mukammal hu’ee. In sha Allah hum sab agley Surah ki tafseer ki tayaari karengey.
DUA:- Aye Allah(Subhaa’na wa taa’aalaa) hamein chaltey ,phirtae, utt’tae bai’teh, har waqt teree zikr kar’nae ki taufeeq at’aa farmaa.
Hamein Seerat-ul – mustaqeem par reh’nae ki toufeeq at’aa farmaa.
Hum terae Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki sunnaton par chal’nae aor qayam reh’nae ki taufeeq at’aa farmaa.
Ameen
The Surah An-Nasr is completed.
In sha Allah, next we shall read the tafseer of Surah Al-Kaafirun.
Aap sab se guzarish hae ke aapki duaaon mein mujh’hae sor meri family ko yaad rakhae.
Allah is the best most knowing.
Next part will continue In sha Allah…….