💎Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 💎
💎SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu akaihi wa sallam)
📚LESSON NO:- 9⃣2⃣📚
💎 SABAQ:-
🔻Rasool (SalAllahu alaihi w sallam) ke inteqaal ki afwaah (continued)
🔻Gheraaw mein liye hue Muslims ki halath.
✨RASOOL (SalAllahu alaihi wa sallam) KE INTEQAAL KI AFWAAH. (CONT…..) ✨
💐 Insaani koshish nakaam ho rahi thi, isliye Allah(swt) ne Apne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki hifazath karne ke liye ruhaani taqaatein bheji. Jibra’eel (alaihi salaam) aur Miakkeel (alaihi salaam) neeche aaye aur unki taraf se jung karne lage. Bahuth saare Muslims bhi Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki taraf daude, aur aapki hifazat karne mein bhid pade. Pahele aanewalon mein the , Abu Bakr(R.A) , Abu Ubaydah bin Jarrah (R.A) ke saath.
💐 Abu Bakr (R.A) ne dekha ki helmet(sirband) ke rings , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke chehre mein chubey hue the aur aap ne unhe nikaalne ki koshish ki, lekin woh Abu Ubaydah the ,jo apne daanton se , woh metal ke rings ko nikaalne mein kaamyaab hue, is nikaalne ki koshish mein, aapko do daantein khoni padi. Phir dono aage bade , Talha bin Ubaydullah ko sambhaalne, jo buri tarah se zakhmi the. Dost aur dushman, dono ek jaise Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki taraf hue,zaahir baat thi ke ,us muqaam par sari tawajju Aap par hi focus thi.
💐 Muslims mei , Abu Dujana, Mus’ab bin Umayr, Umar bin Khattab aur Ali bin Abu Talib , saare Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) par gheraaw daale rakhe, iske bawjuud ke mushrikeen ke sipaayi , Aap par toot padhna jaari rakha, unke hamle ghere se ghere hone lage. Muslims ne saare tareekhe apnaaye, unko maar girane ke liye.
💐Kuch log theer chalane lage, dusre log bachaaw karne lage, kuch nidar hokar zabardast jung karne lage, jabke kuch log theeron ko apne haathon se rokne lage. Dushman , Muslims ke sarbara(standard bearer), Mus’ab bin Umayr(R.A) ko apna nishana banaye rakhe. Behisaab theer , unke seedhe haath ko cheerne lage, haath ko beinteha zakhmi kardiya. Mus’ab (R.A) apna jhanda(parcham), apne left(daayen) haath mein thaam liye aur aap jhande (parcham) ko apne ghutne ke bal , apne chateh aur gardan ke support se, apni aakhri saans thak thaame rakhe.
💐Kyun ke Mus’ab , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) se lagbhag milte jhulte the, unka qatil, Abdullah bin Qam’a , ne soch liya ke woh Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka qatal kiya, aur khushi ke maare chillane laga ki woh Muhammad (SalAllahu alaihi wa sallam ) ko maar diya. Yeh khabar Mushrikeen mein phail gayi, apni itminaan ki tassali ke liye, woh saari fikr aur zor Muslims par daal diya.
✨GHERAAW HUE MUSLIMS KI HALATH ✨
💐 Jab Muslims ne dekha ki unhe gher liya gaya hai, woh gabrahat aur bad nazmi mein ghere gaye aur koi pokhti tajveez banane mein nakaamyaab hue. Kuch log toh bachkar , Junub ku aur bhaage aur Madinah pahunch gaye, jabke.dusre, pahadiyon ke aur bhaage aur kheemon mein panah leli. Kuch log Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki taraf bhaage, hamla karne aanewale dushmanon se Aapki hifazath karne ke liye, jaise unhe pahele takeed di gayi thi. Haalanke, zyadatar Muslims apne muqaam par date rahe, unki mehnat asar nahi laayi , kyun ki woh sab badnazm (not organised) the. ( bina koi tajveed ke) .
💐 Muslims ke darjon mein itni bad nazmi phaili hui thi ke paheli jamaath jaakar aakhri jamaath se takrane lage. Iska natija yeh hua ki, Yaman, Hudhayfah(R.A) ke waalid , khud Muslims ke haathon se maare gaye. Jaise ki afwaah ke Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka qatal ho chuka hai, phailne lagi, unlog ki himmath aur housla aur girta gaya. Gam mein dube aur hare hue, kuch log to saaf maidan chod diya, jabke dusre is baat par pahunchey, aur saath kehne lage,
👉🏻”Aao, hum bhi marjaate hai, uske liye , jiske liye Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne apni haan dedi.”
💐 Yeh mayusi ja mahol tab khatam hua , jab Ka’b bin Malik(R.A) ne , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam( ki ek jhalak dekhi, ke Aap qaid kiya hue Muslims ki taraf shaamil hone jaa rahe the. Ka’b (R.A) ne Aapko , Aapki aankon se pehchaan liya, haalanke chehra sirband se dhaka hua tha. Ka’b(R.A) ne zor seawaaz lagaya:
👉🏻”Aye Muslims! Khush ho jaao! Paigamber yahan hai.”
💐Ka’b(R.A) ki awaaz , bachey hue Muslims ko asar kiya, aur woh Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki taraf daud lagayi. Thodi hi der mei , thees(30) Sahabiyan , Aap ke aaspaas jama hogaye. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne dobara haamla karne ke khilaaf faisla kiya, aur jung se peechey hojaane ko kaha. Aap jamaathon mein se raasta banate gaye aur Apni fouj ko kaamyaabi se pahadi ke raaste ki taraf le gaye. Mushrikeen, inko rokne ki koshish mein apne do foujiyon ki bina wajeh jaan gawaayi.
💐 Peechey hone ki wajeh se, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , Apni fouj ko aage hone wale nuksaan se bacha liya, woh nuksanath jo Aapke hukum ki nafarmaani ki wajeh se hui. Naafarmaani ne Muslims ki jeet ko, haar mein tabdeel kardiya, lekin Allah (Swt) ki madad se , Muslims aur zyadah khatrey se peechey kar diye gaye.
💐💐💐💐💐💐💐💐💐
TO BE CONTINUED……….
END OF LESSON : 92……