Sabaq 6

SEERAH(BIOGRAPHY) OF PROPHET MUAHAMMAD(PBUH)

LESSON:6 {IN ROMAN ENGLISH} SEERAH OF PROPHET MUHAMMAD (sal’Allahu alaihi wa sallam)

 LESSON NO:- 6 SABAQ:-

  • Muhammad (SalAllahu alaihi wa sall) ka seena khola gaya.
  • Muhammad (SalAllahu alaihi wa sall) ka waqt apne walidayan ke saath.
  • Ek dadajaan ki mohabbat.
  • Apne chachajaan ki dekhrek mein.

⭐ MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam)KA SEENA KHOLA JANA⭐

Anas bin Malik(.RadiAllahu ‘anhu) ne bataya ke ek din jab Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) kuch bachon ke saath Haleema ke ghar ke paas khel rahe te, tab Jibreel(alaihi salaam) aye aur Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ko niche zameen per litaya. Aapne bache ka seena khola, aur aapka dil bahar nikale,aur usme se gosh ka thukda nikaal diya,aur kahe “Yeh hissa aap mein Shaytaan ka tha” Phir aapne Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ke dil ko ek sone ke kashti(tray) mein zamzam ka paani daal kar dhoya aur phir wapas seene mein rakh diya. Dusre bache bhaag the hue Haleemah ke paas gaye aur rone lage ki Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ko maar diya gaya.Jab woh wahan pahunche unhone Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ko zinda dekha, aapka chera peekha aur dara hua tha.Anas ne baad mein kaha ke woh Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ke seene par nishaan dekha jo seeya gaya tha.

MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam).KA WAQT APNI WALIDAYAN KE SAATH⭐

Is karamati khudrati hadse ke baad aap muhammad(SakAllahu alaihi wa sallam) ko wapas Makkah laya gaya,jahan aap do saal apni walidayen ki dekh rekh mein bade hue..Jab Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) 6 saal ke the aap apne dadajaan, walidayen aur Umm Ayman ke saath Yathrib ko safar ke liye nikle. Yathrib mein aapke walidayen ka khandaan rahta tha.Yahin par hi aapke walid ko bhi tafneen kiya gaya tha. Ek mahina Yathrib mein guzarne ke baad,wapas Makkah ka safar shuru kiya, magar raste mein hi Amina bimaar ho gaye aur raste mein hi inteqaal farmaye aur unhe wahin par hi tafneen kiya gaya.Aap Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) yateem ho gaye.

EK DADAJAAN KI MOHABBAT⭐

Abdul Muttalib, khud bhude ho rahe the, Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ko wapas Makkah laye.Aap ka dil dard se bhari ho gaya, aap ko apne pote ki mushkilath bardasht nahi ho rahi thi.Unke dil mein kuch aise ahsaas ho rahe the jo woh kabhi apne aulaad ke liye nahi mehsus kiya. Jab Abdul Muttallib apne dost sahaba ke saath baitha kiya karte the, tab Muhammad(SalAllahu alahi wa sallam) bhi unke baaju baitha karte the, jo koi aur ko Abdul Mutalib ki baaju kisi aur ko bait ne ki izzazat nahi thi.Woh bache ki peet sailate aur aapki har harkaten dekhte rehte. Abdul Muttalib ko pura yaqeen tha ke Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) kuch bada kaam karenge. Afsos., Abdul Muttalib ka waqt apne pote ke saath bahuth kam tha, jab aap Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) 8 saal, do mahine aur 10 din ke the aapke dadajaan ka inteqaal ho gaya.

⭐APNE CHACHAJAAN KI DEKHREKH MEIN⭐

Abdul Muttalib ke inteqaal ke baad, unke bete Abu Talib ne Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ko apni sarparasthi mein liya.Abu Talib aur Abdullah jo Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ke walid the , dono ek hi maa se paida hue the. Abu Talib ameer nahi the,magar jab unhone Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam ) ko sarparsthi mein liya unpar barkaten barasne lagi.Abu Talib ne dekha ki woh apne parivaar ko bahuth aasani se kam kharche mein sambhalne lage.

To be cont…….. END OF LESSON 6.

4 thoughts on “Sabaq 6

  1. Assalamualaikum
    Aapka waqt walidain ke sath
    In this from first second line aapuhammad has written its aap muhammad

    Like

  2. Ek dadajaan li mohabbat its ek dadajaan ki mohabbat
    And in this from last to 7th line Abdul Mutalliv its Abdul Mutallib

    Like

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s