Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu
SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
LESSON NO : 57
SABAQ:-
🔻Muqtea karna (boycott) khatam hua ( continued)
MUQTEA KARNA (BOYCOTT) KHATAM HUA
( CONTINUED )
Hisham ne pahele Zuhayr bin Abd Abi Unayya Makhzoomi[ Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke rishte ke bhai], Mut’im bin Adiy, Abul Bukhtari bin Hashim, se baat cheeth ki, aur akhir meinZam’a bin Aswad se baat cheeth ki. Woh unlog se rishtedaari ka waasta dekaar baat cheeth ki aur baar baar unlog se raabta banaya ki woh yeh zulm rok de. Yeh saare log jab inki guzarish suni, woh sab maan gaye ki , jo farmaan ka’bah mein latkaya gaya , use tukdon mein phaad diya jaye.
Dusre din subah , chaar shaks , Quraysh ke dusre members ka ka’bah ke paas ekkatta hone ka intezaar kar
rahe the. Zuhayr , ka’bah ka tawaaf mukammal karke, in logon ke saamne aakar tahre. ” Aye Makkah ke rahnewalon,” inhone kaha.
“Kya hum acha khaaye aur piye, jabke Banu Hashim bhook se mar jaay, bina kuch khareede ya bechey? Khuda ki kasam , main tab tak araam nahi karunga, jab tak ke yeh berahem aur nainsaaf wala farmaan ko tukde na kardun.”
Abu Jahl gussa ho gaya:
“Tum galath ho! Khuda ki kasam, isko phada na jayega.”
Zam’a iske muqabla mein kaha
” Khuda ki kasam! Woh tum hi ho ha galath ho. Jab yeh farmaan likha gaya, hum us par raazi na the.”
” Zam’a sahi hai,” Abdul Bukhtari ne jawab diya. “Hum raazi nahi the jo kuch us farmaan mein likha gaya tha, naahi hum uski tasdeeq karte hai.”
Ab , Mut’im bin Adiy ki baari thi. ” Aap dono sahi hai. Is farmaan ke inkaar karne mein koi gunaah nahi. Hum Khuda se rihahi maangte hai is farmaan ke maamle mein aur is mein jo kuch likha gaya hai.” Hisham bin Amr ne Mut’im ki baat se raazi hone ka izhaar kiya.
Yeh achanak sab ki bagawat dekhkar Abu Jahl ko shaque hone laga. “Aisa lagraha hai ke yeh pahele se hi mansuba ban chuka hai. Tum log ka itna fikr karna, aisa lagraha hai ki, iski beenj kahin aur hi daali gayi,” Abu Jahl ne apni ikhtelafaath zahir ki. Is baat par, Abu Taalib ne dekha ki , unka acha maukha hai beech mein baat karne ka. Woh Ka’bah ke sarhad ke paas aakar ,Quraysh se kaha Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko is zaalim farmaan ki nistonabood hone ki basharath ( wahi) hui thi.
Woh khade ho gaye, aur Quraysh ki taraf ruju hokar kahne lage ki Allah(swt) ne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko wahi bheji ki , Ka’bah ke andar is farmaan ko demak kha jayegi. Is farmaan par wahi alfaaz jo bakhi hai, Abu Taalib ne kaha , woh hai ” Aap ke naam se ,Aye Allah.”
Abu Taalib ne Quraysh ko chunauthi di, kahne lage ki agar Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka mutalbah (dawa) galath sabith hua, toh woh Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) aur unlog ke darmiyaan mein nahi rahenge . Lekin , agar Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki baath sach hui toh, Quraysh Is mutqea band karwayenge. Quraysh ne Abu Talib ki chunauthi maanli.
Jab Mut’im bin Adiy farmaan ko nikaalne khade hue, wahan hama saare log ne dekha ki woh pura kharab ho chuka tha. Us par baqi alfaaz yeh the'” Busmika Allahumma”( aapke naam se, Aye Allah) aur Allah( swt) ka naam.
Allah( swt) ne Quraysh ko aur ek nishani di, magar phir ek baar , in log ne use qubool karne se mana kiya aur Islam qubool na karke galthi ki. Unlog ka sirf yeh muafzah tha ke , woh is boycott ko bandh kare. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) aur Aap ke Sahabi pagadon ki wadiyon se bahar aaye sur inlog ko Makkah mein dobara rahne ki izzazat dedi gayi.
TO BE CONTINUED…….
END OF PART 57 …….
Sharing Islamic posts will get you Sawab e Jaria. So share it now via
Like this:
Like Loading...
Related