Sabaq 4

SEERAH(BIOGRAPHY) OF PROPHET MUAHAMMAD(PBUH)

LESSON:4 {IN ROMAN ENGLISH} LESSON 4. SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu ‘alaohi wa sallam)

 

SABAQ:- Muhammad(SalAllahu ‘alaihi wa sallam) paida hue

Foster (doodh) bhaiyyan

Haleemah Sa’diya ki dekhbhaal mein

 

Muhammad paida hue (SalAllahu ‘alaihi wa sallam) Makka ke She’eb Banu Hashim mein paida hue. Monday (peer) ki subha aur bahar ka mausam tha.Rabi’Al-Awwal ki 9 tareek thi (thode sources 12 Rabi’Al-Awwal kahethe hai).Abraha ke Ka’bha ke hamle ke 50 se 55 din ke baad paida hue.Arabic mein ‘haathi’ka matlab hai”mehsus” isliye us saal ko ‘Amm Al Feel'(the year of elephant) bhi kaha jata hai.Gregorian calander ke hisaab se yeh tareek April 22. 571 C.E hai.

 

Jab Aminah hamla the aap ne khawab dekha ke aapke niche ke hisse se roshni nikli hai aur woh roshni sare Syria ke mahalon ko roshan kar diya hai.Jab woh jajgi ke dard le rahi thi Shifa bint Amr.jo Abdur Rahmab bin Auf ki walida thi dayi ki tarah Amina ko madad kiya.Abdul Muttalib ne apne pote ki paidaish ki khabar bahuth khusi se qubul kiya.Woh apne nanhe pote ko Ka’bah lekar gaye aur Allah(swt) ke rahamaton ka shukr ada kiya. Yakeen karte hue ki unka pota age chal kar bahuth tareef ke qabil hoga unhone unhe Muhammad naam rakha jis ka matlab hai “jo tareef ke qabil hai”

Arab ke riwaaz ke mutabiq woh 7th din bache ke sir ki baal mundwaye aur khatna kareaya. Uskebaad sare Makka ke logon ko dawat diya. Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ko shuru mein aapki walida Aminah Ne doodh pilaya.uske baad unke walid ki gulaam Umm ayman ne dekhbaal kiya.Umm Ayman ek Abyssinian thi jiska asli naam Barakah tha. Woh Islaam qubul kiyaa aur Madina chale gayi jahan woh Muhammad(Sal’Allahu alaihi wa sallam)ke wafath ke 6 mahine ke baad wafath ho gayi.

FOSTER BROTHERS

Thuwaybah, jo Muhammad(Sal’Allahu alaihi wa sallam ) ke chacha Abu Lahab ki gulaam thi unhone bhi Aap Ki dekhbaal ki.Usi waqt .Thuwaybah apne khud ke bete Masrooh aur Hamzah bin Abdul Muttalib aur Abu Salamahbin Abdul Adad Makszoomi ko bhi dood pila rahe the..Isliye aap teen Muhammad(Sal’Allahu alsihi wa sallam)ke foster brothers hue kyun ke aap sab ne ek hi maa ka dood piya. HALEEMAH SADIYA ke DEKHBHAAL MEIN Yeh Makkah ka riwaaz tha ke woh apne paida hue bachon ko Bedouin auroton ki dekhbhaal mein registaan mein kuch saal ke liye chod dete the.

Unka yeh yaqeeda tha ke registaan ke khushgawar aur khamosh aur hard mahol mein unke bache mazbooth aur hard banenge. Aur iske alawa agar unke bache Bedouin Ke hathon parwarish hoge tho unhe pure Arabic Zaban sikhne milegajo pure Arab mein boli jati hai. Abdul Muttalub koi aisi hi Bedouin aurat ko dundrahe the jo unke pote ko apni dekhbhaal mein le aur unki dayi bane.

Kuch auraten Banu Sa’d bin Bajr bin Hawazen Makkah aye aur wahan ke logon ko pesh kiya. Abdul Muttalib har ek ko apne pote Muhammad (Sal’Allahu alaihi wa sallam) ki dayi ke liye pucha.magar sab ne inkaar kiya kyun ke bache ke walid ka inteqaal ho chuka tha.Unhe laga ke bina baap ke bache ki dekhbaal kare tho inhe kuch bhi inaam nahi milega. Haleemah bint Abu Dhuwayb bhi Makka ayi hui thi.Jab ke baqi saari Bedouin auraton ko bache mil chuke the lekin inhe nahi mile.

Woh Abdul Muttalib ke hathon mein nanha bacha dekha aur unpe raham kiya jo dusri auraton se tukra diye gaye the. Woh aur uske shohar ne nanhe Muhammad (Sal’Allahu alaihi wa sallam) ko apne saath registaan le gaye. Haleemah khush thi ke woh khali haath wapas nahi jaa rahi hai. Woh aur uske shohar .Harith bin Abdul Uzzah donoSa’d bin Bakr bin Hawazen ke qabile ke the.Unke aulaad bhi Muhammad(Sal’Allahu alaihi wa sallam )ke foster bhai aur bahene hue. Unke naam Abdullah, Anisa aur Judhama tha. Judhama jise shayma ke naam se jana jata hai woh bhi aap Muhammad(Sal’Allahu alaihi wa sallam ko dood pilaya.

To be continued. END OF PART 4

2 thoughts on “Sabaq 4

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s