SABAQ 90

🌻Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa  Barakatuhu 🌻
🌻SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚LESSON NO:- 9⃣0⃣ 📚
✨ SABAQ:-
🔻 Jung-e -Uhud.
       🌻JUNG – E – UHUD🌻
🌻 Ab Quraysh ke saamne do sharmandagi ke kisse pesh aaye, jiske saath unhe rehna hai. Badr aur Qardah ,inlog ki  bahuth hi buri haarein thi, aur ab waqt aa gaya tha ke woh apni har mumkeen zariyon se apne gusse aur nafrat ko Muslims ke khilaaf  fouji hathyaar banani hai. Zabardast tayaariyan zor se shuru ho gayi kyun ki Quraysh ne muhim shuru ki ,apni fouj mein jawanon ko shaamil karne ki, aur shaamil kiya un jawaon ko jo apni marzi se shaamil hona chahte hai, aur woh koi bhi , jo Muslims ke khilaaf nafrath rakta ho, khaaskar woh log jo Jung-e-Badr mein apne baap, bete aur bhaiyon ko kho chuke the. Shayaron ko laya gaya , taake woh apne badle ke taraanon se logon ke dilon mein aur nafrat bharde. Unlog ke saathi qabilon ko bhi Quraysh ke saath baith karne ko kaha gaya aur fauj mein shaamil hone ke liye kaha gaya.
🌻Auratein  unke saath jaane lagi taake unka housla bada sake aur unhe wahan se bhaagne se roke. Akhirkaar Quraysh 3000 fouji, 300 untein, 200 ghodein aur 700 armours (kawach ) ekkata(jama) karne mein kaamyaab hue.Abu Sufiyan, is fouj ja sippe salaar tha, aur Banu Abdul Dar ke bahadur jangjoyion ko fouj ke houdedaaron ki tarah muntaqim kiya gaya.
Gamandi aur darpok Makkah ki fouj   Madinah ki taraf nikal padhe.
🌻6 Shawwal, 3 A.H, jumme ke din , yeh shaher ke sarhadon par pahunchey aur Qanah ki waadi mein, khule maidanon mein , Aunain aur Uhud pahadon ke neeche apne kheemein lagaaye. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam), apne dushmanon ka intezar , hafta pahele se hi kar rahe the. Aap pahele se Madinah ke eteraaf hifazati  bandobast kar chuke the, taake shaher mehfooz rahe aur shaher mein emergency ki halaath ka  elaan kar diye.
🌻Jab Makkah ki fouj aa pahunchi, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne apne Sahabiyon se maushwara kiya , aage ke bachaav karwayi ke silsile mein. Aap ke tajveez (plan) ke mutabiq, woh shaher mein hi rahenge, aadmi , dushmanon ka muqabla , apne muhalle aur galiyon ke dakhilon par karenge, aur auratein , apne gharon ke chathon pe se hamla karenge. Jab yeh mansuba , samjhaya ja raha tha  woh munafiqeen jo wahan maujuud the, jo Muslim apne faydeh ke liye hue the  khush hue, yeh soch kar ki unhe jung ke maidaan mein jaane ki zarurat nahi hogi.
🌻Munafiqeen ka sardar   Abdullah bin Ubayy  is munsube ko support kiya, kyun ki woh hifazat se apne ghar mein hi reh sakta hai aur apne aap ko bacha sakta hai ,  is baat se ke woh jung ke maidaan mein peeche kar gaya. Kuch naujawaan , behrehaal, bechain the dushman ke saath, jung-e-maidaan mein saamna karne ke liye, aur direct fouji hamle par zor dene lage. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne unki baat maanli, aur uske mutabiq , apni fouj ko theen (3) tukdiyon mein takseem kiya- ek tukdi mein Muhajireen( hijrath kiye hue log) jiski rehnumaayi Mus’ab bin Umayr kar rahe the, dusri  tukdi Aus ke qabile ki thi, jiske sarparasth Usayd bin Hudair the, aur theesri tukdi thi Khazraj ki, jiske sarparasth Hubab bin Mundhir the.
.
🌻Asr’ ke Namaz ke baad, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) Pahad-e-Uhud ki taraf nikle,  aur Shaykhayn ke paas apni fouj ki jaanch ki. Aap ne naujawanaon ko wapas bhejne ka khayal kiya , unhe mehfooz rakhne ke liye. Lekin, phir Aapne Rafi bin Khadij ko rukne ki izzazat dedi, kyunki woh bahuth hi behtreen theerandaaz the, jiska hunhaar kaam aa sakta tha. Phir aaye Samura bin Jundab, azizi karte hue ki, unhe bhi rukne de. Akhirkaar, kya woh Rafi se zyadah taqatwar nahi the? Kya woh Rafi ko kitne hi baar neeche na  gira chuke the kushthi ke muqable mein? Samura ne azizi ki  dono ke beech ek jaanch muqabla karne ki, aur woh apne aap ko khaabil tehraya, toh Rasool (SalAllahh alaihi wa sallam) ne unhe bhi jung mein jaane ki izzazt dedi.
🌻Shaykhayn ke paas, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , ne Maghrib aur Isha ki Namazein ada ki. Aap ne raat wahin bitaayi, aur pachaas(50) chaukidaaron ki muqarar kiya , apne fouj ki hifazat karne ke liye. Raat ke ghere andhere mein, Aap wahan se nikle, Shaut ki taraf jaane ke liye, jahan  Aap be Fajr ki Namaz ada ki. Jaise ki saari cheezein aram se guzar rahi thi, munafiqeen ne pahela waar pheka. Abdullah bin Ubayy ne , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke khilaaf  isi waqt baghawat ki, aur apne 300 saathiyon ko wapas le liya.
🌻Uske  yeh harkatein Banu Salma aur Banu Harith ko chapet mein le liya. , Hairath aur maayus hokar unlogon ne is baat ka asar itna bura liya ki , woh apne aap ko bhi peeche lene ki sochne lage.
Akhirkaar, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne unhe samjhaya aur Allah(swt) ki rehmat se woh apna irada badal liya , lekin Muslims  ki tadaad 1000 se kam hokar 700 ho chuke the. Is trashna(cut kiye hue) fouj ko lekar , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) Uhud ke liye aage bade, chota raasta lete hue, aur apni dushmani fouj ko magribi elakhe mein peeche chod diye. Aap Pahad-e-Uhud ke waadi se hote hue , neeche uthrey, is ke darmiyaan saara waqt Apni peechave ko pahadi ki taraf hi rukh kiya hue the. Ab, dushman Muslims aur Madinah ke darmiyaan  the.
🌻 Phir Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) apni fouj ko jung ke liye taynaat kiya. Pahad-e-Ainain, jo baad mein chalkar Pahad-e-Ramaah ke naam se jaana gaya, wahan par pachaas(50) theer andaazon ki tukdi ko , Abdullah bin Jubayr Al-Ansari ke sarparasth mein taynaat kiya aur unhe hidayath ki ke , woh dushman ko roke rakhe aur apne Muslim fouj ki peechey se hifazath kare. Aur Aap ne unhe zor se hidayath ki ke, chahe kuch bhi ho jaaye, woh wahan se nahi hatenge aur wahan date rahenge. Woh wahan par jab tak rahenge , tab tak Aap ne koi hidayath na de, chaahe jung ka kuch bhi ho jaaye.  Mushrikeen bhi apni fouj ko , maidan-e-jung ki taraf liye, chaadaav karte hue, apni auraton ke taraane aur housla afzaai ki awaazein sunte hue. .
🌻Aage  kataaron mein badte hue aur apne tambourines ki awwazein karte hue, woh ga rahe the:🎶” Agar tum aage badoge, toh hum tumhe gale lagayenge, aur gaalinein bhijwa denge; agar peeche hatoge toh , hum tumse naraz hojayenge aur tumse dur hojayenge.” Woh jung ke ahedhidaaron ki taraf  muntaqib ho kar , unhe apne farz yaad dilate hue kehne lage:
👉🏻”Dekho, Banu Abdul Dar!Aye hamari khoum ki hifazath karne wale, talwaron se zabardast hamla karna.”
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
TO BE CONTINUED……..
END OF PART 90……..

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s