🌻Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌻
🌻SEERAH OF MUHAMMAD
( SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO: 9⃣7⃣ 📚
✨SABAQ:-
🔸Banu Nadir ke khilaaf muhim.
✨BANU NADIR KE KHILAAF MUHIM ✨
🌻Dusre marhale (maamle) , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki tawajju ke muntasir the. Amir bin Umayya ke haathon , Banu Kilab qabile ke do logon ka jo qatl ho gaya tha, uska masla bhi hal karna tha. Agar maqtulon ke khoon ka muaafzah nahi ada kiya gaya , toh Muslims par wada khilaafi ka ilzaam lag jayega ,aur zyadah khoon kharabe ka raasta khul jayega. Iske natije se, (is wajeh se) , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) apne kuch Sahabiyon ke saath , Banu Nadir ke paas gaye, muaafzaah dene ke liye , kuch madad ki guzarish karne ke liye.
🌻Unlogon ne Aap se kaha, “Abul Qasim, hum waise hi karenge. Aap yahan par tashreef rakhiye. Hum aapki zarurath puri karenge. ” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) intezaar karne lage, jabke yahudiyon ne akele mein jaakar , ek dusre se baat cheeth karne lage. Badkismati se, Shaytaan , unke achaayi par khaabu ho gaya, aur unlogon ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka qatl karne ka iraadah karliya. Woh ek dusre se kahne lage,
👉🏻”Kaun yeh pathar uthayega aur unpar daalega?”
🌻 Yeh kaam pura karne ke liye, Amr bin Jahsh khada ho gaya. Is beech, jaise ke Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) apne mezbaan ka intezaar kar rahe the ki woh aaye aur apna faisla sunaaye, Jibra’eel (alaihi salaam) naazil hue, aur Aapku yahudiyon ki tajveez ki khabar sunayi. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , wahan se fauran nikal gaye aur Madinah ke raaste par rawana ho gaye, jahan par Aapke Sahabiyon bhi Aap se aa mile
🌻 Haleef (sulah kiye ho log) ki dhokebaazi, jo ek Muhadeh mein bandhe hue hai, koi maamuli baat nahi hai. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke khilaaf tajveez karke , Banu Nadir ne yeh sabooth pesh kar chuke ki , woh Muslims ke saath mil jhul kar nahi rah sakte. Zahir baat hai, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , yahudiyon ki is harkath ko dekhkar, unse muhadah khatam karna chaha, is baat ko samajthe hue ki , unlog apas mein jung ke muntasir hai. Isliye, Aapne, Muhammad bin Muslimah (R .A) ko , yahudiyon ke paas bheja yeh akhri hidayat ke saath ki , ….woh log Muslims ke saath rehne ka haq , kho diya hai, aur woh Madinah dus(10) din mein chodkar chale jaaye.
🌻Aur us muddath ke baad, agar koi yahudi nazarpesh aaya toh , usey qatl kar diya jayega.Yeh khabar milne ke baad , Yahudiyon ne , Madinah chodkar jaane ki tayaari karne lage. Is waqt par, munafiqeen ka sardaar, Abdullah bin Ubayy ne Yahudiyon ko azizi karte hue khabar bheji ke , woh Madinah mein hi ruke, kyun ke uske paas do(2) hazaar fouji hai, jo unke mahalon mein aakar , unki hifazath kar sakte hai . Munafiqeen ne phir ek baar , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki izzat aur odeh ko neecha giraane ke liye hamla kiya.
🌻Surah Al-Hashr mein is kamzor muhaheda ka zikr kiya gaya hai aur kaise , isey jhooth bolkar judaya gaya:
📖”Kya tumne munafiqeen ko nahi dekha ke apne bhaiyon kaafir kitaabiyon se kahte hai ke agar tum nikalgaye toh zarur ham tumhare saath nikal jayenge aur hargeez tumhare baare mein kabhie kisi ki na sunenge. Aur tumse ladaayi hui toh , hum zarur tumhari madad karenge. Aur Allah(swt) gawah hai ke woh jhoote hai. ” 📌(59: 11)
🌻Apne maqsadi doston (munafiqeen) ke support ke manzar dekhkar , Yahudiyon ke housle buland ho gaye. Unlogon ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko paigaam bheja ki woh Madinah chodkar nahi jayenge, chahe iska koi bhi nateeja ho. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne uska jawab “Allahu Akbar”! Kahkar diya aur Aapke Sahabiyon ne bhi usi se hi gunjthi awaaz mein jawaab diya. Yeh awaaz jung ki thi. Madinah ki hifazath Ibn Maktoom (R.A) ko supurd karke, aur Muslim Parcham Ali ke haath mein dekar, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) aur Aapki fouj Banu Nadir ke sarhadon ki taraf rawana hue aur yahudiyon par khabza karne ke liye tayaar ho gaye.
🌻Yahudiyon ne apne apne mahalon aur qilon mein panah leli aur Muslims fouj par theer aur pathar barsaane lage. Kyun ke unke khajuur ke baagh aur bageechey , unki hifazath ka daayra ban rahe the, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne hukum diya ki khajuur ke pedon ko cut kardiya jaaye aur bageechon ko aag laga diya jaaye. Yeh harkath Banu Nadir ke housley ko pasth kar diya. Cheh(6) din tak isi tarah , (kuch log kahte hai 15 din) date rahne ke baad __ woh log hathyaar daalney ke liye tayaar hogaye , is sharth par ke , unhe hifazath se wahan se jane diya jaaye.
🌻Unlogon ke Banu Quraydha ke dost , unki madad karne mein nakaamyaab rahe, kyun ke unka sardaar Munafiqeen aur uske haleef the.
📖” Unke haleefon ne unhe aisa dhoka diya jaise Shaytaan ne kiya tha jab isne aadmi se kaha ” Kufr kar” (Allah(swt) par imaan na rakh) Aur jab insaan ne uski sunli aur kufr kiya, tab Shaytaan ne kaha ,” main tumhare faisle ka zimmedaar nahi hun. Mujhe Allah(swt) se darta hun, jo saare jahan ka Rab hai. “📌 (59: 16)
🌻 Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Yahudiyon ko unki saari milkiyath, saman le jaane ki izzazat dedi siwaaye hathyaar ke. Unlogon ne unse jo ban pada utha kar le gaye , yahantak ke darwaaze, khidkiyan aur apne gharon ke beam bhi legaye. Qur’an mein is hadse ka zikr is ayah mein kiya gaya hai:
📖” Allah (swt) hi hai jisne in qabil-e-yahudiyon ko inke gharon se nikala. Inke pahele hashr ke liye. Tumhe gumaan tha ke woh na niklenge, aur woh samajthe the ke, inke qile inhe Allah (swt) se bacha lenge. Toh Allah (swt) ka inke paas hukum aaya, jahan se inka gumaan bhi na tha. Aur Isne inke dilon mein khauf dala ke apne ghar viraan karte hai , apne haathon aur Muslims ke haathon ; toh ibrath lo aye dekhnewalon!” 📌(59: 2).
🌻 Aur is tarah Yahudi , Madinah chodkar , Khaybar mein jakar basgaye , jabke kuch chote jamaath Syria ko hijr kar gaye. Wahan ki zameen jo Yahudiyon se zabth karliya , usey pahele Makkan muhajeeren mein takseem kiya gaya , jabki Abu Dujana (R A) aur Sahl bin Haneef (R.A) , jo Ansar ke do baashinde the, unhe bhi wahan zameen mein hissa diya gaya, unke maali halaath ke wajeh se. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne usmein se kuch hissa Aapki biwiyon ke saal bhar ke kharchey ki tarah istemaal kiya.
🌻Baaqi sab Aapne Muslims foujiyon par aur unko ghodein aur hathyaar farahem karne ke liye istemaal kiya. Pachaas(50) jungi libaas(Armour ) pachaas(50) sirbandh (helmets) aur theen sau(300) talwaar jo zabth kiya gaya tha , woh bhi Muslims fouj mein baat diya gaya.
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
TO BE CONTINUED………..
END OF LESSON 97…..