SABAQ 100

🌸Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌸
🌸SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚LESSON NO:-1⃣0⃣0⃣📚
✨SABAQ:-
🔸Trench(Khandaq) ke eteraaf (continued)
🔸Banu Quraydha ki dhokebaazi.
✨TRENCH (KHANDAQ) KE ETERAAF (CONT…) ✨
🌸 Quraysh ke paas koi dusra raasta nahi tha , Madinah par hamla karna ke liye. Har subah , woh bahar aate aur khandaqon ko paar karne ki koshish karte jabke Muslims , sarhad ke har kone par pehra dete aur unlogon ka theeron aur patharon se isteqbaal  karte. Mushrikeen ne bahuth saare koshishein kiye khandaq ko paar karne ke aur aise hi kayi din koshish mein guzaar diye, hamla karne ke  naye mansube banane mein.
🌸Muslims, apne jagah par date rahe unlogon ki himmat pasth karne mein aur maidan chodne ke bhagane mein. Woh apne sarhodon ki hifazath karne mein is tarah date rahe ke,Rasool  (SalAllahu alaihi wa sallam) aur Aapke kuch Sahabiyon ko apni  kayi Namazein  chodne padi aur woh saare
, aakhri prahar mein ya phir suraj doobne  ke baad ,ada  kiya karte the.  “Salaah Al-Khauf”(  dar ke waqt ki Namaz) , us waqt  Muslims par muqarar nahi ki gayi thi.
🌸Aakhirkaar, ek din Mushrikeen ki ek jamaath jismein Amr bin Abdu Wudd, Ikrama bin Abi Jahl, Dharar bin Khattab aur kuch aur log shaamil the, kaamyaab hue  kisi patli  jagah se khandaq
 ko paar paar karne mein, jabke unke ghode khandaq aur Pahad-e-Sal’a ke beech phase rahe.Dusri taraf se Ali.(R.A) , kuch Muslims ke saath unpar jhapat pade aur ,  khandaq ke us patli jagah par khabza karliya , taake Mushrikeen us jagah se bachke na ja paaye. Amr bin Abdu Wudd , jo ek berahem aur bahadur jungjor tha  Ali (R.A) ko jung ke liye chunauti diya.
🌸Ali (R.A) ne Amr ke gusse ko apne taanon se aur uskaya, aur woh apne ghode par sawaar hogaya. Do bahadur ek dusre se ladne lage, ek dusre ko maarne, zor lagane aur girana lage, lekin aakhri mein Ali (R.A) ne Amr ko talwaar ki nok par le aaye. Baaqi ke Mushrikeen , darkar wapas apne ghodon par sawaar ho gaye. Woh itne ghabraaye hue the ki , Ikrama bhaagte bhaate apna nayzah  chod diya, aur Naufal bin Abdullah , khandaq mein gir gaya aur Muslims unhe maarkar  mauth  de di.
🌸Is jhadap ke aakhri mein, dus(10) mushrikeen aur cheh(6) Muslims maare gaye. Ek theer jaakar Sa’d bin Mu’adh( R.A) ko ja lagi  aur aapki naas behad kuchle gaye , lekin  chamatkaar se aap is zakhm se ubhar aaye. Unhone Allah(swt) se dua ki , unke jaan ki hifazath karey , agar unhe Quraysh ke khilaaf , is dhokebaazi jung ko abhi ladna baakhi hai. Aapki dusri dua yeh thi ki , Allah(swt) unhe Banu Quraydha ki barbaadi dekne ke liye zinda rakhe, aur hum yeh dekh sakte hai ki , aapki dua qubool  hui.
✨BANU QURAYDHA KI DHOKEBAAZI ✨
🌸Uhud -e- Jung ke baad , Banu Quraydha ka yahudi qabila, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke saath ek samjhauthe mein shaamil hue. Lekin, Jung-e- Trench (khandaq) ke beech mein, Huyay bin Akhtab,Banu Nadir qabile ke sardar, ne Ka’b bin- Asad , Banu Quraydha ke sardar se mulaqath ki aur yeh ahad ko khatam karne ko kaha. Shuru  mein  thodi hichkichahat ke baad ,unlog ne yeh ahad ko thoda aur Quraysh aur Mushrikeen ki taraf ho gaye.
🌸Banu Quraydha ka khabzah , Madinah ke junub ki taraf tha, jahan par Muslims ne qilabandi kar rakha tha aur jahan unlog ne apne bacchey aur auraton ko hifazath mein choda tha, jab ki mard saare shumaal ki taraf ekkata hue the. Banu Quraydha, ke ahad ke khilaaf jaane ke baad , Muslim auratein aur bachhey khatre mein aa gaye. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne fouran Muslima bin Aslam (R.A) ko 200 aadmi ke saath aur Zayd bin Harith (R.A) ko aur 300 aadmi ke saath , Muslim auraton aur bacchon ki hifazath karne ke liye rawana kar diya.
🌸 Iske alawa, Sa’d bin Mu’adh(R.A) aur Sa’d bin Ubada (R.A) ko unlogon ke peechey bheja, taake wahan ka jaayezah le. Rasool (Sal Allahu alaihi wa sallam) ke Numainde(safiron ) ne dekha ki Yahudi , khule aam mukhalifath kar rahe the. Banu Quraydha ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko badnaam karte hue kaha ,
👉🏻” Kaun hai Khuda ka Rasool? Humne Muhammad ke saath koi ahad nahi kiya hai.”
🌸Dono safiron ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , ko wahan ka saara haal theen alfaaz mein bayaan kiya, ” Adal aur Qara,” yeh ishaara karte hue ki Adal aur Qara qabile ki Raj’i ke paas ki dhokebaazi , dobara Banu Quraydha ne dohraayi hai. Muslims bahuth mayoos aur pareshan ho gaye apne is gair mehfuzi ke liye. Is maukhe par bhi munafiqeen ne apne haath utha liye, kuch toh kanaphusi karne lage,
👉🏻”Muhammad ne humse wada kiya tha ki , hum toh Caesar  aur Chosroes ka khazana haasil karenge,  aur yahan dekhon hum kis musibath mein aa gire, aur hamein mehfuz nahi lag raha hai bahar baitul khala jaane ke liye bhi. “
🌸Unlogon mein se dusre pukaarne lage,
👉🏻” Jo wada Allah(swt).aur Uske Paigamber ne humse kiya tha , Woh kuch bhi nahi hai , sirf dikhawa hai.” Kuch toh Muslims par chillane lage,
👉🏻”Aye Yathrib ke logon, tum ab yahan ruk nahi sakte ho, wapas chale jaao!” Munafiqeen ki dusri jamaath , wahan se bhaag jaane ki sochkar  , Rasool (SalAllahu alaihi wa  sallam) ke paas aaye , aur wapas lautne ki izzazath puchi, azizi karte hue ki unke ghar gair mehfuz hai.)(.hifazath mein nahi hai.).
🌸 Jab Banu Quraydha ke dhokebaazi ki khabar Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam ke paas pahunchi, toh Aap apna sir aur chehra , ek kapde ke tukde se dhak liya aur thodi der ke liye let gaye, shayad saare maamle ka jayzah le rahe the. Jab Aap uthey ,  toh Muslims ke liye  khushkhabri  thi. Haalanke Aapne do jamaathon ko Zayd aur Muslima ke sarparasthi mein toh rawana kar chuke the, auraton aur bacchon ki hifazath ke liye, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne gaour (sochte hue)  karte hue , Uyaina bin Hisn ko apne ahad ko dobara tajdeed karne ke liye khabar bheji.
🌸Aap Madinah ke mewon (phalon/fruits) ka ek thihaayi (1/3) hissa dene ke liye tayaar ho gaye , agar Uyaina , Banu Ghatfan ke saath peechey khadam hata liye agar toh. Sa’d bin Mu’adh (R.A) aur Sa’d bin Ubadah (R.A) , Ansaar qabile ke do bade sardaron ne ,  apne dushmanon ke saath kisi bhi tarah ke  samjhaute ki muqalifath(inkaar) ki, yeh kahte hue ki,
👉🏻” Jab hum dono , woh aur hum budhparasthi karte the, woh humse anaj ke ek tukda ki bhi umeed nahi karte the. Aaj, jab Allah(swt) ne hamein Islam diya aur hum par izzat bakshi, Aap ke zariye, Kya humse umeed ki jaa sakti hai ke hum hamara maal unhe de? Allah(swt) ki kasam, hum unhe sirf hamari talwarein de sakte hai.” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko inki bahez munasib lagi aur Aap ne unhe khabar bhejne ka khayal tark kar diya.
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
END OF LESSON NO: 100…..
TO BE CONTINUED………

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s