SEERAH(BIOGRAPHY) OF PROPHET MUHAMMAD(PBUH)
LESSON:3 {IN ROMAN ENGLISH}
Assalamu ‘alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu ‘alaihi wa sallam)
LESSON 3⃣ SABAQ:
Nasab (continued)
Abdul Mutallib ke hi waqt mein Kabaáh par hamla hua tha. Jin logo ne hamla kiya tha who log the Habshi fatah(Abyssinian conqueror) Abraha aur unke log the. Quran mein jo zikar hai “haathi ke saathi” woh Abraha aur unke logo ko kaha gaya hai. “
Abraha 60,000 aadmi ko lekar kabah ko tabah karne ki niyyat se aage badne lage. Kabah ko tabah karke who log Kabah ko Church mein badalna chahte the. Abraha Muhassir ke wadiyo ke pass pohanchgaye, jo ke Muzdalifah aur mina ke beech hai, aur who sab tayar the Kabah par Hamla karne ke liye.Jaise hi woh log apne haathiyo ke saath aage badne lage, yeh haivanaat jinho ne pure Makkah ko daradiya tha, aage badne se mana kardiya.
Inn 60,000 fauj ke liye Allah(swt) ne apne paak ghar Kabah ke bachav mein chidyo ko bheja aur un hamlawar par pathar phenkne ka hokum diya. Saari fauj unn patharo se zameen par girgayi. Iss Allah(swt) ke chamatkari madad jo Kabah ko bachane ke liye Allah(swt) ne batai iske alawa aur ek baat jo sabit hui who thi taqat Abdul Mutallib ke kirdaar ki.
Abdul Mutallib , Abraha aur Abaraha ke fauj kea age khade rahe, unka Emaan Pokhta tha aur unhe yaqeen tha ke Allah(swt) zaroor apne paak ghar Kabah ki hifazat karenge. Abdul Muttalib’ ke bete Abdullah the. Aap Abdullah,Mohammad(salAllahu alaihi wa sallam) ke walid the.Woh bahuth haseen the. Abdullah ko “Dhabih” (qurbaan kiya gaya) bhi kaha jata hai Zamzam ki paani ki dobara ijaad kiye jane ke silsile mein. Jab Abdul Mutallib Ka’bah ke baaju mein purane bowdi(well) ki talaash mein khudai kar rahe the. Tab Quraysh bina kuch kiye Abudul Mutallib ko khade dek rahe the.Jaise hi woh gili mitti tak pahunche,tab woh sab zamzam ke kuan(well) ki talaashi mein shamil hona chaha aur shor karne lage.
Abdul Mutallib ne Allah(swt)se wada kiya tha ke agar woh zamzam well ki talaash karlenge tho woh apne 10 beton mein se ek beta qurbaan kardenge,Akhiri mein unhe woh kuan(well) mil gaya. Uske baad woh apne 10 beton ke naam ki chittiyan daali aur usmein Abdullah ka naam aya.Abdul Mutallib apne bete Abdullah ko Ka’bah ke paas le gaye aur qurbaani ki tayari karne lage magar Quraysh, khususan Abdullah ke bhai aur mama iske khilaaf hue. Akhirkaar yeh faisla kiya gaya ke Abdullah ke jagah 100 oont(camels) zubah kiye jayenge.Isliye Mohammad(SalAllahu alaihi wa sallam)ko “do qurbaan kiye gaye” yane ke Isma’eel alaihi salaam aur unke walid Abdullah ke aulaad mein se kaha gaya hai.
Waise hi Aap ko” do buzurgo tawaan ke liye munaqid’’ “(two elders held for ransom”)ke nasal se hai kaha jata hai. Isma’eel alahi salaam ko ek dumbe ke liye aur unke waalid Abdullah ko 100 camels ke liye. Abdullah ki shaadi Aminah jo Wahab ki beti the unse hua. Wahab ek kabile Banu Zahra ke sardar the. Shaadi ke thode din meon hi Amina hamla hue,magar bacha paida hone se pahele hi Abdullah ko unke waalid Abdul Mutallib ne karobar ke silsile mein Yathrib ya Syria ke safar pe bhej diya. Afsos ke woh Yathrib ke wapasi safar mein inteqaal kar gaye. Une Nabgha Dhabyani ke ghar mein tafneen kiya gaya. Abdullah jab inteqaal hue woh 25 saal ke the aur woh zyada milkiyath nahi chode jo bas- 5 oont(camels), chand bakriyan,aur ek gulaam jo aurat thi jiska naam Barakah Umm Aiman tha jo Mohammad(Sallahu’alaihi wa sallam)ki dayi bani.
To Be Continued…End of part:3
Sabaq 3 ke sawalaat:
Q1) Quraan pak mein jo zikr hai ” Haathi ke saathi” woh kin logo ka kaha jataa hai?
Answer: Abraha aur unke logo ko. (yeh woh log the jiss ne hathiyo ke saath Kabah par hamla kiya tha)
Q2) Kabaah ki hifazat ke liye Allah(swt) ne kya bheja?
Answer) Chidiyo ko bheja.
Q3) Muhammad(saw) ke walid ka naam kya tha?
Answer) Abdullah ibn Al Mutallib
Q4) “Abdul Mutallib ne Allah(swt)se wada kiya tha ke agar woh zamzam well ki talaash karlenge tho woh apne 10 beton mein se ek beta qurbaan kardenge” Yeh sahi hai ya galat?
Answer) Yeh Sahi hai lekin fir zubah ke din Quraysh, khususan Abdullah ke bhai aur mama iske khilaaf hue. Akhirkaar yeh faisla kiya gaya ke Abdullah ke jagah 100 oont(camels) zubah kiye jayenge.
Q5) Abdullah ibn Mutallib ka jab inteqal hua woh kitne saal ke the?
Answer) 25 saal