SEERAH(BIOGRAPHY) OF PROPHET MUHAMMAD(PBUH)
SABAQ:1 {IN ROMAN ENGLISH}
Assalamu ‘alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
Nasab arab mashara(society) mein bohat zaruri lihaaz hai.
Prophet(pbuh) ek aise khandaan mein paide hue the jiske purkho(ancestry) prophet ibraheem se prophet ismaeel(a.s) ki hai.
Prophet(pbuh) ki nasab (lineage) kuch iss tarah hai:
Muhammad bin Abdullah bin Abdul Muttalib bin Hashim bin Abdu Munaf bin Qusayy bin Kilab bin Murrah bin Ka’b bin Luayy bin Ghalib bin Fihr bin Malik bin Nadir bin Kinana bin Khuzaymah bin Mudrika bin Ilyas bin Mudhr bin Nizar bin Ma’d bin Adnan
Tamam Ehle Ilm iss baat par mutafiq rakhte hain ke Adnan, Ismaeel ki nasal se the, lekin dono ke darmiyaan naslo ki tedaad aur har nasal ke naamo ke bare mein bohat ikhtelafi hai.
Prophet (pbuh) ke maa ka nam aminah hai, jo wahb bin abdu munaf bin zuhra bin kilâb ki beti thi..
Nabi Muhammad(saw) ke nanial Purkho the Kilab.. Bola jata hai je aapka asli naam Urwa ya hakim tha lekin aapko kilab kehte the kyun ki aapko kutto ke shikar karne ka shauq tha (arabic zabaan mein kutto ko Kilaab kehte hain)
Prophet’s Tribe
Prophet (pbuh) ka taluq Quraysh ke qabeele se tha. Yeh qabeela Arabia ka sab se izzedaar qabeela tha.👉🏼Darasal Quraysh muqtasar naam tha Fihr bin Malik ya fir nadir bin kinana ka. baadme apke bacho ku jana jata tha quraysh ke naam se.
Quraysh ka izzedaar ohda tha aapke jazeera numa mein. Jiss mein se ek aadmi the, jinka naam qussay tha, aapka kirdar(role) sab se zyada tha iss Qurayash qabeele ki azmath qayam karne mein.
Qusayy ka asli naam zayd tha aur aapke walid ke inteqal ke baad unke ammi syria mein Azra qabeele mein bas gaye.
Qusayy apni jawan umar mein hi makkah wapas chalegaye and woh kabaah ke mutawali(trustee) bangaye.
Kyun ke woh kabah ke mutawali the woh jab chahe jab kabah ka darwaza khol sakte the aur jiske chahe unke liye kholsakte the.
Unho ne Hajjiyo ki mezbani karne ka ek nazam khayam kiya jiss mein hajjiyo ke liye khane ki badi meqdaar mein tayyari, aur shehad, tareeq ya kishmish se banaya mashrubaat banaye jate the.
Qusayy ne ek ghar bi banaye jo kabaah ke shumaal(north) ki taraf tha aur uss ghar mein uss qabeele ke sarkari kaam hote the. Uss ghar ka naam “Dar Al Nadwah” rakha gaya tha.Qussay, Quraish ki maiyari(standard) aur raqsh se sompa gaya tha.
Uss Dar Al Nadwah mein qabeele ke sarkari kaam hote the aur shadiya bi ussi ghar mein hi hote the. Qusayy ku bht izzat di jati thi. Woh wise the, gracious the, aur sab log bina hesitation ke unki baat maante the.
ka intezam karna, unku honey, dates aur raisins etc beverages mein dena.
Qusayy ek ghar bi banaye jo kabaah ke north side pe tha & uss ghar mein uss tribe ke official activities hote the. Uss ghar ka naam “Dar Al Nadwah” rakha tha.
Uss Dar Al Nadwah mein tribe ke official activities hote the aur marriages bi uss house mein hi hote the. woh ek aqal mand, meherbaan insaan the aur sab qabeele wale unko har baat bina hichkichahat se maante the aur unki bht izzat karte the.
To be continued. …(in next blog)
Sabaq 1 ke sawalaat
Jazak Allah Khair.
LikeLike
Subhan Allah Mujhe yah bahut Saalo se Padh na the but Mujhe kahin Mila nahi the Roman English mAin shukriya jisne bhi aa website banayi our English main convert kiye bahut bahut shukriya
LikeLike