SABAQ 96

🌷Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌷
🌷SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
  📚 LESSON NO:- 9⃣6⃣📚
🌷SABAQ:-
🔸Bir Ma’una ka gamgeen Hadsaa
✨BIR MA’UNA KA GAMGEEN HADSAA ✨
🌷Usi waqt ke dauraan, Raj’i ke hadsaa ke alawa,  Muslims ko ek aur zyadah musibat aur gam ka hadsaa jhelna pada . Abu Baraa Amir bin Malik, jo “Mal’ab Al -Insa”(woh jo barcha/bhala se khelta ho)  se mashoor tha, ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) se ta’ruff ki, jinhone phir  isko Islam ki daawath di thi. Abu Baraa ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke  daawath ko na qubool kiya aur nahi inkaar kiya. Usne  iske badle khud hi apne khayaalath  ka jayzaa lena chaha,  Najd ke logon ke irade aur  jhukaav Islam ki taraf ka.
🌷Usne tajveed kiya ki, agar  Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ,  Apne Sahabiyon ko Najd bhejenge toh , wahan ke log Islam qubool karlenge. Usne , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko yaqeen dilaya ki Muslims saare , uski hifazath mein rahenge. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne sattar (70) Muslims ki jamaath ko rawana kiya , jo Qur’an ki hifz mein maheer the.
🌷Woh sab Bir Ma’una ke paas kheema dale, aur Haram bin Malhan(R.A) ne,  Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka likha hua khath lekar,  Amir bin Tufayl ke paas pahunchey, jo Allah(swt) ka kattar dushman tha. Amir ka bartaaw aisa tha ki, woh khud khath ko padhna nahi chaha , balki apne gulaam ko padhne ka hukum diya. Haram(R.A) ko khayal bhi nahi gaya, aur aapke  bekhayaali  mein , aap ke jism mein  Amir ne barcha ghussa diya . Haram (R.A) ne  apni aakhri saans lete hue kaha, “Allahu Akbar! Mere Ka’bah ke Rabb ki kasam, main apne maqsad mein kaamyaab ho gaya.”
🌷Amir ne phir Banu Amir ke qabile ko awaaz diya ke wo jakar , baaqi Muslims par hamla karde, lekin unlogon ne jo wada Abu Bara ne hifazath ka kiya tha, uske khilaaf jaane se inkaar kardiya. Phir Amir ne Banu Sulaym ko aur un mein se kuch zaili(tabqe)  qabile  jaise Ral, Dhakwan, Lehyan aur Usayya ko bulaya, jo asaani se Sahabiyon par hamla karne ke  liye tayaar hogaye aur sab ko mauth ke hawale kardiya. (Saare shaheed hogaye) siwaye Ka’b bin Zayd(R.A) aur Amr  bin Umayya bach gaye.
🌷Ka’b bin Zayd (R.A) zakhmi ho gaye , aur unhe marne ke liye chod diya gaya. Baad mein , unhe wahan ke khoon rayzi manzar se bachaya gaya , aur aap sahethmand hue, phir Jung-e-Trench mein shaheed hone ke liye. Amr bin Umayya Damri  (R.A) , Mundhir bin Uqba ke saath ,  apne unton(camels)  ko chara rahe the, jab aap ne Bir Ma’una par giddon(vultures) ko mandraate hue dekha. Fouran, aap ne andaza laga liya  ke woh  Muslims  jo Aamir bin Tufayl ke paas gaye the  , unsab ka kya natija hua. Mundhir fauran us jagah ke liye nikalpade apne Muslim bhaiyon ko bachane ke liye.
🌷Unhone dushmanon se tabtak  jung ki , jabtak ke unpe qaboo na kiya gaya. Aur baat Amr bin Umayya ki, unhe qaidi banaya gaya  , lekin aap dusre Muslim bhaiyyon ke hawale  se zyadah khush kismat saabith hue. Jab Aamir bin Tufayl ko bataya gaya ki  , jo qaidi unke paas hai , woh Mudir qabile se taluuq rakta hai, toh woh sirf Amr ke baalon ka ek lat kata , inaam ki taur par aur unhe azaad kardiya , is khushi mein ke usne apne maa (walidayen) ka kiya hua wada pura kar chuka.
Aur is tarah Amr bin Umayya (R.A) mauth se bach nikle, aur aap fauran Madinah ki taraf rawana ho gaye.
🌷Apne raaste ke dauraan, aapki mulaqaath do(2) shaks ,jo  Qarqarah ke qabile Banu Kilab se taluuq rakte the , unse hui. Unhe bhi dushman samajkar , Amr (R.A) ne un dono ka qatl kar diya, halanke unke paas , Rasool (SalAllahu alaihi wa salkam) ki taraf se aman ka paigam tha. Akhirkaar, Madinah ko  wapas lautne  ke baad, aap ne jo kuch kiya woh sab aapne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko etelah kiya. Rasool.(SalAllahu alaihi wa salkam) ke alfaaz bas yeh the:
👉🏻 “Tumne do aise insaanon ka qatl kiya hai, jiske khoon ka muafzaah muhje karna hoga.”
🌷Bir Ma’una aur Raj’i ke dono hadsaath ne Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) ko jhinchood kar rak diya. Aap ne aman aur sukoon ke do muhimon ko bheja tha, lekin dono bhi ek hi mahine mein , gamgeen natijey par pahunchey. Aisa kaha gaya hai ki , Aap ko dono gamgeen hadsaath ki khabar , usi ek raat ko pahunchi. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , ibaadat (Qunoot/ Muslim shaheedon ke liye dua karne) karne mein tasalli haasil karne ki koshish ki aur Allah(swt) ko pukaarne lage ki unke qatilon par saza naazil karey.
🌷 Thees(30) din tak , har subah ,Fajr ke baad Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) ne qatilon ke khilaaf ibaadat ki , jabtak ke Aap ko Wahi  na naazil hui. Allah(swt) ne Aap ko bataya ki , beshaque Usne  shaheed bandon se mulaqaath ki. Woh (Allah(swt) unse raazi (khush) hai, aur woh bhi Allah(swt)  ke unke taraf bartaaw se , se kuch kam khush nahi hai.(yaane behad khush hai)
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
END OF LESSON 96…….
TO BE CONTINUED….

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s