Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO:- 8⃣9⃣ 📚
🌷SABAQ:-
🔻 Ka’b bin Ashraf maare gaye.
🔻 Qardah ke Sariyya
✨KA’B BIN ASHRAF MAARE GAYE ✨
🌷 Muslims ke liye aur ek kaanta tha Ka’b bin Ashraf, ek bahuth hi zyada ameer yahudi shayar, jiski dushmani muslims aur Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se had se zyada thi. Ka’b, apni shayari karne ki hunar ka istemaal karte hue, woh aise wahiyath ashayar padta tha, jo Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , Aapke Sahabiyon , aur Muslim auraton ki izzat ko zaleel karte the. Jab ke woh apne dushmanon ki beizzati karta aur Muslims ke dushmanon ko bhadkaata , muslims se jung karne ke liye. Jung -e- Badr ke khatam hote hi , fauran woh Makkah ka safar kiya , wahan logon ko aur hawa de. Pahele se hi khoon ke pyaase aur gusse se bhare hue Quraysh se , yeh lambi lambi baatein karta, aur unlog ko josh mein laakar, apni haar ka badla lene ke liye bhadkaata.
🌷 Ka’b ek bahuth hi honhaar khiladi political leader tha, aur kyun ki shayari aur shayar ka muqaam Arab mein bahuth uncha tha, uske baatein Quraysh par asar kar gaye. Us ki badla lene ki pukaar ko , Quraysh bahuth hi khusi se qubool karliya, kyun ke iska kahna tha ki Quraysh ruhaani aur deeni tareeqe se Muslims se zyadah muqam rakte hai. Woh unhe samjhaya ki Banu Qaynuqa se jo kuch hua, ussey sabaq seekhna chahiye. Quraysh toh is ke liye .asaani se tayaar ho gaye., aur woh sab kasam kha kar Ka’b ke salah par chalne ke liye tayaar ho gaye.
🌷 Muslims ke khilaaf apna propaganda pura khatam karne ke baad, Ka’b , Madinah ko wapas lauta, yahan par bhi muslims ke khilaaf apne burey tajveez ko jaari rakhne ke liye. Jab Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) , Ka’b ke Madinah lautne ki baat suni, Aap apne Sahabiyon se kaha:
👉🏻”Ka’b bin Ashraf ne Allah(swt) aur Uske Paigamber ko naraaz kiya hai.Kaun mujhe Ussey chutkara kara sakte hai?”Is ke jawab mein, Muhammad bin Muslimah, Ubbad bin Bishr, Abu Naailah , Harith bin Aws aur Abu Abs bin Jabr aage bade aur yeh kaam ko anjaam dene ka zimma liya.
🌷 Muhammad bin Muslimah ko is muhim ke sardar ke taur par muqarar kiya gaya, aur unke mutabiq mansuba sochne lage, lekin is mansube mein daav paech shaamil the, unhone apne mansube ko amal mein laane se pahele Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki izazath lena chahte the. Jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Ka’b ko giraft mein lene ki izazath de di, Muhammad bin Muslimah , Ka’b ke paas gaye. Jab Ka’b ki hijkichahat khatam ho gayi, Muhammad ne raaz ki baatein ussey karne lage.
👉🏻”Yeh aadmi [Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki taraf ishara karte hue ]hamare paas sadaqah maangne aaya, lekin woh hame bade hi mushkilon mein daal diya.”
🌷Muhammad bin Muslimah ke baaton ka asar , Ka’b par seedhe aur jaisa chahte the, waisa hua. K’ab khushi mein aakar kahne laga, “Khuda ki kasam,.tum log is aadmi se aage chalkar aur tang pad jaaoge!” Ab Muhammad , Kab ka bharosa jeet liye, aapne us se gehun(wheat) aur khajuur udhaar maange, apni talwaar uske paas zamanath rakhkar. Unhe udhaar de diya gaya. Uske baad Abu Naailah , aaye uske paas, wahi shikayat lekar. Unhone, K’ab ko bataya ki unke bahuth saare saathi, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke taraf aise hi khayal rakte hai, aur woh un sab ko K’ab ke paas lekar aayenge, kyun ki unhe uski madad chahiye.
🌷 Ka’b bahuth hi inayath se unlogon se aage ki tareeq par mulaqaath karne ko raazi ho gaya, zyadah se zyadah Muslims ko Islam ke khilaaf paakar , bahuth khush ho gaya, kyun ke ab woh un Muslims ke zariye Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam ) ko nuksaan pahuncha sakta tha. Rabi’ Al-Awwal, ki chaudavan(14) din tha, aur pura chand Ka’b par chandni daal raha tha, jab woh apne mahal mein , apni nayi biwi ke saath leta hua tha. Jab paanch hathyaar liye hue Muslims usey pukaarne lage, Ka’b jaldi uthkar unse milne ke liye neeche gaya, apni biwi ke chetaavni dene ke bawjuud.
🌷 Woh shareeqon ko paakar , apni jeet par itna mutmayeen ho gaya tha ki, hathyaar liye hue Muslims ko dekhkar bhi woh hairaan nahi hua. Woh apne appko unka nishana nahi samjha.Woh sab tehlne ke liye nikal pade. Abu Naailah , Ka’b ki itr ki khusboo ki tareef karne lage. , aur unke sir(head) se khusboo sunghne ki izzazat chaahi. Tareef se khush hokar, Ka’b ne izazat dedi. Abu Naailah ne uske sir ko sughne lage aur phir, Ka’b ka sir apne haathon mein lekar, apne saathiyon se kaha ki woh bhi is khusboo ka jayzaah (maza) le.
🌷Woh aisa karne ko phir se kaha aur khushboo sughne ki izazat di. Jab Ka’b ja sir unke pakad mein mazbooti se aaya, Abu Naailah ne apne saathiyon se kaha: ” Pakdo is Allah(swt) ke dushman ko! ” Fouran , dusre log, apne talwaaron se hamla kare , lekin kaamyaab nahi hue. Akhirkaar, Muhammad bin Muslimah , apne kulhaari se Ka’b ke pet par maara. Jaise hi kulhaari jism mein dhas gayi, Ka’b buri tarah cheekhte hue mar gaya. Wahan ke awaazon se Ka’b ke log jaag uthe, woh mahal ke upar chiraagen lagaye, lekin inlogon ko woh paanch log nahi dikhayi diye, jo wahan se bhaag chuke the, akhirkaar apne khule aam dushman ko khamosh kar diye.
🌷Ka’b ki mauth se yahudi ki himmat toot gayi. Apni nayi na umeedi ko lekar , unlogon ne faisla kiya ki ab woh Muslims par khule aam jung nahi karenge, aur apne aap ki khamosh kar liya. Aur Muslims kuch waqt ke liye zulm se mehfooz ho gaye.
✨QARDAH KE SARIYYA ✨
🌷 Jamad Al-Awwal, 3 A.H mein, Quraysh ne Syria ko karobaari caravan bheja , Iraq se hote hue. Woh caravan ko Safwan bin Umayya ke supurd kiya aur woh koi nuksaan ka andesha nahi kiya , kyun ki unka raasta Najd se hote hue guzar raha tha, jo Madinah se aur Muslims ki khauf se dur tha. Jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko Quraysh ke caravan ka, jo kheemti samanon ka tha, pata chala toh , Aap ne do sau (200) ki fouji jamaath ko, Zayd bin Haritha, ke sippesalaargi mein rawana kiya. Najd mein, caravan ek chashme ke paas ruka , jiska naam Qardah tha.
🌷Zayd aur unke aadmi caravan par aur uske musafiron par toot pade. Haalanke , aadmi bhaagne mein kaamyaab rahe, unka saara kheemthi maal, aur caravan ka raahgir(guide) , Furat bin Haytan Muslims ke haath lag gaye. Jo insaani bartaaw , Furat ne Muslims ke haath paaya, woh itna mutassir ho gaye ki , woh Islam qubool kar liya. Jab loot maal ka jayzaah liya gaya , uski keemat sau hazaar dirhams(100, 000)tha. Is hamle ke baad , Muslims ne Quraysh par maali haar bhi dedi, Badr ke fouji haar ke saath saath.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
TO BE CONTINUED………
END OF PART 89……….