Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌻
🌻SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚LESSON NO: 105 1⃣0⃣5⃣📚
✨SABAQ:-
🔸Banu Al-Mustaliq ya Muraysi’ ka muhim
✨BANU AL-MUSTALIQ YA MURAYSI’ KA MUHIM ✨
🌻Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne jitne bhi muhim bheje the ,usmein se woh muhim.jo 5 ya 6 A.H Sha’ban ke mahine mein, Banu Al-Mustaliq ke khilaaf muhim.ki thi, woh Islami Tareeq mein sabse zyadah ahem maani jaati hai. Banu Khuzaa ka ek qabila,.jiska Muslims se dostana talukhaath tha, Banu Al-Mustaliq jo Quraysh se apna wabasta dur kar liya .aur tayaari kar rahe the,.Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) par hamla karne ki.
🌻Baridah bin Khusayb(R.A) ko tehqeeq karne ke liye bheja gaya aur woh wapas Madinah aakar yeh khabar ki.sach hone ki poshidgi ki. Phir ek baar , waqt aa gaya tha, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko Madinah ko kisi aur ke haath mein supurd karne ka. Kuch log ka kehna hai ke woh Zayd bin Harith (R.A) the jise zimmedari di gayi thi. Aur Aap dushman par chadaav ke liye nikal gaye. Saath sau (700) foujiyon ke saath , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Banu Al-Mustaliq ko hairaan kar diya, jo Qudayd ke sarhad par, ek chasme Muraysi ke kinarey apne kheemey daaley hue the.
🌻Kuch log maarey gaye, unke auraton aur bacchon ko gher liya gaya, aur unke jaydaad aur bhed ko khabze mein le liya gaya. Yeh amal do raatein chalta raha. Qaidiyon/ bandhiyon mein Juwayriyah, ameer Harith bin Darar ki beti bhi thi. Woh Madinah mein Islam qubool kiya, aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , unhe azaad kiya aur phir unse nikaah farmaaye. Juwayriyah ke ehteraam, mein , jisko “Umm-ul -Momineen” ka darja ata hua, , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) se nikaah karne ke baad, Banu Al-Mustaliq ke ek sau(100) khandan ko riha kar diya gaya.
🌻Yeh saare log Islam qubbol kiye, aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke Sahabiyon ne inhe riha kardiya , yeh kahkar ke , woh sab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke rishteydaar hai , is nikaah ki wajeh se. Is tarah Juwayriyah , apne logon ke liye khush kismati lekar aaye. Jaise ke muhim ki baat ho, woh muhim jo Banu Al-Mustaliq ke khilaaf thi, khabile-e-zikr , apni fouji ehmiyath ke liye nahi hai, balki is ki wajeh se hai ki woh do entehaahi ranj ka bais aur dardnaak waqiyaath ko nazar pesh kiya, jo Muslim jamaath aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke dilon ko hila kar rakh diya.
🌻Jab Muslims , Muraysi mein , chashmey ke paas the, Ansaar mein se ek shaks ,ek Muhaajir se jhadap gaya. Ansaari bahuth buri tarah se mara gaya aur dusrey Ansaar ko apni madad ke liye bulaya, jabki Muhaajir bhi Muhaajireen ko awaaz lagaayi . Log jo aaye , woh apne aapko hissaon mein tarteeb kar liya , apne apne asli muqam ke buniyaad par–Makkah aur Madinah.
🌻Jaise hi awaaz aayi, “Aye Ansaar!” “Aye Muhajireen!” , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) pehchaan liye ki , Muslims ke bhaicharey ke darmiyaan , ghero (group) bandi ka ganda chehra jagah le liya hai. Aur Aap in ke beech four an sakhalin diya aur kaha,” Main abhi aap log ke darmiyaan mein maujuud hundreds, ” “Main Jahalath ke daur ke awaaz ein suni hai. Inhe khatam karo, kyun ke woh jhooth/bekaar hai.”
🌻Nadeem ho kar, do jamaath hat gaye aur wapas bhaicharey aur etehaad ki raha par aa gaye aur Ek ho gaye. Is beech ,.Munafiqeen ki jamaath se , zyadah tadaad mein log is muhim mein maujuud the, kyun ke unke sardar , Abdullah bin Ubayy the. Chashmey ke paas ka yeh waqiyaath , ek maukha (hila) ban gaya tha, shararath karne ka aur buraayi ka sabab banane ka. Unhone Ansaar se muqatib hokar kehne lage.
👉🏻” Unlog (Muhajireen ) ki himmat kaise hui ki woh hamare khilaaf khade rehne ki jurrat ki? Yahan hum hamare hi watan mein hai aur woh Yahan aaye aur koshish kar rahe hai , humko peechey karne ki. Khuda ki kasam, yeh us khadim khawath ki tarah hai: Kutte ko khana khilaao , aur woh tumhe hi katega. Main Khuda ki kasam khakar kehta hun ke jab hum Madinah lautenge, khabile-e-zikr aur ala log , nakhabil logon ko bhaga denge. “
🌻Khabile-e-zikr log ka matlab , woh apne aap ko keh raha tha, jab ki nakhabil , uske nazron mein , jo bhagane ke layaq the , woh Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ) the. Aur aage apne logon ko nasihath deté hue kehne laga:
👉🏻 ” Yeh musibath tum log ne apne aap khud hi laayi hai. Tumlog ne unhe , apne watan mein basne diya aur apni jaydaad unlog se takseem ki. Khuda ki kasam, agar aaplog peechey ho jaate aur itne hamdard na hote, yeh yaqeenan tha ke woh log kahin dusri jagah chale jaate. ”
🌻Abdullah ko apna zaher ugalte sunkar, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam )ke ek jawan saathi, Zayd bin Arqam ( R.A) ne fauran yeh baat , Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam ) ke pesh e nazar le aayi. Abdullah bin Ubayy ko bulaya gaya aur uske talakh tanqeed ke barey mein pucha , jo woh kasam khakar, inkaar karne laga, kasam khane laga ki Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam ) ko galath etelah di gayi.
🌻Uske herpench ke alfaaz , usey, us maukhe par bacha liya , lekin Surah Al-Munaafiqoon naazil hone ke baad uski sacchayi saamne pesh aayi, aur Abdullah bin Ubayy ka naam Roz-e-Qayamath tak bahuth hi zillath se liya jayega. Tanzia taur par , Abdullah ka beta, jo yehi apne waalid ke naam se jana jaata tha, bahuth hi imaanwala aur sacchayi Muslim the, apne waalid ki is harkathon ki wajeh se bé chain ho gaye. Woh seedha Madinah rawana hue, fouji daste ke pahunchne se pahele aur apne waalid ke raaste mein ja kar unhe rokne ke liye tayar tehre.
🌻Jaise hi apne waalid ka saamna hua, woh kehne lage:
👉🏻”Allah (swt ) ki kasam, jab tak Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam ) izzazath nahi deté, tumhe ek inch bhi aage badne nahi diya jayega, Aap bahuth hi izzatwale hai aur tum zillath wale. ” Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam ) ne Abdullah se kaha ke woh apne waalid ko Madinah mein daakhil hone de. Aur apni izzat khaak mein mil jaate ke baad, Abdullah bin Ubayy , ab zor se koshish mein lag gaya, aman aur chain ko khatam karne ke liye.
👉🏻Do shaks ke darmiyaan chashmey ke paas, jo ek maamuli naitefaaqi hui thi, woh aage chalkar do jamaathon ke darmiyaan , aur baat bete ke darmiyaan, phut daaley ka sabab ho chuka, lekin is had se ke baad , yeh saath hua ki, bhaicharey ka raaste sirf sacchayi aur imaandaari se hi hokar nikalta hai.
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
END OF LESSON NO: 105
NEXT LESSON TO B CONTINUED.