SABAQ 51

Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 
SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
LESSON NO : 51
SABAQ:-
🔻 Mushrikeen ne Umar( R.A) ke Islam quboolne ki khilafat ki.
🔻Umar( R.A) ke Islam qubool karne ki wajah se Islam ki mazboothi.
✨ MUSHRIKEEN NE UMAR (R.A) KE ISLAM QUBOOLNE KI KHILAFATH KI
Umar ( R.A) , apne qabile ke logon mein , apne size aur
apni mizaaz ke liye mashoor the. Jab ke aap ab  Muslim ho gaye, aapne pakka iraada kar liya ki, aap Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke dushmanon ke saamne, apne Imaan ka elaan karenge. Kaun magar Abu Jahl, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ka kattar dushman hai, jise yeh khabar ki etelah pahele di jaye? 
Umar ( R.A) ne Abu Jahl ka darwaaza khatkhataya. Abu Jahl bahar aaya aur unhe salaam kiya. “Khushaamdeed! Kya baat hai , aap mere yahan aaye? “
👉” Main yahan is liye aaya hun , ke tumhe etelah karun ke maine Allah( swt) ka aur Uske Paigamber,Muhammad
(SalAllahu alaihi wa sallam) 
ke deen ko qubool kar liya hai” Umar( R.A) ne bade hi narmiyath se kaha.
Abu Jahl  ne yeh chaukaane waali baat suni kaha,
👉“Khuda , tumhe barbaad kare aur tumne yeh kya laya!” Umar ( R.A) , uske baad Asi bin Hashim ke yahan gaye, jo gabrahat se jaldi apne ghar mein chala gaya jab usne yeh khabar suni. Umar ( R.A) ja agla muqaam Jameel bin Mu’ammar Jami ka ghar tha, 
Jo yeh sansani khabar , sab ko phaila raha tha.
Jab Umar(R.A) ne usse kaha ki, unhone Islam qubool kiya, Jameel cheekh utha, 
👉“Khattaab ka beta bedeen ho gaya!”
👉“Tum jhooth kah rahe ho,” Umar( R.A) ne gusse se kaha. “Main Muslim ho gaya hun.”
🌷 
Logon ne Jameel ki cheekhen suni aur wahan daud aaye. Woh sab Umar (R.A) ki taraf palte aur unhe maarne lage, magar aap unse lade aur phir ghar wapas aa gaye. Lekin mushrikeen, Umar( R.A) ko aasaani se chodne ke liye tayaar nahi the. Woh sab ekkatta jama hue aur faisla kiya ki Umar (R.A) ko mauth ke ghaat utharenge. Ek bahuth bada majma jama hua aur apna iraada pura karne ke liye , aap ke ghar ki taraf nikal pade, lekin beech mein inlogon ki mulaqaath Aas bin Wa’il Sahmi se hui.
🌷 Woh Banu Sahm se talukh rakhte the, woh qabila jo Umar( R.A) ke qabile  Banu Adiy se bahuth nazdeekh ka rishta rakhtha tha. Umar( R.A) ne Aas se kaha, ” Tumhare log , mujhe maarna chahte hai.”
👉” Namumkeen,” Aas ne kaha. Tab hi unhone ek badi bheed ko bahar jama hote aur unki taraf aate dekha.
👉 ‘Kahan jaa rahe ho?” Aas ne bheed se pucha.
👉” Khattaab ka beta bedeen ho gaya hai,”unlogon
ne jawab diya. “Yeh raaste mein se koi bhi raasta Umar ke ghar ki taraf nahi jata”, Aas ne jawab diya.
🌷 Saara majma Aas ki taraf dekhne laga, jo unlogon kw saambe khade hue the,  ek shaandar shaksiyath , apne dharidaar Yemeni libaas mein jispar lace lagi hui thi. Logon ne unki chupi hui dhamki ko samaj liya aur socha ki Umar( R.A) ko ab akele chod dena behtar hai aur wahan se chale gaye.
✨ UMAR(R.A) KE ISLAM QUBOOL KARNE KI WAJEH SE ISLAM KI MAZBUTHI ✨
🌷 Ab tak ke Muslims , hamesha chupkar ibaadat kiya karte the. Khule aam ibaadat karne ka khatrah tha Makkawalon ke gaaliyan aur unke haathon maar khana. Umar( R.A) behrehaal , mehsus kiya ki , ab waqt aa gaya hai ki Muslims apna deen khule aam amal kare, apne dushmanon ke nazron ke saamne.”Ya Rasool Allah!”   ek din Umar( R.A) ne kaha
👉” Kya sacch hamari taraf nahi hai, chahe hum jiye ya mare? Kyun hum hamara deen chupayen? Main Allah(swt) ki kasam khata hun , jo Aapko hamare liye bheja, Sacch ke saath , jo ab hum zyada nahi chupayenge!”
🌷 Umar( R.A) ki baath sahi saabith hui, yeh faisla kiya gaya ki ab chupkar ibaadat nahi ki jayegi.Muslims saare , Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ke peeche do kataar mein khade hokar Ka’bah ki taraf chalne lage, ek kataar ki khiyaadat Hamzah( R.A), aur dusri kataar ko Umar( R.A) ne ki. Makkahwale dekhte hi rah gaye ki Muslims , Rasool.( SalAllahu alaihi wa sallam) ke peeche , jamaat mein ibaadat karne lage. Us din se Umar ( R.A) ko “Farooq” kahkar pukara jane laga, jiska matlab hai ‘woh jo sacch aur jhooth mein faraq karne ki qabiliyath raktha ho”.
🌷 Ibn Mas’ud ( R.A) , Rasool
( SalAllahu alaihi wa sallam) ke Sahabiyon mein se ek the, unhone kaha, ‘Jis din se Umar ne Islam qubool kiya, hambe taaqath aur izzat , dono hi payi hai.’ Unhone yeh bhi kaha, ” Hum Ka’bah ke paas ibaadat nahi kar paye jab tak ke Umar ne Islam qubool  nahi kiya.”
🌷Suhayb( R.A) , ek aur Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke Sahabi ne kaha, “Islam roshni mein aaya, jab Umar ne roshni qubool ki. Hum khule aam tableegh kar sakte hain aur Ka’bah ke paas jamaat bana sakte hain, aur hum unlog se bhi badla le liya jo hum par zulm kiya karte the.”
TO BE CONTINUED……
END OF PART 51…….

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s