SABAQ 103

Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌷
SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam)
LESSON NO 1⃣0⃣3⃣📚
SABAQ:-
🔸Banu Quraydha ki jung (continued)
🔸Abu Rafi Sallam Bin  Abul Huqayq maare gaye.
✨BANU QURAYDHA KI JUNG ✨ (Continued)
🌷Banu Quraydha ke kuch logon ne maghloob(supurd ) hone se pahele hi Islam qubool kar liya tha aur  woh saza se bach gaye.  Jung juyi mein haasil hone wali maal ganimath  thi 1500 talwaarein, 300 zara, 2000  nayza, 500 dhaley aur zyadah tadaad mein maal,  bartanein aur bhedein.  Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne phir ek-paancva hissa (1/5) khajuur ke pedh aur dusri maghloob mein se khud rakha aur Aapne baaqi sab maal ganimath , apne sipayion mein takseem kardi– pairon par hamla karnewale sipayion ko ek hissa aur shehsawaar foujiyon(ghudsawaar) ko theen hissey -ek hissa fouji ko aur do hissey uske ghode ke liye takseem kiya. 
🌷 Qaidiyon ko Najd , rawana kar diya gaya aur unke badle  hathyaar   le liya. Lekin ,  Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Rayhana bint Zayd bin Amr bin Khanafah ko apne liye chun liya tha. Yeh kaha jata hai ki , Aap  unhe azaad karne ke baad  unse nikaah kiya.  Woh Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke Alvidah  Hajj ke baad inteqaal farmaayi. 
🌷Jab Muslims, Banu Quraydah  se faariq ho chuke , tab Sa’d bin Mu’adh (R.A) , Allah(swt) ke sacchey bandey ke dua ka jawab diya gaya.  Woh, Masjid-e-Nabawi ke paas , ek kheemey mein rah rahe the , taake  Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) unke paas aaye aur unki saheth ke baarey mein puchey. Ek din , ek bakri unpar jhapat padi aur unke zakhm par maara , jissey se dobara khoon bahne laga. Sa’d (R.A) , uski wajeh se inteqaal farmaaye. Kaha jaata hai ki., unke janaze ko farishton ne uthaya. 
🌷 Abu Lubaba, jo apne aap ko Masjid-e-Nabawi mein qaid kar liya tha, Banu Quraydha ko unke kismat aur halaath ka  isharah karne ke sabab  se. Woh apne aap ko  , sutoon se baandh liya tha aur aise  hi cheh(6) raatein guzaari. Unki biwi, unhe namaz ke waqt khol deti , aur phir baad mein woh apne aapko sutoon se baandh lete. Phir , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko Abu Lubaba ke talluq se ayah naazil hui, jab Aap Umm Salamah ke ghar par the. 
🌷Allah(swt) ne naazil farmaya ki Woh, Abu Lubaba ko maaf kar chuke hai. Log , Abu Lubaba ki taraf daud lagaayi aur unhe yeh khush khabri sunaayi aur unhe kholne ki koshish ki, lekin unhone logon ko kholne se mana kardiya, yeh kehte hue ki, koi aur nahi , balki sirf Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) khud karenge. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , jab Fajr ki namaz ke liye tashreef laaye, Aap ne unhe khol diya  aur is tarah  yahan ke waqiyaath khatam hue. 
🌷Banu Quraydha ke jung ke baad, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne anginath  muhim kiye , aman aur sukoon mazbuth karne ke liye aur Aap  fateh bhi haasil kiye. Aap ke kuch ala fouji muhimaath ka zikr , aage ke hisson mein bayaan kiya gaya hai. 
✨ABU RAFI SALLAM BIN ABUL HUQAYQ MAARE GAYE ✨
🌷Abu Rafi , Hijaz ke ek ameer Yahudi karobaari shaks the, jo Khaybar mein bas gaye the. Yeh ahem kirdaar ada kiye the   Muslims ke khilaaf athaad ko tarteeb deyne mein. Jaise hi athaad ka khatra kam hone laga aur Banu Quraydha ko talwaar ke saamne laya gaya, toh yeh tay kiya gaya ki Abu Rafi ko bina tafsheesh kiye chodna , khatre se khaali nahi hai.  Aus qabile ke Muslims ne , Ka’b bin Ashraf ko maar diya aur Muslims ke khilaaf , ek bade khatrey ko dur kiya. 
🌷 Inki kaamyaabi ,  biradari  mein bahuth sarahi gayi.  Ab Khazraj qabila chahta tha ki woh Abu Rafi ko khamosh karne ka kaam supurd karey, aur 5 Hijri , Dhul Hijjah mein,  unmein se paanch(5) shaks tayaar hue , is muhim ko mukammal karne ke liye. Abu Rafi ka mahal/Qila , Khaybar ke sarhad par muntaqim tha.  Khazraj ke aadmi   Abdullah bin Atik(R.A)  ke rehnumayi mein wahan gurub-e-aftaab pahunchey. Abdullah (R.A) ne apne aadmiyon se , khareeb mein intezaar karne ko kaha aur khud hi qile ke darwaze par ja pahunchey. 
🌷Woh wahan par aram se ja baite , jaise ke woh wahin ke rehnewale ho. Chaukidaar ne unhe dekha aur kaha , “Aye , Allah ke bandey, wapas andar aa jaao. Mujhe ab darwaza band karna hai. ” Abdullah (R.A) ko toh dusri dawath ki zarurath hi nahi thi.  Woh jaldi hukum baja laye aur andar daakhil hokar , apne aap ko chupa liya. Aadhi raat ke waqt, unhone darwaze ke chabiyon ko churaya aur darwaza khula rakha , taake woh asaani se bach nikle. Phir unhone, Abu Rafi ke kamrey ki taraf bade. Woh khayal rakhne lage ki , jo darwaze se woh guzar karey , usey achi tarah bandh karey. 
🌷 Kamrey ka andhera aur usmein majuud logon ki neend , Abu Rafi ki maujudgi ka suraag nahi de paa rahi  thi. “Abu Rafi” , kahkar Abdullah ne narm awaaz  se  pukara. “Kaun hai wahan par?”Abu Rafi ne pucha. Abdullah ,  us awaaz  ki taraf aage bade  aur talwaar se Abu Rafi par hamla kiya, zakhmi kar paye lekin unhe qatal nahi kar paaye. Abu Rafi dard ki wajeh se cheekhney lage. Bina darey, Abdullah kamrey se bahar nikle aur phir do- bara andar daakhil hue , ghar ke numainde ki tarah bartaaw karte hue. 
🌷Apni awaaz ko tabdeel karte hue , woh aaye aur puchne lage, “Abu Rafi, yeh awaaz kaisi thi?” ” Tumhari maa ka bheda garakh ho! Koi mujhe abhi talwaar se maar kar gaya hai,” Abu Rafi ne gussey aur dard se pukara. Abdullah unke paas pahuncha aur phir ek baar waar kiya, lekin waar zyadah khatarnaak nahi tha. Phir unhone talwaar , Abu Rafi ke pet mein ghusaya aur khoon bhete hue zakhmi halath mein chod kar nikal gaya. Woh darwazon ko ek ke baad ek  kholte hue  bahar aa gaya. Chand chamak raha tha  lekin dundlaayi nazar ki wajeh se , Abdullah apna khadam galath dala aur apne pair ko zakhmi karliya. 
🌷Apne pagdi ko pair ke eteraaf baandh liya, woh jakar mahal ke darwaaze ki chaanv mein tabtak baita , jab subah , ek shaks  e qile ke dewaar par chadkar pukaarne laga, “Main Abu Rafi , Hijaz ke taajir/saudagar ,  ke inteqaal ka elaan karta hun.” Muhim   mukammal hui, aur mutmayeen hokar, Abdullah apne saathiyon ke paas laut gaye. Khair se phir Madinah pahunchkar , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko saari khabar bataayi, Aapne , Abdullah (R.A) ka zakhmi pair dekha aur us par haath phera aur zakhm  theek hogaya. Yeh ek nishaan tha ki ek aur zakhm gayab ho gaya, aur ek aur dushman khatam ya gayab ho gaya. 
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
END OF LESSON NO: 103.
NEXT LESSON TO BE CONTINUED……

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s