🌷Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌷
🌷SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO :- 9⃣1⃣ 📚
🌷 SABAQ:-
🔻Jung shuru hui.
🔻Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke inteqaal ki afwaah .
✨JUNG SHURU HUI ✨
🌷 Jab dono fouj nazdeek aayi, mushrikeen ke nishaan bardaar (standard bearers) , Quraysh ka sabse bahadur shaks, Talha bin Abi Talha Abdari, apne unt(camel ) ke saath aage bada, aur lalkaara(yaane challenge kiya). Uska jawab Zybayr bin Awwam(R.A) ne diya. Zubayr (R.A) ne Talha ke unt par dhaad mara, aur unhe zameen par gira diya, aur unhe jagad liya. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne “Allahu Akbar” pukara aur Aap ke saare saathiyon ne peeche se pukara. Pehele riwaz ke mutabiq hamle ke baad , dono fouj apas mein ek dusre par hamla kare.
🌷 Khalid bin Waleed, jo us waqt mushrikeen ke ghudsawar fouj ke sardar the, theen baar koshish ki, peeche tak pahunchne ki. Har baar unhe theeron ki baarish se , jo peechey tehrey hue Muslim sipaayon ne chalaya, woh peechey hote gaye. Muslim sipaayion ne , mushrikeen ke gyarah(11) nishanbardaaron par apna nishana banaya rakha, jab tak ki saare mushrikeen ka khatma na ho jaaye. Unhe wahan se saaf hata diya gaya. Jaise dushman ke jhande , zameen par girte gaye, Muslim foujiyon ne apne aapko dushmanon ke khilaaf hamla karna shuru kardiya.
🌷Woh dushmani taqaton ko cheerte hue , unki foujon mein ghus pade, aur dushmanon ko badi tadaad mein jagadte gaye. Do Muslims, Abu Dujana(R.A) aur Hamzah(R A) , badi hi taaqat se ladte rahe, aur maidan-e-jung mein inki himmat aur taaqat ke karnaame , aage chalkar Muslim ki fouji tareeq mein , misaal ban gaye. Badkismati se, Hamzah bin Abdul Murralib (R.A) , Allah(swt) ke sher,isi maidan-e-jung mein shaheed ho gaye, jahan aap ka hi khabza tha. Aap ko , Wahshi bin Harb , ek Abyssini gulaam ne , apne barchey se shaheed kiya. Wahshi bin Harb, Hamzah (R.A) ko shaheed karne mein kaamyaab ke sabab se , apne maalik Jubayr bin Mutim se , apni azaadi haasil ki.
🌷Hamzah(R.A) ne Jubayr ke chacha, Tu’ayma bin Adiy ko, Jung-e- Badr mein khatam kar diya tha, aur apne is dukh(gam ) mein , Jubayr ne Wahshi ko, uski azaadi ka wada kiya, agar woh Hamzah(R.A) ke sir ko khalam karne mein kaamyaab hua toh. Apni azaadi ko nazar mein rakhkar, Wahshi ne ek pathar ke peechey , hamla karne ki taak mein chupa raha. Jab Hamzah(R.A) , Saba bin Arfat ka sir khalam kar rahe the, Wahshi ne apna barcha peeche se aakar aapke pet mein ghusaya , jo aapke pairon ke beech se bahar nikla. Allah(swt).ka sher gir pade.
🌷Hamzah(R.A) ki kho dene ke bawjuud, Muslims , mushrikeen par khaboo pane mein kaamyaab hue, woh dusri haar ka saamna karte hue, wahan se bhaagne lage. Mushrikeen auratein bhi, Muslims unka peecha karne ki wajeh se , idhar udhar bhaag gaye. Kuch Muslims group, nikal pade , apne gire hue dushman ko talwaar ki nok par lete hue, aur dushman ke kheemon ko loot ne lage.Yehi waqt tha, jab haasil ki hui jeet mein, nayi haadse pesh aaye, aur wahan ke manzar ko tabdeel kar diya.
🌷 Woh theerandaaz, jise apne imaan bhaiyon (Muslims) ki hifazath ke liye muqarar kiya gaya tha, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke hukum ki nafarmaani kare aur apne muqarar theekanon ko chodkar , loot mein shaamil hone lage. Chaalis(40) sipayion ne , pahad se neeche uthar gaye aur baaqi muslims ko , besahara chodkar nikal pade, jiski wajeh se dushman ko do baara hamla karne ka mauka mila. Jab Khalid bin Waleed ne khaali elakha dekha, jo theerandazon ne chod di thi, faisla kiya ki woh dobara hamla karenge.
🌷Woh aur unke aadmi milkar, wahan maujuud dus(10) theerabdazon ja khatma kiya. Phir woh pahad ke eteraaf gaye aur Muslims ko hairaan kar diya, peechey se hamla karke. Ab Muslims phas gaye, Khalid ke ghudsawaar ne jung ki pukaar ki aur apni izzath ko barkharar rakne ke liye hamla kiya.
✨RASOOL( SalAllahu alaihi wa sallam) KE INTEQAAL KI AFWAAH ✨
🌷 Dusri taraf, saath(7) Ansaar aur do(2) Muhaajireen ke saath tehre hue, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne , saaf dekha ki Khalid ke ghudsawaar , pahadi ke peechey se daakhil hue, aur Aap ne apni buland awaaz se pukara, “Aye Allah(swt) ke bandon! Mere paas aao!” Mushrikeen , jo Aap ke khareeb maujuud muqarar the, Aap ki awaaz suni. Un mein ka ek fouji , Aap ki awaaz ki rukh ko pakada , aur us taraf aage badne laga, taake woh Aap ka qatal kar sake, issey pahele ki wahan koi madad pahunche.
🌷Jaise dushman nazdeek aane laga, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha:
👉🏻” Jo bhi , inlog se meri hifazat karega, woh Jannat ka haqdaar hoga aur woh Jannat mein mera Saathi hoga. “.Ansaar mein se ek shaks ne Aap ki awaaz suni aur apni jaan gawan kar Aap ki hifazat ki. Dushman Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke taraf badta gaya, aur khareeb aane laga. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne dobara awaaz lagaayi, aur Aap ke Sahabiyan , dushmanon ki taraf aage bade aur unhe aapni jaane gawan kar bhaagne ke liye majboor kar diya.
🌷Ek ke baad ek , saath (7) Ansaar , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko bachane ke khaateer , apni jaane de di.Jab yeh saath (7) Ansaari shaheed ho gaye, sirf do(2) Mujaahireen , Talha bin Ubaydullah aur Sa’d bin Abi Waqqas , Aap ke saath reh gaye. Ab mushrikeen , apne hamle ka nishana Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki taraf rukh kiya.
🌷Ek pathar Aapki taraf udah, aur Aap apni baaju par gir gaye. Aap ke neeche ke daanton mein se ek daant toot gaya, neeche ka ont(lip) cut gaya, aur Aapka helmet(sirband) bhi toot gaya, Aapka sir aur peshaani nazar aane lagi. Jaise hi dushman ka sipaayi , apni talwaar , Rasool (SalAllahu alaihi wa salkam) par ghusaayi, woh jaakar Aapke aank ki neeche ki haddi ko laga aur Aap ke helmet ke do rings Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke chereh mein chub gaye.
🌷Kisi aur ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke khaandey par itni zor aur taaqat se maara ki, Aap ko ek mahina tak uska dard bardaashth karna pada. Khushkismati se, Aap bahuth saare zakhmon aur maaron se bachgaye ,apne double kawach ki wajeh se. Haalanke, Ansaar aur Muhaajireen , apni jaane daaw par laga rahe the. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki hifazath karne, phir bhi Aap zakhmi ho gaye.
🌷Sa’d bin Abi Waqqas, mushrikeen par, theeron ki baarish karne lage, aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) unhe apne kosh mein se theeron pahuncha rahe the, aur unka housla bada rahe the, yeh kahkar,” Theer chalate raho, meri maa aur baap tum par qurbaan ho.” Udhar Talha bin Ubaydillah aisa lad rahe the, saare dushman ki jhund se, jaise maano maidan mein woh akele hi hai. Jung ke khatam hote hote unhe 35 ya 39 zakhm lag gaye the.
🌷 Talha (R.A) ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko dushmanon ke theer aur talwaaron se , apne haathon se tab tak hifazath ki , Jab tak ke unke ungliyon mein se khaan bhene laga, aur ungliyan bekaar ho gayi, woh besud hokar tehre rahe. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , unko tassalli dene lage aur kehne lage: ” Agar tum Bismillah kehte the, toh in logon je saamne hi, tumhe farishtey uthate the.”
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
END OF PART 91……
TO BE CONTINUED………..