SABAQ 102

🌻Assalamu ‘alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌻
🌻SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam)
📚LESSON NO: 1⃣0⃣2⃣📚
🌻SABAQ:-
🔸Banu Quraydha ki Jung
✨BANU QURAYDHA KI JUNG ✨
🌻 Jung-e-Trench  se wapas lautne ke baad, jaisi hi Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam), Umm Salamah(R.A) ke ghar par gusul ki tayari karne lage, Jibra’eel(alahi salaam) naazil hue. Aap ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko etelah di ke woh aur dusre farishton ko bheja gaya , taake woh Banu Quraydha ko dara sake aur unlogon ke mahalon mein hulchul /khauf naazil karey.
🌻Jibra’eel (alaihi salaam) ki khabar sunkar, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam), ne bahar ek elaan karwaane lagaye ki , jo bhi unke saathi hai  , ‘Asr ki Namaz’ Banu Quraydha mein padhega. Yeh waqt tha ke Muslims bhi khudrati kaarnama dekhe aur ussey sukoon paaye. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) riyasath ke saare kaamkaach aur masail Ibn Umm Maktoom (R.A) ke supurd kiye aur Ali(R.A.) ki cammmandari mein apne jamaath ke saath nikal pade.
🌻Banu Quraydha ne unki taraf badte hue Muslims ko dekha aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) par taane kasne lage. Baaqi ke Muslims bhi fouran tayarion mein lag gaye , taake woh bhi foujidaste se jaa mile, lekin Asr ki aamad ki wajeh se  peechey rah gaye. Woh sab ibadat ke liye ruk gaye aur Banu Quraydha pahunchne se peechey rah gaye. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , Muhaajireen aur Ansaar ke saath nikal pade aur Ana, Banu Quraydha ka ek mashhoor kuan/well ,  ke paas ruk gaye.
🌻Jaise ke hona tha, Muslims ke wahan pahunchne se pahele , Allah (swt) ne Banu Quraydha ke dilon mein dar aur khauf paida kardiya/daal diya gaya. Woh log apne aapko apne mahalon/qilon  mein bandh kar liya, taake unhe Muslims jaanbaaz foujion ka saamna na karna pade, jo unpar chadaav karne ke liye tayaar the.  Yahudiyon ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko khabar bheji ki , woh Abu Lababa se mashwarah karna chahte hai, jise unke paas bheja gaya , aham mazakarath kaar ki tarah bheja gaya. Unhe , apni taraf aate hue dekh, aadmi unki taraf daudne lage jabke auratein aur bacchey phut phut kar rone lage.
🌻Unlog ke aansu aur pukare sunkar  Abu Lubaba ka dil hila diya. Wohlog unse kehne lage,
👉🏻” Kya tum yeh sahi maante ho ke hum Muhammad ke saamne jhuk jaaye?”
👉🏻”Haan”, Abu Lubaba ne jawab diya,aur phir unhone apni gardan ki taraf ishara kiya, is baat ka ishara karte hue ki ,   warna sab log maare jayenge. Fouran unhe ehsaas hua ki woh Allah(swt) aur Uske Paigamber ko dhoka de rahe ,  , apne isharon ke zariye dushman ko khabar de kar.
🌻Woh wahan se fouran rawana ho gaye, seedhe Masjid-e-Nabawi  pahunchey aur apne aapko wahan ek pillar se baand liya, kasam khate hue ki, unhe sirf Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) hi kholenge. Jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko is baat ka pata chala , toh Aapne ne kaha,
👉🏻” Agar woh mere paas chale aate , toh main Allah(swt) se unke liye maafi maang leta. Kyun ke woh khud ko qaid kar liya hai, apni marzi se, main unhe usi halath  mein chod deta hun, jab tak ke Allah(swt) khud hi unki kismat ka faisla na  karey. “
🌻Itna lamba khabza, Banu Quraydha ko mayuus kar diya tha. Pacchis (25) din guzar gaye, aur akhirkaar unlogon ne apne aapko Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke saamne supurd ho gaye. Aap ne aadmiyon ko qaid kiya aur auraton ko alag rakha. Aus ke log ,  Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) se apne purane saathiyon par usi tarah  rahem karne ke liye kaha, jaise ke Aap ne Banu Qaynuqa ke saath kiya tha. Hoshiyaari se, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne qaidiyon ke kismat ka  faisla , apne aap akele karne ke ikthiyaar ko taal diya.
🌻Aap ne Aus ke logon se pucha, ” Kya aap log, aap mein se kisi panch (Faislakarnewala) ko muqarar kar sakte ho?” Unlogon ne hami bhari, aur unki khushi ke liye , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne unke sardar , Sa’d bin Mu’adh ko qazi/panch muqarar kiya. Zakhm, jo Sa’d ko Jung -e- Trench mein lagi thi, unhe Madinah mein hi rukne ko majboor kar diya tha. Unhe , Muslim kheemon ki taraf talab kiya gaya, aur jaise hi woh utne lage, toh Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne logon se kaha, ” Unki madad karne ke liye utho.”
🌻Log bade hi farmabardari se Aap ki baat suni aur Sa’d ko madad karne ke liye uth khade hue. Sab , unke aas paas jama hue aur ek saath hokar kehne lage, “Sa’d , apne saathiyon ke saath rahem se pesh aayiye.” Sa’d ne koi jawab nahi diya. Jab log apni guzarish ko zor se israar karne lage, unhone ne kaha, ‘ yeb waqt aisa hai   jab Sa’d unki badnaami ke baare mein bilkul nahi sochega, jo Allah(swt) ki badnaami karte hai.”
🌻Sa’d ke alfaaz , zorse is  baat ka izhaar karte hai ki   woh logon ki guzarish ka inkar karte hai. Unko samaj aa gaya ki, unlogon par koi rahem nahi kiya jayega, aur kuch log , Madinah wapas aaye aur qaidiyon ke inteqaal ki khabar elaan kardi. Jab Sa’d ko utara gaya, aur unhe kaha gaya ki Banu Quraydha ne ikhraar  kiya ki woh unke hukum ko qubool karlenge, toh aapne apna faisla sunaya– aadmiyon ko qatal kiya jayega ,auraton aur bacchon ko qaidi banaya jayega aur jo kuch milkiyath haasil hui hai woh Muslims mein takseem kiya jayega.
🌻Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne tazkara kiya,
👉🏻’Jo faisla aapne jaari kiya  unlog par, woh faisla Allah (Swt) ne saath aasmanon mein jaari kiya hai. Yeh faisla   Yahudiyon ke khanoon ke mutabiq bhi durusth hai; sach yeh hai ki, yeh Yahudi khanoon ke muqable, zyadah rahem wala zahir hota hai.”
🌻Sa’d ke faisale ko.amal karte hue ,  Banu Quraydha ko Madinah laya gaya. Unhe  ek  aurat ke ghar mein qaid kiya gaya, Jo Banu Najjar se talluq rakti  thi–aur jo Harith ki beti thi. Madinah ke bazar ke ilaaqhe mein gaddey khodey gaye, aur qaidiyon ko jamaathon mein laya gaya aur in gaddon mein unke sir kaatkar halaaq kiya gaya. Kuch zariyon ka kehna hai ki woh log ki tadaad 400 thi, jabke dusre batate hai ki tadaad 600 aur  700 ke darmiyaan mein thi. Sirf ek hi aurat ja qatl kiya gaya. Usne Khalaad bin Suwayd (R.A) par chaaki(ata pisne ka pathar) phenk kar,   unhe  maar diya tha.
🌻Inlog ke saath saath, Huyayy bin Akhtab, Banu Nadir qabile ka sardar bhi maara gaya.  Woh , un bees (20) Yahudi sardaron mein se ek tha, jo Quraysh aur Banu Ghatfan ke darmiyaan muhaaydah karane mein  shaamil tha. Yeh wahi tha, jo Banu Quraydha ko , Muslims ke khilaaf apna muhaaydah rad karne ko kaha, unse madadkarne ki  aur unke saath jo bhi ho  ,  uska barabar shareeq hone ki kasam khaayi thi. Woh unke saath tab bhi tha, jab unhone hamla kiya aur tab bhi jab woh giraftaar hue  aur akhir mein unke saath maara bhi gaya.
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
END OF LESSON 102…….
TO BE CONTINUED………..

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s