SABAQ 101

🌷Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌷
🌷SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚LESSON NO:-1⃣0⃣1⃣📚
✨SABAQ:-
🔸Ahadnama barkhasth hua aur jung ruk gayi.
✨AHADNAMA BARKHASTH HUA AUR JUNG RUK/KHATAM HO GAYI. ✨
🌷 Is waqt par, jab jung hona muqarar dikh raha tha, Nu’aym bin Mas’ood Ashaja’i,
Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas aaye. Woh Qabile Ghatfan se talluq rakte the aur dono Quraysh aur Yahudiyon se ghera rishta rakha karte the. Unhone khulasa kiya
👉🏻”Aye Allah(swt) ke Paigamber! Maine Islam qubool kiya hai aur mere logon ko abhi tak is baat ki eatelah nahi hai. Aapka kya hukum hai? ” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha,
👉🏻” Tum akele ho. Tum kya kar sakte ho? Lekin, unhe alag alag kar sakte ho toh kariye, kyun jung kuch bhi nahi hai, ek mansuba hai.”
🌷Nu’aym ne Aap ki baat ko amal karte hue, Banu Quraydha ke paas chale gaye, jo unka baizzat estekhbaal kiya. Inhone , unlogon se kaha, 👉🏻”Aap sab bahuth achi tarah  jaante ho , main aap logon ka kitna ehtraam karta hun. Ab main aap log se kuch kahta hun ,  jo aaplog ko raaz mein rakhni hogi. “Unlogon ne aapki baat maanli. Nu’aym ne  phir  kaha:
👉🏻”Aap sab ko bahuth achi tarah pata hai, Banu Qaynuqa aur Banu Nadir ke saath kya hua tha. Ab aaplog Quraysh aur Ghatfan ki madad ke liye khade rah rahe ho. Unlog ki halath , aap log se alag hai. Yeh tumlog ki sarhad hai , jahan aaplog ke auratein, bacchey , zameen  aur jaydaad hai. Aaplog kahin aur ja nahi sakte, jabke aaplog ke saathiyon ki sarhad, zameen aur jaydaad aur gharbaar kahin dur hai. Agar unhe maukha mila toh harkath karenge, warna , woh apne apne jagah wapas laut jayenge , aaplog ko Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam) ke rahem par chodkar, aur woh apne marzi se aaplog se badla lenge.”
🌷Shaque ke beech unlogon  mein daalne ke baad , Nu’aym , Quraysh se mulaqaath karne gaye. Phir saare sardaaron se muqaatib ho kar , kahna shuru kiya:
👉🏻” Aaplog ko pata hai ki main aap sabka khairkhaw (bhalaayi sochnewala) hun.” Sab ne us baat ka ek saath ikhraar kiya. Nu’aym kahna shuru kiye: ” Ab main aaplog se kuch kahnewala hun, lekin is baat ko raaz mein rakhna hoga.”
👉🏻” Aap jaisa kahenge , hum waise hi karenge,” sab ne ek saath jawab diya.
🌷  Nu’aym ne kaha,” Yahudi , apna ahad  jo unhone kiya tha, thodkar pashtah rahe hai. Unhe dar hai ke aaplog wapas laut jaaoge, unhe Muhammad (SalAllahu alaihi wa saalam) ke rahem par chodkar. Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ki khush karne ke liye , unlogon ne,  aaplogon ko bandhi banakar Unhe pesh karne ka wada kiya hai. Aaplog hoshiyaar rahiyega aur kisi ko bandhi banakar unhe mat dijiye agar woh aaplog ko aisa karne ko kahe toh.”
🌷Phir Nu’aym ne Ghatfan ko bhi bula bheja , isi mansube ke saath. Inka mansuba kaam kar gaya, in saare logo mein , apas mein shaque paida karne mein. Jab Abu Sufyan ne Banu Quraydha ko khabar bheji ke   woh agle din saath milkar hamla karenge, usko thanda jawab mila. Quraydha ne jawab diya,
👉🏻”Aaj haftah /saturday hai, aur hum jung nahi kar sakte. Hum par musibatein toot padi thi, jab hamne Sabbath ke ehkaamon ko thoda tha. Dusri baat yeh hai ke, hum tumlog ke saath milkar jung karne ko tayaar honge, agar tumlog kuch bandakh (qaidiyon) ko bhej dete ho toh. Ho sakta hai , aaplog log hamein majboor banakar   besahara chodkar wapas  laut jayenge.”
🌷 Is baat par, Quraysh aur Ghatfan ne kaha,” Khuda ki kasam  Nu’aym sahi the.” Quraysh ne   Quraydha ko khabar bheji ke , woh kisi ko bandakh bana kar nahi bhejenge aur unse guzarish ki ke woh jung ke liye tayaar rahe. Is baat par Banu Quraydha ka member kahne laga ki , ” Nu’aym  ne sacch kaha tha. ” Is tarah yeh logon ka ahad tark ho gaya aur  apas mein alag ho gaye.
🌷 Is beech , Muslims aane wale khatre  ke waqt mein, apne aapko Ibadat mein guzara,
🙌 “Aye Allah (swt) , hamein sahara de aur hamein har khatre se mehfuz farma,” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne apne Rab ko pukara.
🙌”Aye Allah(swt) ,Al-Kitaab ko naazil karnewale, Aur fouran hisabkitaab lenewale, dushman ko khatam kar. Aye Allah(swt)  , unhe zabardast jhatka de.”
🌷Muslims ki ibadat ke jawab mein , Allah(swt) ne khatrnaak toofan  aur farishton ki fouj ko dushman taqat ke khilaaf bheja. Unke bartan palatne lage aur unke kheemein ukhadne lage. Aur unke saare cheezein , unke kheemon ke bahar udkar girne lagi. Kadake ki sardi bhi unke housle ko pasth karne lagi. Mayus aur majboor hokar , woh peechey hatne ki tayari karne lage. Us raat , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam)ne Hudhayfah (R.A) ko jaankaari lane ke liye bheja.
🌷Hudhayfah (R.A)  ne dushman ke kheemon ke andar tak pahunchey aur wapas laute, toofan aur thand se beasar hokar. Dushmanon ki wapas rawaangi ki khabar se Muslims mutmayeen hue ,Aur woh sone chale gaye. Dusre din subha , unhone maidan-e-jung ko veerana paya. Dushmani jamaath , Shawwal , 5 A.H., ko jama hue the  aur pura ek lamba mahina , Muslims ne ek ghamasaan hamle ke khauf mein guzara. Dhul Qa’dah ka mahina tha, jis mein dushman jamath , aakhirkaar chat gaye.
🌷Yeh , unlog ki sabse badi koshish thi Madinah ko khabza karneki aur Muslims ko  maar giraane ki, lekin Allah(swt) ne unke mansube saare nakaamyaab kar diye. Bade bade jung joyi, jaise Quraysh aur Banu Ghatfan ki shikasth dekhkar, khudarti taur par chote dushman qabile , apne aap sabaq seekh liye. Woh Muslims par hamla karne se dar gaye, aur Madinah aakhirkaar mehfuz ho gaya. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne apne logon ko yeh elaan kiya:
👉🏻” Ab hum unpar hamla kar sakte hai aur woh hum par nahi karenge. Hamari fouj ab se unlogon par chadaav karege. “
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
END OF LESSON: 101
NEXT LESSON TO BE CONTINUED …………..

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s