SABAQ 99

🍁Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🍁
🍁SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO:- 9⃣9⃣ 📚
🍁SABAQ:-
🔸Khandaqon ki khudaayi(continued)
🔸 Khandaqon ke eteraaf
✨KHANDAQON KI KHUDAAYI (CONT..) ✨
🍁Ek maukhe par, Jabir bin Abdullah (R.A) ko
bardashth nahi hua , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko bhook ki wajeh se takleef hote hye.  Toh aap ne ek mada bhed ko zuba kiya, aur aapki biwi ne 2 1/2 kilo barley ka ata peesa. Phir aap Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas pahunchey aur Aap ku aur kuch Sahabiyon ko.dawath di. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne dawath qubool ki, lekin Aap ne sab ko saath le aaye- pure ek hazar log the.
🍁 Har shaks ne pet bhar ke khaya,magar ek bartan mein abhi bhi bacha tha, aur roti bina rukawat ke , bina nigrani kiye seki jaa rahi thi. Usi tarah , ek baar Nu’man bin Bashir (R.A) ki bahen ne mutti bhar khajur , apne waled aur mamujaan ke liye dene lagi. Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) ne woh khajur haath mein leliye aur ek chadar par phaila diye. Phir Aap ne apne logon ko , jo khandaqon ki khudaayi kar rahe the bulaya. Har ek shaks ne pet bhar ke khajur khaaye aur chalegaye, lekin khajur dugna hote gaye , utne jitne chadar (kapde) mein sama sakte the.
🍁Mitti jo woh sab khod rahe the, patherwali aur sakth thi. Jabir(R.A) aur unke saathi jamaathwale, ek aise patherwali jagah par aakar khodne ke kaam mein atak gaye, unlogon ke kayi koshish karne ke baad bhi nakaamyaab rahe. Yeh masla Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke nazar pesh kiya gaya aur Aap ne jaise hi us pather ko  apne sabbal se  mara toh woh churchur hokar reth ka dher hogaya. Dusre mushkilaath Allah(swt) ke rahem se asaan ho gaye.
🌷Bara’a (R.A) aur unki jamaath  ke kaam karte waqt  bhi  ek bada pather rukawat bangaya. Rasool (SalAllahu alaihi wa salkam) jhuke aur apna sabbal haath mein lene se pahele Bismillah kaha. Pather ka ek tukdah dheela hokar , usmein se  roshni phekte hue nikal aaya. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha,
👉🏻” Allahu Akbar! Syria ki chabiyan mujhe dedi gayi, aur abhi main wahan ka laal khila(mahal ) dekh sakta hun.”
🌷Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) dusri baar apne sabbal se mara aur Aap ko wahi aayi , Persia ke upar beinteha jeet ki; aakhri waar ishara deta hai Yemen par  fateh ka. Is tarah pura pathar ko nikaal diya gaya, har ek waar , Muslims ko umeed ki taraf lejata.
✨KHANDAQON KE ETERAAF ✨
🌷Jab ke Muslims bachaav par zyadah tawajju de rahe the, Quraysh aur uske maannewale , apni fouj lekar aa pahunchey jis mein  4000 fouji, 300 ghode aur 1000 unt the. Abu Sufyan bade hi shaan se  apne halifon ki jamaath ko lekar sippey salaar ke muqaam par aage bada aur unka parcham Uthman bin Talha Abdari sambhaale hue tha. Woh Jarf aur Zaghaba je darmiyaan ek jagah  par apne kheeme daale.
🌷Agle sarhad ke ibdedaayi par, Banu Ghatfan aur unke 6000 pairokaaron (followers) , Najd ke log, Pahad-e-Uhud ke neechi damanon mein , Naqmi wadi ke aakhir mein apne kheemein taynaat kiye . Do bade fouji jamaathon ki Madinah ki deewaron ke paas maujuudgi, Muslims ke liye bahuth bada khatra pesh aa raha tha. Allah(swt) , Surah Al-Ahzaab mein is zabardast fouji mail (mile jamaath) ka zikr kiya hai.
📖” Hoshkaro! Jab kaafir tum par aaye, tumhare upar se aur tumhare neechey se, aur jabke tihtak kar rah gaye nigaahen , aur dil galon ke paas aa gaye. Aur tum Allah (swt) par tarah tarah ke gumaan karne lage ( ummeed wa aas ke) . Woh jagah thi ke Muslims ki jaanch hui aur khoob sakhthi se jhinjode gaye. “📌(33: 10-11)
🌷Lekin Allah (swt) , imaanwalon ko , us maukhe par mazbooti par rakha. Woh farmata hai:
📖” Aur jab Muslims ne kaafiron ke lashkar dekhe, bole yeh hai woh jo hamein wada diya tha Allah(swt) aur Uske Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne, aur sach farmaya Allah(swt) aur Uske Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne. Aur Issey bada , inka imaan aur Allah(swt) ki raaza par raazi hona. ” 📌 ( 33: 22)
🌷Behrehaal, Munafiqeen jo Muslims ke darmiyaan maujuud the, darte aur shikayath karne lage. Woh kahne lage:
📖 ” Allah(swt) aur Uske Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne hamein wada nahi kiya par faraeb kiya.” 📌 (33: 12)
🌷Phir ek baar,  Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Ibn Umm Maktoom (R.A) ko Madinah ka nigraan muqarar kiya aur auraton aur bacchon ko bhejdiya , jakar khilon(mahalon)  mein panah lene ke liye. Aap , apne 3000 aadmiyon ko lekar rawana hue aur Apni fouj ko taynaath kiya, unke peet Pahad-e-Sal’a ki taraf ruju karte hue. Saamne khandaq maujuud the, kaafiron aur Muslims ke darmiyaan.  Magroor Mushrikeen , Madinah aur Muslims ki taraf aage badne lage.
🌷Jaise woh pahunchne lage, unke nazarein Khandaqon  par padi aur woh pareshaan hokar ruk gaye. “Ek umdah tarkeeb, ek chalak jaal!” Abu Sufyan in hairaan hokar kaha. ” Aisi tarkeeb , Arab ke logon ko bilkul pata nahi thi.”Gusse mein aag babula hokar , Mushrikeen nikal pade , ek aise kone ki talash nein , jahan  se woh khandaqon ko paar kar sakte the, lekin Muslim theerandaz unhe dur karte gaye. Mushrikeen  par theeron ki baarish hone lagi , jiski wajeh se woh na toh aage bad pa  rahe the aur naa hi khandaqon ko mitti se bhar pa rahe the.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
END OF LESSON NO: 99…..
TO BE CONTINUED……….

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s