SABAQ 95

🌻Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌻
🌻SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
  📚LESSON NO :- 9⃣5⃣ 📚
🌻 SABAQ:-
🔻Hamra Al-Asad ka Muhim
🔻 Waqiyaath aur Muhim
🔻Raj’i ka waqiyaah
✨HAMRA AL-ASAD KA MUHIM ✨
🌻 Dusre din subha hote hi, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne elaan karnewale ko bulaakar, elaan karne lagaye ki jo koi bhi Jung-e-Uhud mein jung kar chuke hai, woh tayar rahe dushman ka peecha  karne ke liye. Har Muslim , jisne bhi jung ki thi, Uhud mein ek din pahele, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke saath ho gaye , aur Madinah se bahar nikal gaye, iske bawjuud ke woh thake hue aur zakhmi the.
🌻 Aur woh sab Madinah se rawana hue aur Hamra-Al-Asad jo aat(8) mile ki duri par hai ,  wahan apne kheemein jamaye. Mushrikeen , Rawha, jo Madinah se  chehthees (36) mile ki duri par hai, wahan ruke, apni jung-e-majlis ke saath. Mushrikeen  fouj apne sardaron par ilzaamaath laga rahe the aur unpar lanath bhej rahe the. Kyun kar woh Madinah mein daakhil hone ka mouqa ka faydaah  chod diya?
🌻 Yeh mouqe par, Muslims ka dal bhi tajveed banane mein masruf tha. Ma’bad bin Abi Sa’eed Khaza’i, jo Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke khair khau the, Aap ke paas Hamra Al-Asad ko aaye aur Uhud ke waqiyath par afsoos zaahir kiye. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) unhe kaha ki woh Abu Sufyan ke paas jaaye aur unhe daarane ki koshish kare , mushrikeen ko bhagaane ke liye.
🌻Usi hisaab se Ma’baad Rawha pahunchey, jahan sab is josh aur khayal mein the , ki woh wapas jakar Madinah par hamla karenge. Ma’bad  ne mushrikeen ke housle ko dabadiya, Muslims ki bahaduri,  taqat aur unke naya  hamla karne ki zordaar  tayariyon ka bayaan karke.
👉🏻” Muhammad ne itni badi jamaath ke saath aaye hai, jo main ne kabhie nahi dekhi. Woh badle ka pakka irada rakte hai, aur unke khayalon se zaahir hota hai ki woh khatarnaak tareeqe se khoon ke pyaase  hai. Tum jald  hi dekhoge unka fouji dasta tumlog ke peeche ki pahadi ki peeche nazar aayega. “
🌻Yeh tajveed kaam kar gayi. Makkah ki fouj ki himmat pasth hogayi., aur Abu Sufiyan bhi aise  khaufnaak muhim ke jawaab dene se peeche hat gaya. Usne faisla kiya ki is pareshaani ka khud  hi kuch karega. Usne apne caravan ko hidayat di ke, woh Muslims ki daraein, yeh kehkar ki, Makkahwale , dusra hamla karne ke liye tayaar  hai. Is beech woh , apni fouj lekar jaldi Makkah wapas laut gaya.
🌻Haar ke itna khareeb aaye,  zakhmi Muslims ne jab yeh khatra suna , toh woh jung karne ke liye tayaar ho gaye. Dusre hamle ka khatra, unhe apne maqsad mein aur mazboot kiya. Unlogon ne ye ayah bayaan karte hue jawab diya:
👉🏻Munafiqeen kehte hai, ” Beshaque, mushrikeen saare tumhare khilaaf jama ho gaye hai, toh unse khauf karo!” Lekin yeh  Muslims ke imaan ko aur badaya aur woh jawab diye,
📖 ” Allah(swt) kaafi hai hamare liye, aur woh sabse ala hai, hamare maamlon ka faisla karne ke liye.”📌(3:173)
🌻Aage koi hamle ke khatre nahi aaye, aur is wajeh se hui aman aur sukoon ka , is dusri ayah mein khoob bayaan kiya gaya hai:
📖” Aur woh bas, wapas laut aaye, Allah(swt) ki Rahmathon aur Mehetbaaniyon se. Koi buraayi unhe chu nahi sakti, aur woh sab Allah(swt) ke khushi ke siwa kuch aur nahi chaha, aur Allah(swt) behisaab Rahmatwala hai.”📌(3: 174)
✨WAQIYAATH AUR MUHIM
🌻Muslims ka khatron ka saamna karne ki taqat , Jung-e-Uhud se khoob zaahir hota hai. Mushrikeen  ne khoon sungha aur koi ek maukha aisa nahi chodah , jo woh zakhmi Muslims ke takleef ko bada paaye. Aage ke kayi haadsaath mein , Muslims ke kayi zyadah dardnaak nuksaanon ka tajruba bayaan kiya gaya hai, un mein se kuch ka upari  bayaan kiya gaya hai.
✨RAJ’I KA WAQIYAAH✨
🌻4 Hijri, Safar ke mahine mein, Adal aur Qara , qabile ke kuch numaindon ki jamaath, Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas pahunchi. Unlogon ne ,.unke qabilon ke logon ki Islam mein badti hui dilchaspi ka bayaan kiya, aue woh chahte hai ki , woh Imaan ke baare mei  aur zyadah  jaankari haasil kare. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne apne dus(10) Sahabiyon ko rawana kiya, Asim bin Thabit(R.A) ke sarparasthi mein. Muslims , jo rawana hue the,in qabilon ko Deen aur Qur’an ke buniyaadi ehkaamon ko seekhane ke liye , unhe  mushrikeen ke  dhokebaazi  ka bahuth hi kadwa sabaq seekhna pada.
🌻 Raj’i ke paas, Adal aur Qara qabile ke logon ne, Hudhayl qabile ke ek tukdi ko Muslims par hamla karne ke liye bheja. Lagbhag sau (100) theerandaaz, pahadi par dus(10) Muslims ka saamna karne ke liye ruke hue the. Woh, Muslims ki yaqeen dilaya ke , woh unhe qatl nahi karenge, lekin Asim(R.A) ne  pahadi se neeche utarne se inkaar kiya, iske badle mein woh dushman ka saamna   karna munasib samjha. Is hamle mein saath Muslims shaheed ho gaye. Phir se, hamlawar ne kasam khaayi ke , woh bachey hue baaqi theen(3) Muslims ko nahi qatl karenge, phir Muslims ne khud ko supurd kiya aur pahadi se neeche uthrey.
🌻Jab in theenon ko baand kar neeche laye ja raha tha, un mein se ek ne kaha, ” yeh dhokebaazi ka pahela misaal hai,” . Phir unhone, bandak bananewale ko baandhne se roka , aur shaheed ho gaye. Baqi do(2) , Khubayb bin Adiy aur Zayd bin Dathinna, ko Makkah le jaya gaya aur unke purane Qurayshi zaalimon ko gulaamon ki tarah becha (furokhth kiya) gaya. Ab , unki zindagi unki khud ki  na rahi.
🌻Khubayb(R.A) ne, Jung-e-Badr mein Harith bin Amir bin Naufal ka khatam kiya tha aur ab Harith ka beta , Khubayb(R.A) ki zindagi ka mutaalbaa kiya. Khubayb (R.A) ko qaidkhane mein had se zyadah zulm sehna pada aur phir unhe phansi dene ke liye Tanyeem lejaya gaya. Phansi par latkane se pahele, aap ne do(2) Rak’ahth Nama ada kiya. Unhone , Allah(swt) se dua ki  ke Woh unke qatilon ka khatma karey, aur aap ko jaise mauth ke khareeb le jaya ja raha tha, aapne yeh do ashayar padhe:
👉🏻” Mujhe koi fikr nahi, agar main Muslim ki tarah suli par latgaya jaaon, aur mujhe fikr nahi mere jism ke kis hissey ko kata jayega. Yeh sab Allah(swt) ke liye hai, Aur Uski jo marzi hai. Woh , har jode ke ghoshth ko bakhashtha hai.”
🌻Abu Sufiyan ne Khubayb (R.A) se pucha:
👉🏻”Kya tumhe khayaal nahi aaya ki, tumhari jagah Muhammad hona chahiye aur hum unhe qatl kardete, jab ke tum apne khandaan ke saath hifazath se rehte?”
Khubayb (R.A) ne palatkar jawab diya,
👉🏻”Allah(swt) ki kasam, main mere khandaan mein nahi rehna chahta hun, agar iske badle Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko ek kaanta kyun na chub jaaye. “
🌻Khubayb(R.A)  ka inteqaal ho gaya, aur ab Zayd bin Dathinna (R.A) intezaar kar rahe the apni mauth ka, Safwan bin Umayya ke haath. Safwan ko haq diya gaya Zayd (R.A) ko qatl karne ka , unke waalid , Umayya bin Mahrath, ki jung-e-Badr mein mauth, ke badle mein. Kuch Muslims zariyon ne upar hui Abu Sufyan aur Khubayb (R A) ke beech ki baatcheeth ka mutaala Zayd bin Dathinna (R.A) se kiya. Pahadi par qatl kiye gaye Muslims ko bhi , Quraysh ne apne jeet ke nishaaniyan samjha , aur apne logon ko bheja Asim(R.A) ke jism ko laane ko.
🌻Lekin woh wapas laut gaye , kyun ki Asim(R A) ke jism par zanboor ( tez dank maarnewalw keedey) ka jhund mandra raha tha. Is tarah,  mushrikeen ke haathon beadbi hone se,  Allah (swt) ne aap ke jism ki hifazath ki. Asim(R.A) ne kasam khaayi thi ke woh kabhie bhi  mushrikeen ki nahi  chuyenge aur na kisi mushrikeen ko  khud ko chune denge, aur Rab ne unki baat rakhli.
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
END OF LESSON NO: 95……
TO BE COBTINUED……….

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s