Sabaq 12

SABAQ (LESSON) No. 12
PAHELI WAHI
21 Ramadhan (August 10, 610C.E), Peer kee raat ko, suraj nikalne se thoraa hee pahele ek waaqe’e ne us shakhs kee zindagi badal dee jise Allah (Subhana watala) apne paighaam pahunchaane ke liye muntakheb kiyaa, jo aage chalke be-shumaar logon ki zindagi’yaan badal de’gaa, Unn mein se ziyaadaa tar loag abheei to paida hee naheen huve haen.
Qamari (chaand par mabnee) calender ke hisaab se us waqt Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) 40 saal, 6 mahine aur 12 din ke the, aur shamsee (suraj par mabnee) calender ke hisaab se 39 saal, 3 mahine aur 22 din ke the.
Aap ghaar (gufa) -e-Hira mein akele Allah (Subhana watala) ki ibaadat mein masruf the jaise Aap pichle do Ramadaan’on se kiyaa karte the. Aishah (Radhi Allahu Anha) jo Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) kee bahot saree baaten aur a’amaal bayaan kee haen, woh Huzoor (SalAllahu alaihi wa sallam) kee ek aam insaan se uss insaan
tak tabdeeli – jise hameshaa’h ke liye “Paighambar” ke naam se bulaayaa jaa’egaa – ke barre mein tabsaraa kartee haen.
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko pahle achce khwaabon kee shakal mein inkishaa’faat aa’ne lage jo bilkul such nikalte. Phir Aap ko tanhaa’ee pasand aa’ne lagee. Aap Ghaar (gufa)-e-Hira jaa’te aur wahaan kuchh dinn and raaten tanhaa’ee mein guzaarte. Aap wahan rahne ke liye khaane-peene kaa saamaan le jaa’te, aur jab waapas Khadeejah
(Radhi Allahu Anha) ke paas aate tab zarurat kaa saamaan ekatthaa kar’ke phir waapas ghaar (gufa) chale jaa’te. Aap kaa yeh ma’amool tab tak rahaa jab tak wahi ke farishte ke tawassat se uss ghaar (gufa) mein Aap par
Sacchaayi naazil hu’vee.
  • Uss Farishte ne Aap se kahaa “parho” (IQRA)” . Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ne jawab mein kahaa “Maen naheen par’h saktaa”.
  • Farishte ne Aap ko tab tak pakar kar jakre (dabaa’ke) rakhhaa jab tak aap aur zyaadaa bardaasht na kar sake. Farishte ne Aap ko chhor diyaa aur phir se kahaa “parho” (IQRA)”. Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ne jawab mein kahaa “Maen naheen par’h saktaa”.
  • Farishte ne Aap ko doosree martabaa tab tak pakar kar jakre (dabaa’ke) rakhhaa jab tak aap aur zyaadaa bardaasht na kar sake. Farishte ne Aap ko chhor diyaa aur phir se kahaa “parho” (IQRA)”. Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ne jawab mein kahaa “Maen naheen par’h saktaa”.
  • Farishte ne Aap ko teesree martabaa tab tak pakar kar jakre (dabaa’ke) rakhhaa jab tak aap aur zyaadaa bardaasht na kar sake. Phir Farishte ne Aap ko chhor diyaa aur kahaa “Parho, apne Rab ke naam se, Jo Khaaliq hae. Uss ne insaan ko ek lothde (clot) se banaayaa. Parho (Iqraa)! Aur tumhaaraa Rab bahut hi Kareem (Sakhee, faraakh dil) hae.”
  • Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) bahot ghabraa gaye aur Aap kaa dil zor se dharak rahaa thaa. Aap ghar waapas aaye aur Khadeeja (Radhi Allahu Anha) se kahaa “Mujhe dhaanp (urha) do! Mujhe dhaanp (udha) do (Zammiloonii! Zammiloonii!!)”.
Khadeeja (Radhi Allahu Anha) ne Aap ko urhaa’yaa aur Aap ko tassalli de’kar pur-sukoon kiyaa. Muhammad (SalAllahu alaihi wa salkam) ne ghaar ein hone waalaa saaraa qissa sunaayaa aur kahaa ke “Mujhe dar hae ke mujhe kuchh ho gayaa hae”
Khadeejah (Radhi Allahu Anha) ne jawaab mein kahaa “kabhi naheen”; “Maen Allah Subhana watala kee qasam khaa kar kahti hoon ke Allah(Subhana watala) aap ko kabhi bhi be-izzat (sharam-saar yaa zaleel yaa khuwaar) naheen karen’ge. Aap apne rishte-daaron and khaan’daan se achhe ta’alluqaat rhakte haen, kamzor aur be-sahaaron kee madad karte haen, apne mehmaan’on se faraakh- dilli kaa bartaa’o karte haen aur unn logon kee madad karte haen jo madad ke haqq-daar (yaa mustaheq) haen”
End of Lesson: 12

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s