Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD
( SalAllahu alaihi wa sallam)
LESSON NO:- 52
SABAQ:-
🔻Aisi peshkash jo aam insaan inkaar na kar paaye
AISI PESHKASH JO AAM
INSAAN INKAAR NA KAR
PAAYE
Ek baar phir Makkah ke mushrikeen ne faisla kiya ki ab waqt aa gaya hai ki woh aapas mein baat cheet karen , Islam ki badthi hui mazbuthi aur taaqat ko lekar. Hamzah(R.A) aur Umar(R.A) ke Islam qubool karne ke baad , bahuth saare cheezon mein tabdili ho gayi, aur Makkahwalon ko ehsaas ho gaya ki unki buniyaadi taaqat jaldi hi khatam ho jaye gi.
Utbah bin Rabi’a, Banu Abd Shams ke member, apne logon ke sardaar aur saare Makkah ke baizzat shaks the. Woh ,dusre saare Makkah ke naamcheen shaksiyath jo jama hue the Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) aur Aapke Sahabiyon ke masail par baat cheeth karne ke liye, unlogon se muntaqeeb hokar kaha:
“Aye Quraysh ke logon! Kya main Muhammad se baatcheeth nahi karsakta aur unse sauda kar sakta? Hosakta hai ki woh meri peshkash qubool karle, jiski wajeh se, hum sab unse chutkara paa sakte hain.”
Anjuman( council) ne haami dedi, aur Utbah ko zimmedaari di gayi ki woh Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) se milkar , ek aisi peshkash de , jo koi bhi aam insaan ho inkaar na kar paaye.Utbah ne dekha ki Muhammad( SalAllahu alaihi wa sallam) , Ka’bah mein akele baite hain.
Usne kaha:
“Aye mere bhatije! Aap ko maalum hai ki , aap ka is shaher mein kitna bada muqaam hai. Aap , hum sab se zyada behther hain, izzat aur nisaab( lineage) mein. Jab ke aap ne kuch gheri cheez hum sab mein laayi hai, aur aap ne logon ke beech daraar kardi hai unka mazaak banake, unke khudaaon ki aur unke deen ki beizzati karke, elaan karke ki unke baap dada kufr karte the, aur unke riwaazon ki khilafath karke. Ab , aap meri baat suno. Main chand tajveezen pesh karta hun, aur aap shayad usme se ek
par raazi ho haye.”
“O Abul Waleed,” Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne jawab diya. “Aap kahte jaao. Main sun raha hun.”
Utbah jaari ho kar kahne lage:
” Mere bhatije, agar woh daulat hai jo aap talab karte ho , apni tableegh ke zariye, hum itni daulat jama karke aap ke nazar kardenge ki , aap hum sab se zyada daulatmand shaks ho jayenge. Agar aap, rutbah talab karte ho, hum aap ko hamara sardaar kharaar kardenge sur har faisla aap par chod denge. Agar aap baadshahi ki talab rakte ho, hum aap ko hamara badshah kharaar kardenge. Agar aap, khubsoorat auraton ki khwaish karte ho, tho aap Quraysh ki kisi bhi aurat ko chunlijiye–hum aapko, aisi dus(10) auraten , nikaah mein dedenge. Agar aap par kisi jinn ne khabza kiya hai, hum behtreen se behtreen hakeem dundenge aur aap ki saheth achi hone ke liye , saara kharcha karenge.”
” Kya aap ko itna hi kahna hai?” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne pucha. “Haan,” Utbah ne jawab diya.
” Ab aap mujhe suno,”Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha. “Main sun raha hun,” Utbah ne kaha. Phir.Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne Surah Fussilat ki shuraath ki ayaah ki tilawath ki:
” Haa-Meem ( yeh naazil kiya hai Usne ,jo bada Rahemwala, bada Meherbaan hai) , Ek kitaab hai, jiski ayaah muffasil(detail) farmaayi gayi. Arabi Qur’an aqalmand logon ke liye hai. Khushkhabri deta aur dar sunata, toh in mein aksar ne muh pherliya, toh woh sunte hi nahi. Aur kaha-hamare dil mein pardah hai, is baat se jis baat ki taraf tum bulaate ho-aur hamare kaanen bhairen ho gaye-aur hamare tumhare darmiyaan parda hai. Toh tum apna kaam karo aur hum apna kaam karte hai.”
( 41: 1-5)
Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) tilawath karna jaari rakha, aur Utbah bahuth khayal se sunrahe the.
Tab Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) is di hui ayaah par pahunche:
” Phir agar woh mun pher liye, toh tum farmaye ke main tumhe darata hun ek bijliki kadak se, jaise bijli ki kadak ‘Aad aur Thamuud’ par aayi thi.”
( 41:13)
Utbah , apna haath Muhammad ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke munh par rakha aur azizi karne lage ki , aisa khatarnaak azaab na laaye. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ek aisi ayaah par aaye jahan sajdah karna wajib tha, aur Aap ne sajdah kiya. Apni tilawath mukammal hone ke baad, Aap ne Utbah se pucha,
“O Abul Waleed, kya aapne suna?”
“Haan” unhone jawab diya, ” maine suna.”
“Toh ab faisla karne ka waqt aapka hai,” Muhammad
(SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha.
TO BE CONTINUED……..
END OF PART 52….. ………
Sharing Islamic posts will get you Sawab e Jaria. So share it now via
Like this:
Like Loading...
Related