SABAQ 94

🌹Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌹
🌹SEERAH OF MUHAMMAD (SalAllahu alaihi wa sallam)
📚  LESSON NO: 94 📚
🌹SABAQ:-
🔸Muslims khud apni dekhbhaal kiya
🔸Madinah ko wapas
✨MUSLIMS KHUD APNI DEKHBHAAL KIYA ✨
🌹Apas ki baatcheet ke baad, Abu Sufyan wapas chale gaya, aur Mushrikeen fouj , woh elakha chodna shuru kiya. Woh apne unton par sawaar hue , aur ghodon ko apne baaju chalaya, yeh ishara dene ke liye ki , jung khatam ho gayi aur woh Makkah ki taraf bad rahe hai. Unke yeh naqabile bayaan faisla aur kuch nahi balki nishaani hai Allah(swt) ki rehmaton ki Muslims  par, kyun ki Mushrikeen aur Madinah ke beech kuch baaqi nahi raha tha. Agar woh apni zidd par rehte, unke muqaalifath ke liye koi nahi tha, is bekas shaher mein, aur tareeq ka pura  rukh  kuch aur hi hota tha.
🌹Dushman ki rawanagi (wapasi) ke baad, Muslims maidan-e-jung wapas aaye, taake shaheedon  aur zakhmiyon ki dekhbhaal kare aur  unka intezaam karey. Kuch shaheedon ko Madinah  rawana kiya gaya, lekin Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne farmaan jaari kiya ki , shaheedon ko  wapas unki mauth ki jagah wapas laaye aur unhe fouji libaas mein hi , usi jagah tafneen karey bina gusul aur bina janaze ki namaz ke. Aur Aap ek hi khabr mein do ya theen shaheedon ko ek saath dafnaaye.
🌹Kuch cases mein , Aap ne apne Sahabiyon ko takeed ki ke shaheedon  ko ek hi kafan mein jodon mein baandh de. Shaheedon mein se , ji zyadah Qur’an seekhe the  unhe khabr mein pahele utara gaya. Allah(swt) ki raah mein unke qurbaaniyon ko lekar, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne unka shukr ada karte hue kaha,
👉🏻”Akhirath ke Din , main in sab ka gawah rahunga.”
🌹Apne shaheed bhaiyon ko tafneen karte waqt , logon ne Handhla bin Abu Amer  ki lash dekhi   jo zameen ke upar thi , aur usmein se paani gir raha tha. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne logon ko samjhaya ke , ” Farishtey inhe gusul kara rahe hai.”
🌹Darassal baat yeh thi ki, Handhla (R.A) ki shaadi abhi hui thi, aur aap apni shaadi ko mukammal(mubashirath) kiya tha , jab jihaad ki pukaar ki gayi. Ek lamha bhi gusul ke liye ruke bina, apni nayi dulhan ko chodkar, aur maidan-e-jung ko rawana ho gaye. Handhla (R.A) bahuth hi bahaduri se jung ki aur shaheed ho gaye, isliye Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne samjhaya ki farishtey unhe gusul de rahe hai , unke jism ko paak karne ke liye. Handhla (R.A) ko hamesha “Ghaseel Al-Malaaika” (woh jise farishton ne gusul diya)  ke naam se yaad rakhenge.
🌹Ab  tha Hamzah (R.A) ko tafneen karne ka waqt. Shaheed bahadur ne Allah (swt) ki raza haasil ki hui thi, aur yeh inaam , shaandaar tafneen se zyadah maaney rakhti hai. Sach baat yeh thi ki, aap ko itne  chote kafan mein baandha gaya  ke agar
aapka sir dhaka jaye toh , pair nahi dhaka ja sakta tha, aur agar pair dhaka gaya toh sir khula reh jaata. Kuch doriyan aapke pairon par daale gaye.
✨ MADINAH KO WAPAS✨
🌹 Shaheedon ko dafnaya gaya aur in sab par Allah(swt) ki rehmatein naazil  hui. Ab waqt aa gaya tha ke Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) Madinah wapas laute. Raaste mein Aap bahuth se jagahon par ruke aur kuch auraton ko housla diya jiske rishteydaar, maidan-e-jung mein shaheed  ho gaye. Aap ka unlogon ke liye  Allah(swt) se duaaein maangna, unhe aur zyadah rahat mehsus karaya.  Bahuth zyadah  gamgeen Muslims , apne nuksaan ko sabr se bardasht kiya aur is baat se rahat aur itminaan mehsus karne lage ki unke Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) salamath hai, iske badle mein chahe unhe apne pyaron ko qurbaan kyun na karna pada.
🌹 Is guzre hue hadse se pata chalta hai ki , Muslims , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki hifazath par  kitni ehmiyath  rakte hai. Kuch Muslims ki jamaath , jo maidan -e-jung se laut rahi the, ek aurat se takraaye jo Banu Dinar se taaluq  rakti thi. Uska shauhar, bhai aur waalid , saare Uhud mein maare gaye.
🌹Jab ussey har ek ke baare mein bataya gaya, woh har baar yehi puchne lagi , ” pahele mujhe Rasool ke baare mein boliye.” Logon ne jawab diya , “Allah (swt) ka shukr hai , Aap salamath hai.” Lekin woh aurat , logon ke dilason se mutayeen nahi hui aur pucha ke kya woh  khud apne aankhon se Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki dekh sakti hai. Jab logon ne usey , Aap ke paas laya  woh seedhe kehne lagi,
👉🏻”Ab jab ke Aap salamath ho,   mere har gam gayeb ho chuke.”
🌹Wapas Madinah lautkar , Muslims raat bahuth hi hoshiyaari  se aur chaukanne hokar guzari. Kyun ke, aakhirkaar woh ek musibath ke daur mein the. Thakehue aur zakhmi, woh log ghere dukh mein dubey hue the , apne kuch saathiyon ke nafarmani harkathon se , jiski wajeh se Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki zindagi  mushkil mein aa gayi thi. Woh sab ab Aap ki hifazath par zor dene lage.
🌹Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , dusri taraf , mehsus kiya ki , yeh zaruri hai ki, wapas laute dushmanon  ki sargarmiyon par hoshiyaari se nazar  rakhni chahiye.  Madinah par achanak hamla ho sakta hai , isliye Aap,  tayaar rehna chahte the.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
END OF LESSON 94………….
TO BE CONTINUED………..

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s