Sabaq 19

LESSON NO: – 19

Assalamu ‘alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu

SEERAH OF PROPHET MUHAMMAD (SalAllahu ‘alaihi wa sallam)

 

  • Ibaadat aur mominon ki tarbiyat. ( continued)
  • Khule aam Islaam ki tableeq.
  • Paheli wahi Tableeq ki nizbath se.

 

IBAADAT AUR MOMINON KO TARBIYATH ( CONT)

Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) , apne mureedon ko woh ayaten jo naazil hue the , uske maane sikhaya aur Quran ki ilm se unhe behtreen zindagi guzarne ka salikha bataya.Aap unhe kufr ke ghere andhere se Imaan ki roshini mein Seedha Raasta batate hue unhe le gaye aur unhe Allah(subhana wata’ala) ki rassi ko mazboot pakadne ki takeed aur honsla diya. Haalanke Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) awaam mein khule aam tableeq nahi diye, Quraysh ko Aap ki iss sargarmiyon ke baare mein paata chal gaya. Bahuth saare momin apne naye Imaan aur mazheb ko khule aam amal kar rahe the, magar Qurayash ne inhe koi tawajju na di. Usi tarah Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ne bhi unke khudaon ki koi muqalifath nahi ki.

 

KHULE AAM ISLAM KI TABLEEQ

Theen saal ki zere zameen ki sargarmiyon ke baad, ek aisi mominon ki jamaat ubhaar kar ayi jo bhaichara, tahfun ka jazbaa liye aur dil aur dimaag mein ek hi maqsad liye tableeq karne lage aur Islam ki taraf pukaarne lage. Pure theen saal tak Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) kam aur choti jamat ko Tableeq dene mein masroof rahe . Par ab aisa waqt aagaya tha ke apne Rab ke baare mein khule aam tableeq karen. Farishte Jibra’eel (alahi salaam) ne kai aur Allah(subhana wata’ala) ke paigaam aur Wasiyath Aap tak pahunchaye taake Aap logon se mutawajju ho, unke jhooth ko kharish kar sake aur unke budhon ko nistobabuth kar sake aur unke shirk riwazon ka khatma kar sake. Aap se yeh bhi kaha gaya ki unlogon ko saath mein rakha karen jo Paigaam par yakheeda rakhte hain aur unlogon ko tark karden jo Aapki muhim ka inkaar karten hain.

PAHELI WAHI TABLEEQ KE NIZBATH “

Aur aqha karo apne qabile ko ( O! Muhmmad( SalAllahu alaihi wa sallam) ) aur apne rishtedaaron ko ” ( 26: 214) Yeh paheli ayaat thi is silsile mein naazil hui. Is ayaat ko Surah Ash-Shu’ara ( Shayaron) mein shamil kiya gaya, jo Musa ( alahi salaam) ki taluq mein hai; aap ke Paigambari ki shuru ke dinon se hokar Isra’eel Ki Bachhon ke saath aapki hijrath; aaplogon ka Fir’awn aur uske saathiyon se bachna; aur doobtha hua Fir’awn aur uske mezbaan. Is baap (chapter) mein Musa( alaihi salaam) ki zindagi ke alag alag daur( marhale) bayaan kiye gaye hain. Musa( alaihi salaam) ka Fir’awn se jaddo jahed, apne logon ko apne Allah(subhana wata’ala) ki taraf ruju karna. Iske alawa, ismein woh kissey bhi shaamil hai jisme woh log nisto nabuth hue jo Paigamberon ko sataya aur mazaak udhaya karte the jaise ke Nuuh ke log, ‘Aad, Thamuud, Ibraheem, Luut aur Ahlul-Aikah( Wood ke Saathi jo ek ped ki ibaadat kiya karte the jiska naam Aikah tha) Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ko upaar ka diya hua hukum milne ke baad Aap ne apne khareebi rishtedaar , Banu Hashim ka qabila aur kuch Banu Muttalib ke logon ko ikkata(jamaa) kiya. Jamat ko kitaab karte hue, pahele Aap ne Allah( swt) ki shaan aur azmaath ki tareef ki aur Allah(swt) ki wahed ek hone ki gawahi di. Phir unse kahne lage: ” Main Allah(swt) ka bheja hua paigamber hun, aur mujhe khususan aap sab ke liye aur saari insaaniyath ke liye bheja gaya. Main Allah(subhana wata’ala) ki khasam khakar kahta hun ke aap sab usi tarah inteqaal farmaoge jaise ke aap har raat sote ho, aur aap sab usi tarah zinda kardiye jaoge jaise ke aap har subha neend se jaagthe ho. Iske mundar zail , aap ka hisaab liya jayega aur aapke ache amaal ka hisaab ache se aur bure amaal ka hisaab bure se kiya jayega.

 

“END  OF PART 19.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s