🌷Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌷
🌷SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO : 9⃣3⃣ 📚
🌷 SABAQ:-
🔻khaayion mein(gaaron mein)
🔻Baat-cheeth aur tajveed.
✨KHAAYION MEIN✨
(Gaaron mein)
🌷 Jab Muslims gheraawon mein se nikal kar , apne aapki khaayion mein chupa rakhe the, kuch akele akele mutbhed ho rahe the Muslims aur Mushrikeen , foujiyon ke beech mein. Mushrikeen , ne chote chote hamle karne ko chuna, bade paymaane ke jung karne ke badle mein. Woh maidan-e-jung mein thode waqt ke liye rukte, aadmi aur auratein ek saath dushman zakhmi Muslim foujiyon ko dundte aur unke tukde karte.(haath pair kaathe).
🌷Abu Sufiyan ki biwi, Hind bint Utbah, Hamzah(R.A) ke khoon ki pyaasi ho gayi thi, kyun ki woh Hamzah (R.A) ki talwaar ki wajeh se apne khandaan walon ko kho chuki thi. Jab usne Hamzah (R.A) ki laash dekhi, khandaani ladayion ke khaufnaak badle mein aakar jahalath mein woh Hamzah (R.A) ka pet kaata, usmein se kaleji (liver) nikaalkar chabane lagi, lekin woh nigal nahi paayi , aur bahaar nikaal di.
🌷Ubayy bin Khalaf ne ek aur koshish ki, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko qatal karne ki, lekin woh khud hi maara gaya. Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) ne , Ubayy ko ghode se neeche karne ke liye apne barchey ka istemaal kiya, jo ek zakhmi bail (ox) ki tarah cheekhte hue , apne ghode se niche ludakte hue aa gira. Woh , Makkah ke khareeb , Sarf mein margaya, apne daayre (sarhad) tak pahunchne ki koshish mein. Kuch aur Quraysh ke log aaye, Abu Sufyan aur Khalid bin Waleed ki sarparasthi mein.
🌷Woh , pahadi ke kayi alag chotiyon par tadaar hue, Muslims ko bahuth saare jaghah par saamna karne ke liye. Umar (R.A) , apne Muhaajireen ke giro ke saath milkar, inlogon se lade aur unhe peeche wapas jaane ke liye majboor kar diye. Kuch zariyon ke mutabiq, Sa’d bin Abi Waqqas (R.A) ne unke theen(3) aadmiyon ko apne theeron se maar giraya. Abu Sufyan aur Khalid bin Waleed , Muslims ko harane ki apni aakhri nakaam koshish ke baad faisla kiya ki woh ab wapas Makkah laut jayenge.
🌷 Woh mutmayeen the us nuksaan par jo woh Muslims par kar chuke. Halanke woh log apne bayees (22) logon ko kho chuke the, lekin woh kayi tadaad mein Muslims ke foujiyon ko maar chuke the. Muslims ke shaheedon ki tadad sattar (70) tak ja chuki thi. Ektaalis(41) shaheed, Khazraj qabile ke the , Aus ke chaubees (24) aur Muhajireen mein se chaar(4) . Ek yahudi bhi mara gaya.
🌷 Muslim ke kheemon ke paas, ab waqt tha araam karne ka aur hisaab karne ka . Jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) akhirkaar, araam karne ke liye baite, Ali (R.A) ne Aap ke liye paani le aaye Mehra se, jo.Ek chashma hai Uhud mein. Paani ki khusboo itni nagawaar thi ke Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) usey pi na sake. Lekin, Aapne us paani se apna chehra dhoya aur baaqi ka paani apne sir par daal liya. Aapke zakhm phir se taza ho gaye aur khoon bhene laga, aur Fatimah (R.A) ne ek matting ke tukde ko jalaya aur uske raakh se apne walid ke zakhmon ki marham patti ki, khoon ko bhena se rokne ke liye.
🌷Muhammad bin Muslimah (R.A) ne taza paani le aaye , jo Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) shukr ada karke peeliye. Apne zakhmon ki wajeh se , Aap Zuhr ki Namaz baitkar ada ki, aur Aapke Sahabiyon ne bhi Aap ki tarah hi Namaz padne ka tareeqa ikhtiyaar kiya. Muslim aadmiyon ke auratein unke paas aakar shaamil ho gayi, unlogon ke zakhmon ko marham patti karne ke liye. Un mein shaamil thi Aishah (R.A) , Umm Ayman(R.A) , Umm Sulaym(R.A) aur Unm Sulayt(R.A) jo paani ka intezaam karte the chamde ke thailiyon mein., aur zakhmiyon ko sarfara karte the.
✨BAAT-CHEETH AUR TAJVEED ✨
🌷 Dono taraf ke log peechey hatne ka irada rakhe hue the. Jab mushrikeen , Makkah wapas jaane ke liye tayar ho rahe the, Abu Sufyan, Uhud Pahad ki choti par aaya aur pukaarne laga:
👉🏻” Kya Muhammad tum log mein maujuud hai?” Muslims ki taraf se koi jawab nahi diya. Abu Sufyan phir pukara:
👉🏻 “Kya Abu Bakr, Abu Qahafa ka beta aap log mein maujuud hai,?” Ek aur baar usey Khamoshi ka saamna karna pada. Woh theesri baar pukara:
👉🏻 “Kya Umar bin Khattab aap logon mein hai,?”
🌷Yeh pukaar bhi bina jawab ke rah gayi , kyun ke Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Muslims ko jawab dene se mana kiya tha.Issey, Abu Sufyan ,ko itminaan hua , aur woh khusi se pukara,
👉🏻”Akhirkaar , humko in theenon se chutkara mil gaya.”
🌷Yeh alfaaz sunkar, Umar (R.A) gussey se dhaadne lage:
👉🏻” Aye Allah(swt) ke dushman, tumne jis ka zikr kiya , wih sab zinda hai, aur Allah (swt) ne tumhare liye zyadah zillath rakha hua hai.”
Abu Sufyan ne kaha: ” Tumhare log qatl aur tukde ho chuke hai. Na main hukum dunga aur na hi pasand karunga.” Uske baad usne cheeka” Hubal ki shaan ho.” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne apne Sahabiyon ko uska jawab dene ku takeed ki.
👉🏻’Allah(swt) bada hai aur badi Shaanwala hai.”
🌷Abu Sufyan ne phir pukara,
👉🏻 ” Hamare paas Uzza hai jab ke tumhare paas kuch nahi.” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne apne saathiyon ko jawab dene ko kaha,
👉🏻” Allah (swt) hamara Rabb hai lekin tumahara koi nahi.” Abu Sufyan , Muslims ke nuksaan ko yaad dilaya, teh kehte hue ki,
👉🏻” Humne kya shaandaar nuksaan diya hai. Yeh hamara badla hai, Badr ke awaz mein. Jung mein jeet , baari baari se hoti hai; aaj koi jeetha hai aur toh kal koi aur.”
🌷Umar(R.A) ne jawab diya, ” Yeh hisaab kitaab , barabar ka nahi hai, kyun ke hamare shaheed Jannath mein gaye aur tumhare dozakh mein.” Umar(R.A) ke is bharose ko dekhkar Abu Sufyan peechey ho gaya.
👉🏻”Agar tumlog isey aisa samajthe ho, agar woh sach hai, toh humsab nuksaan uthaane wale hai.’ Phir Abu Sufiyan ne Umar( R.A) ko nazdeek bulaya aur kaha,
” Umar, Allah(swt) ke naam ka waaste de ke puch raha hun, kya hum ne Muhammad ka qatl kiya ?”
🌷Umar(R.A) ne kasam khakar kaha: ” Allah(swt) ki kasam, yeh sach nahi hai, aur woh sunrahe hai jo tum kah rahe ho,” Abu Sufyan , Umar(R.A) ki baat se mutmayeen hua aur apne dushman ki tareef ki. ” Aap mere liye , Ibn Qam’a se bhi zyadah sacche aur sahi lagte ho.” Wahan se ruksat lete waqt , woh phir ek muqable ki chunauthi di,
👉🏻” Hum phir agle saal Badr mein dobara mulaqaath karenge.” Is par, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne apne Sahabi se kehne lagay,
👉🏻” Haan, bilkul yeh hamare beech taqarar (appointment) hai.”
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
END OF LESSON : 93…….
TO BE CONTINUED…….