SABAQ 98

🌷Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌷
🌷SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO :- 9⃣8⃣ 📚
✨SABAQ:-
🔸Badr ke paas taqarar (mulaqaath)
🔸Jung – e-Trench
🔸Trench ki khudaayi
✨BADR KE PAAS TAQARAR (MULAQAATH)/APPOINTMENT ✨
🌷Abu Sufyan ne Uhud ko yeh ahad karte hue choda tha ki woh , aane wale saal mein dobara fouji hamla karega, aur  4 hijri mein,  mahine Shaban ke shuru hote hi , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) dushman se mukhalif(muqabila)  haasil karne ke liye , maidan-e-jung ki taraf aage bade. Aap Badr ke paas kheeme.in daalein, jahan Aap aat(8) din tak Abu Sufyan ka intezaar kiya. Aap ke paas 1500 foujiyon ki tadaad aur  10 (dus) ghode maujuud the.
🌷Ali bin Abu Talib (R.A) parcham pakde hue the., jab ki Madinah ki saari intezamaath ki zimmedaari Abdullah bin Rawaha (R.A) ko sonp di gayi. Abu Sufyan bhi nikal pada apni 2000 foujiyon ki fouj ko lekar, jismein 50 haathisawaar the, lekin shuru se hi uske paas josh ki kami nazar aa rahi thi. Muqaam par pahunch kar , usney apne logon se kaha,
👉🏻” Jung tab  hi sahi aur waajib  dikti hai , jab charon taraf taazgi aur haryaali ho, taake jaanwar usmein char sake aur hamein  unka doodh milta. Lekin ab , jabke har jagah sukha pada hai  main wapas jana chahta hun. Aur aap sab meri  pairwee  kariye.”
🌷 Lagraha tha ki  Abu Sufyan ki saari fouj , uske yeh sonch se raazi the, aur paaltu bankar ,,bina dushman se mulaqaath kiye , woh wapas jaane lage. Is beech, Muslims Badr mein hi ruke hue the aur apne kayi karobaari lenden kiye. Woh apna maal baechey aur acha khasa munafa kamaya. Quraysh bina ek talwaar chalaaye, wapas laut gaye, toh Muslims , apni fouj lekar wapas pahunchey , jise
Bahuth zyadah izzatafzaahi haasil hui.
🌷Usi saal, Rabi’ Al Awwal ke mahine mein, Rasool (Sal Allahu alaihi wa sallam) ne , Dumal Al Jandal ke paas , kuch daakuon ke ghero par sazawar hamle ka agaaz kiya. Akhir kaar saare dushman halaaq ho gaye, aur pure saal tak wahan aman aur sukoon raha, ek aisa  saal , jismein Rasool
(SalAllahu alaihi wa sallam) ne Islam ko mazbooth banane mein aur Apne Sahabiyon ko seekhane mein guzaari.
✨  JUNG -E- TRENCH ✨
      (JUNG -E- KHANDAQ)
🌷Banu Nadir ke khilaaf muhim  ke baad aur Quraysh ka Badr se azizana tareekhe se laut jaane ke , ek dedh saal (ek saal aur aadha saal) bina kisi rukawatein aur musibatein ke guzra. Aisa malum hota tha ke Muslims azaad ho gaye, apne Deen ko phailaane ke liye aur apne mahol aur rozmada ki zindagiyon mein tabdeeliyan laane ke liye , lekin yeh sukoon jald hi muntashar ( dusturb) ho gayi. Jalaa watan (desh se bahar kiye) hue Yahudiyon ne apna muqaam Khaybar bana liya , aur aisa ho jaane je baad , ab woh badla lene ke khwaab dekhne lage.
🌷Yeh ehsaas karne ke baad ke, unhe jitni ho sake utni insaani taqat jama karna hai,unlog dusron ke saath haath milakar , Muslims ke khilaaf  unlogon ki madad haasil karne mein lag gaye. Kuch sawaney(biographers) ka kahna hai ke bees(20) qabile ke sardaar aur Khaybar ke Yahudiyon ke sardaar milkar Quraysh ke paas pahunchey , unke support ka ahad karte hue ki woh fouji muhim ko dobara tayaar kare. Jab Quraysh raazi ho gaye,Yahudi jamaath ne Banu Ghatfan se raabta kiya, aur unlogon ne bhi haami bhardi. Zyadah se zyadah qabile jama hote gaye, aur mansuba yeh bana ki , har ek jamaath  ek saath Madinah ki taraf hamla karne ke liye ruk karega.
✨TRENCH KI KHUDAAYI✨
       (KHANDAQON KI KHUDAAYI)
🌷Jab  sab qabilon ke ekkata hone ki khabar Madinah pahunchi, Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) ne Apne Sahabiyon se muntaqib hue aur mansubon ke masle par baatcheeth ki. Muslims jo tadaad mein kaafi kam the, yeh zaruri  tha ke woh ek mazbooth bachaav ki tarkeeb banaye. Salman Al-Farsi (R.A) ne , Muslims ko yeh maushwarah diya ki woh trench ( khandaqon) ki khudaayi karenge, apne dushmanon ko dur rakhne ke liye, aur sabne aapke maushwareh  ko maan liya.
🌷Madinah , mashreeki,  magreebi aur junubi sarhadon par khudrati sarhadein se ghera hua tha, jaise ki Granite ke pahadi, aur  jwala (aatish fishaani) maidanein . Yeh shahar sirf  shumaali sarhadon se  khula hua tha, jahan se dushmani taqatein , apne hamlein shuru kar sakte the. Isliye , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne us sarhad ko mehfuz karne ki sochi. Aapne , masheeek se lekar magreeb tak ki sarhadon ke beech , ek patli lambi nishaani lakheer kheenchi, jo lagbhag ek mile ki duri ko pura karta tha.
🌷Dono petiyon(sarhad ki lakeeron)  ko ek dusre se khandaqein khodkar judaya. Magreeb mein, khandaq  Sal’a pahadiyon ke shumaali  ruk se shuru hokar.,  mashreeki  Shaykhayn ke sarhodin se jaa juda. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne apne logon ko dus(10) ke chote chote tukdiyon mein takseem kiya aur unhe zameen ki  chaalis haath andar tak khodne ki zimmedaari di. Aap khud bhi is kaam mein shaamil the, khandaqein khodna aur matti dhokar le jana. Yeh ek bada aur jamaath mein kaam karne ka marhala tha, aur Muslims ne bade hi khushnuma andaaz mein kaam mukammal kiya.
🌷Unlogon ka josh buland tha , kyun ki unhe Allah(swt) par pura bharosa tha, aur unlogon ki Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) kj taraf mohabbat. Sahabi saare , Allah(swt) ki hamd karne lage, aur Aap unlogon ke saath shaamil ho gaye. Jab Aap hamd gaate the, Sahabi uska jawab dete the. Aap sab ne us musibat aur mushkil zimmedaari ko , bade hi bahaduri se nibhaayi, jabke, aap logon ke saamne kayi musibatein  pesh aayi, khususan, kadaake ki sardi aur tez bhook.
🌷Mutti bhar barley haasil hoti , jise baasi, badbudaar charbi mein daal kar pakaya jata. Is khane ko nigalna hi sabse badi chunauthi thi. Ek baar , kuch log, shiddath bhook ki shikayat lekar Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas pahunchey. Sabooth ki taur par , har ek ne apne peton par pathar baandhe hue the, bhook ki aag ko bardashth karne  ke liye. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne apna shirt uthaya. Aapke pet ko do patherein baandhe hue the.
🌷 Mushrikeen ne, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki ruhaani fitrat ko tasdeeq karne ke liye, gayebi moujzaah  karne ka hangama kiya karte the. Allah(swt) ne unhe kayi nishaani bheji , lekin woh unhe nazarandaaz kar diya. Khandaqein khodne ke waqt bhi , Allah(swt) ne Muslims ko Apne Rahmaton ke kayi nishaniyan bheji, jo inke imaan ko aur pokhtha banaya aur musibath mein bhi inka housla buland rakha.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
TO BE CONTINUED………
END OF LESSON : 98……

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s