Assalamualaikum warehmatullahi wabarakatuhu
SABAQ (LESSON) No. 15
- Pukaar (Da’awaa) ke daur aur darje;
- Mission (maqsad) kee Shuroo’waat (yaa aa’ghaaz);
- Pahele momin
PUKAAR (DA’AWAA) KE DAUR AUR DARJE
Muhammad (Sallallahu Alaihi wasallam ) ke (Islam ke da’awe) kaa daur doh (2) mar’halon (hisson) mein taqseem kiyaa
jaa saktaa hae (1. Mak’kaa, aur 2. Madina).
1.Makkah kar daur phir mazeed teen (3) manzilon (hisson) mein taqseem kiyaa jaa saktaa hae:
a.Mak’kaa kaa daur: lag bhag (taqreeban)13 saal.
b.Khufiyaa da’awaah (Pukaar) kaa daur: 3 saal
c.Makkah mein a’alaan’iyaa (khule aa’m) da’awaah (Pukaar) ka daur: Paighambari haasil karne ke 4th
saal se taqri’ban das’ween (10th) saal ke aakhir tak. Mak’kaah se baahar Islam kaa da’awe (pukaar)
kaa daur das’wen (10th.) saal ke aakhir se shuru’ ho kar Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ke
Madine kee hijrath karne tak rahaa.
2.Madine kaa daur: poore das 10 saal tak rahaa. Iss daur ke darje hum aa’ge ke sabaqon (lessons) mein
bayaan ho’gaa.
THE MISSION(MAQSAD) KI SHUROO’WAAT (YAA AGHAAZ)
Muhammad (SalAllahu alsihi wa sallam) ne apne naboo’at aur paighambari ke faraa’ez pooree itaa’at (yaa sabit
qadmee) se qabool kar liye . Aap (SalAllahu alsihi wa sallam) ne apne Parwar-degaar (Allah Subhana watala) ke
ahkaa’maat ko madd-e-nazar rakhte hu’ve apne ghar waalon ko Allah (Subhana watala) kee ibaadat karne kee da’awat
dee.
Musalmaan who loag the jin’hon ne apne aap ko Allah (Subhana watala) ke hawaale (supurd) kar diyaa (ya’anee apne
aap ko maghloob kar ilyaa), aur unn kaa mazhab (deen) Islam thaa, jo ek Aman kaa mazhab hae. Lekin Muhammad
( SalAllahu alaihi wa sallam) ke hum-watan bahot sakhth loag the jo apne mas’ale talwaar kee naok se hal karne ke
aa’dee the.
Woh butt-parasti ko iss liye wafaa’daari rakhte (chimta’e hu’ve) the kyoon ke unn ke aa’baa wa aj’daad kaa bhee ye
hee ma’amool thaa jo (hazrat) Ibraheem aur (hazrat) Isma’eel ke tau-heed (ek Khudaa kee ibaa’dat kar’naa) ke raaste
se bahot dur jaa (bahek) chuke the. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) unn kee mukhaa-lifat (dushmani) ko mehsoos
karte hu’ve Aap pahle apne qareebi logon ko khaamo’shee se (chhupaa kar) Islam ke baare mein sikhhaane la’ge yeh
woh loag the jinn ke dill such qabool kar’ne ke liya khhule (aa’maadaa) the. o . rte the, jo woh jaante the ki inke dil
sacchayi ki taraf khulenge.
PAHELE MOMIN
Khadeejah (Radhi Allahu Anha), Abu Bakr (Radhi Allahu Anhu), Ali (Radhi Allahu Anhu), aur Zayd (Radhi Allahu Anhu),
ne uss hee din Islam qabaolkat li’yaa jiss dinn Surah Al-Muddassir kee shuru’ kee aayaten naazil hu’veen.
Iss ke baare mein hum ag’le sabaq mein parhen’ge In Shaa Allah.