Sabaq 7

SEERAH(BIOGRAPHY) OF PROPHET MUAHAMMAD(PBUH)

LESSON:7 {IN ROMAN ENGLISH}

 LESSON NO:- 7 SABAQ:-

  • Bahira ki chetawni
  • Jung-e-Fijar

Bahira ki chetawani

Jab Allah(swt) ke Paigamber Mohammad(SalAllahu alaihi wa sallam) 12 saal ki umr ke the . Tab aap apne chachajaan Abu Talib ke saath karobaar ke silsile mein Syria pahunche.Wahan sab log Busra ( jo Syria ka ilaqa tha, Howraan ke ilaqae jo Romanian ke the) pahunche.

Wahan woh ek rahib (monk) jiska naam Bahira tha, unse mulaqat kiya. Woh aap sab par bada meherbaan hue aur sab ka badiya isteqbaal kiya. Woh kabhi bhi kisi ko apne yahan isteqbaal nahi kartha tha aur nahi uski aadat thi. Bahira ne jald hi Paigamber(SalAllahu alaihi wa sallam ) ko pehchaan liya aur aapka haath apne haath mein lekar kahne laga “Yeh saari duniya ka sardar hai aur Khuda ka bheja hua Paigamber hai. Khuda ne inhe saari insaniyat ki rahmat ki tarah bheja hai” Aap aisa kyun kah rahe hai?” Abu Talib ne pucha. Bahira ne samjhaya:- “Jab Aap is raaste se guzre,tab saare pathar,aur jhaden sajda kiya.Yeh sab siwaye Paigamber ke kisi ko sajda nahi karte.Iske alawa maine Aap ko paigamberi ki nishaani se pehchaan liya hai jo ek sep(apple) ki tarah Aap ke kande ke narm haddi ke niche hai. Yeh baat hamare kitabon mein likha hai” Baad mein woh Abu Talib ko baaju le gaya aur azizi karne laga ki Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ko age ki safar mein na le jaye.

Woh guzarish karne laga ki bache ko wapas bhej de.Use dar lagne laga ki kahin Jews aur Romans Aap ko pehchaan na le.usse mehsus hua ke Muhammad(Sallalahu alaihi wa sallam) ko jaan ka khatra hai.Abu Talib ne Rahib ki chetawani maanli aur apne bhatije ki fikr karne lage.aur Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam ) ko wapas bhej diya. Jaise waqt guzartha gaya Muhammad(SalAllahu alsihi wa sallam) Makkah ke muashere mein ahem kirdaar ada kiya aur ahem mouqae mein shamil bhi hue, jisme se do ahem yeh hai

  • 1⚡ Jung-e-Fijar
  • 2⚡ Hilf Al Fudool

JUNG-E-FIJAR

Jab Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) 20 saal ke hue. Tab Dhul Qa’dah ke mahine mein Okaz ke mele mein jung cheed gayi. Jung karne walon mein Quraysh aur Kinana ke qabilae ek taraf aur Qays sur Ghilan ke qanilae dusri taraf.Ghamasan jung hui aur bahuth se log mare gaye. Akhiri mein apas mein sulah hua is baat pe ki jo bhi side mein zyada halaq hue woh side blood money(muafzha) le lega.Yeh jung 4 thi aur bahuth khatarnak thi un sare jung mein jo pichle theen saal mein hue.Ho sakta ke yeh akhri jung ho.Is jung ko Jung-eFijar(Arabic mein bad aqlaaqi) ya “Jung-e-gustakhana” kaha jata hai.,kyun ke yeh jung muqaddas mahine mein hui jab ke is mahine mein jung karna mana tha.Aur jung karke sab is mahine ka ehtetram nahi kiya. Quraysh ke member hone ki wajah se Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam ) ko bhi hissa lena pada. Aap ka kaam tha dushman je teer jamakarke apne chachajaan ko de dena.

To be continued…. END OF PART 7

3 thoughts on “Sabaq 7

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s