Sabaq 2

SEERAH(BIOGRAPHY) OF PROPHET MUHAMMAD(PBUH)

SABAQ:2 {IN ROMAN ENGLISH}

Assalamu ‘alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu

Prophet (pbuh) ki nasab ko Hashmi bolte hain.

Yeh naam Hashmi prophet (pbuh) ke par dada( great grandfather) ke naam se aya hai jinka naam tha Hashim. 

Hashim hujjaj karaam, jo kabah ko aye unki dekhbali karte the aur hashim ke baad woh zimedari muntaqil hogayi unke bhai Mutallib ko.Mutallib ke inteqal ke baad hashim  ke bacho ko  yeh istehqaq mila aur woh iss zimedari ku sambhalne lage.

Please do not get confused here Prophet (pbuh) ke tribe ku quraysh bolte hain & prophet (pbuh) ke lineage (nasab) ku hashmi.

Hashim ek bht izzedaar admi the aur sab unki bht  izzat karte the,unhein ek qitaab hasil  hua“Sayyed Bathaa” ka. Sayyad Batha ka matlab hai Bathaa ke haakim.

Hashim lafz ka matlab hai “aisa jo, koi cheez ku masmaar karde karde.(one who smashes something).Kyun ke woh gosh aur soup mein roti ke tukde todte aur isse dusro  mein taqseem kardete,Isliye unku sab hashim bolte the.

Quraysh ka pesha saudagar ka tha aur iss silsile mein hashim, quraysh ku karobar ke silsile mein safar ka intezam karte the jo ke ek baar yemen jane ke liye har sardi ke mausam mein aur ek bar syria jane ke liye har garmi ke mausam mein.

Hashim, quraysh ki dekhbali ke liye dono jagah (syria aur yemen) ke liye zimedar the.Surah quraysh mein Allah tala yaad dilate hai quraysh ku uss karze ke bare mein jo woh log hashim ke liye hai kyun ki hashim unlog ke karobaar karne ke liye sab intezaamat karte the.

Hashim ek baar yathrib se guzar rahe the (yathrib ko ab hum madina kehte hai) syria jane ke liye and waha unho ne shadi ki Salma bint Amr se. Salma bint Amr, jo qabeele se taluq rakhte thi uss qabeele ka naam Banu Adiy Bin Najjar tha.

Hashim thode din yathrib mein ruke and then syria ke liye rawana hogaye..Hashim ka inteqal Gaza mein hogaya.Gaza ek mashhoor jagah  hai palestine mein.

Lekin jab Hashim Syria ke liye rawana ho rahe the, jab Salma hamela the.Salma janam diye ek ladke ku jiss ke baal par white pattiyan(streaks) the. Isliye salma ne unke bete ka naam “Shayba” rakha jiska matlab hai safeed baal(grey hair).

Lekin Hashim ke kisi ke bi rishtedaar ku nahi pata tha Shayba ke janam ke bare mein.
8 saal( years) ke baad me pata chala mutallib ko ke aapke bhai Hashim ko ek beta tha. Toh  fir mutallib ne faisla liya ke woh shayba ku makkah lekar ainge.

Jab shayba makkah daaqil hue sab log yeh soche ke Shayba, mutallib ka ghulaam the aur sab log shayba ku Adbdul Mutallib bolne lage jiska matlab hai Mutallib ka ghulam
jiski wajah se shayba ka naam Abdul Mutallib se jana jata tha.

Abdul Mutallib jab bade hue toh woh dikhne mein bht khoobsorat(handsome) the and dekhte dekhte woh quraysh tribe ke qiyadat(leading figure) bangaye.
Woh quraysh ke chieftain bangaye and quraysh qabele ke  karoobar(Caravans ke zimedar the.

Abdul Mutallib bht generous the. Isliye sab log Abdul Mutallib  “the generous” bolte the.

Unka jo bi samaan bach jata toh woh zaruratmand ku baat dete aur janwaro aur parindo ku bi baatdete the.Iss face se unka aur ek naam tha jo ke
“Feeder of men in earth and of beasts & birds on the mountaintops”.

Abdul Mutallib ko zam zam ke muqaddas kuwa ko dubara khoj nikalne ka bi ayaaz(honour) mila.

Yeh zam zam ka kuwa uss waqt pe aya tha jab Ismaeel (a.s) laat mare the sukhi matti ku , jab ke aapki ammi Hajira dhund rahe the  pani ke liye. Lekin woh kaunsi jagah thi jahan se zam zam ka pani aya tha woh sab log bhulgaye the uss waqt se jab se Jurhum ka qabeela uss jagah ko dhanpdiya tha.

Ek raat Abdul Mutallib ku sapna aya tha, jis mein unhein uss jagah batai gayi jahan zam zam ka pani firse milega.Jab  woh(abdul mutallib) makkah ke bazu khodna  shuru kare toh waha se zam zam ka pani fir se behna shuru hogaya tha.

 

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s