SABQ 104

🌹Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌹
🌹SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam) 
📚LESSON NO:1⃣0⃣4⃣📚
✨SABAQ:-
🔸Yamamah ke sardaar ki giraftaari
🔸Banu Lihyan ki Muhim
🔸Abul Aas ne Islam qubool kiya.
✨YAMAMAH KE SARDAR KI GIRAFTAARI ✨
🌹Thumama bin Uthal , Yamamah ke sardar the. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) aur Islam se unki nafrath , unhe Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki zindagi par hamla karne ki taraf dhakla. Aur Musaylimah , Farebi aur Jhoota , jo apne aap ko paigamber muqarar kiya hua tha aur jo apni khudgarzi ke liye aur apni  kuch khawaishon ke liye  Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam ) ka qatal karna chahta tha, Thumama ko bhadkaya aur woh apna huliya badal kar 6 A.H, Muharram ke mahine mein apba maqsad pura karne nikal pada.
🌹  Uska maqsad tha ki woh Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka qatal karey, lekin usko kuch gudsawaar Muslims , jo Banu Bakr bin Kilab ki khilaaf khatarnaak muhim se wapas laut rahe the, giraftaar kar liya. Muslims, jo Muhammad bin Muslimah (R.A) ki cammandari mein the, Thumama ko apne saath Madinah lekar aaye, jahan woh usey , Masjid-e-Nabawi ke ek pillar se baand diya.
🌹Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne qaidi ko dekha aur  ussey pucha,
👉🏻”Tum kya ummeed karte ho, Thumama?”
👉🏻” Main acha hi ummeed karta hun, kyun ki agar aap mujhe maar te ho, toh aise shaks ko maarte ho, jiske khoon ka badla liya jayega. Agar aap mujh par meherbaani karte ho, toh aap usko dikhate ho, jo meherbaan hai;.agar aap ko jaydaad chahiye, toh aap ko jitna chahiye , utna milega.”
🌹Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne unhe wahan par hi chod diya. Dusre din bhi , wahi sawaal pucha gaya aur wahi jawab wapas diya gaya. Theesre din , usi baatcheeth ke aakhir mein, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Thumama ko riha karne ka hukum diya. Aisa mehsus hota tha ki , Thumama ne yeh theen din, apne rihayee se zyadah , dusre maamlon ki fikr mein zyadah guzara. Riha hone ke baad , unhone gusul kiya aur kaha ki unhe Islam mein daakhil kiya jaaye. 
🌹 Baad mein, unhone , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) se kaha,
👉🏻” Main Allah(swt) ki kasam khakar kehta hun, Aye Muhammad(SalAllahu alaihi wa sallam) ‘ duniya ke chehron mein se , kisi bhi chehre se mujhe utni nafrath nahi thi, jitni aapke chehre se thi, lekin ab Aap ka chehra mujhe har cheez se zyadah azeez hai. Main kasam khakar kehta hun ke mujhe duniya mein se  koi bhi deen se itni nafrath nahi thi, jitni aapke deen se thi, lekin ab yeh mujhe har cheez se zyadah azeez hai.” 
🌹Thumama , Madinah se nikle , Makkah mein Umrah karne ke liye gaye , jahan par   apna dil badalne ki wajeh se,  Quraysh unpar gaaligaloj aur taane kasne lage . Thumama ka jawab tez raftaar se nikla. ” Allah(swt) ki kasam, Yamamah se tumlog ko ek dana gehun bhi haasil nahi hoga , jabtak ke Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) izazath na de.” Thumama ne bade hi saaf tareekhe se kaha, aur Quraysh is baat se mayuus rah gaye, kyun ke kisi bhi caravan ko Quraysh ke yahan gehun laane nahi diya gaya. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki ek khath likha gaya, Aap se azizi karte hue ke yeh mumaniyath  ko utha/khatam  kiya jaaye, aur Thumama ne  Meccawalon se  karobar dobara tab hi shuru kiya, jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne unhe aisa karne ki sifarish ki. 
✨BANU LIHYAN KI    
            MUHIM ✨
🌹 Usfan  mein, Hijaz ki beechon beech mein rahta tha  Banu   Lihyan ,woh qabila jo  Raj’i mein sattar(70) Muslims ko shaheed kar diya tha.  Is gamgeen hadse ki yaadein     Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke dil mein ,yeh arzoo bhardi thi ke  Aap Banu Lihyan ko saza de, lekin Aap ko bahuth saare dusre naazuk aur nagahani zaruri  halathon ki taraf tawajju  rakhna tha aur Aap usey nipta rahe the. Jung-e-Trench bhi isi mein se ek hai.
🌹Lekin, jald hi itehaad ki nakaamyaabi ki wajeh se jo sukoon ka mahol hua, Aap ko maukha diya ke  wapas badle ki muntasir karey.  Rabi Al-Awwal, 6 A.H. mein,  do sau(200) fouji aur bees(20) bahadur ghudsawar foujiyon ke saath, Aap khoonkhaar qatil Banu Lihyan ki taraf rawana hue. Jungi  Jamaath , Batn Gharan, ek waadi jo Amj aur Usfan ke darmiyaan thi , wahan pahunchey, jo qatle aam ka muqaam tha. Wahan par Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne shaheedon ki magfirath ke liye ibadath aur dua ki aur wahin par do(2) din ruk gaye. 
🌹 Jab Banu Lihyan ko, unke khilaaf  is jungi chadaav ki khabar mili, toh pakde ya qaid hone se bachney ke liye pahadon mein jakar chup gaye, isliye Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , apne dus(10) gudsawar ke saath , muhafiz.dasta lekar Usfan pahunchey.  Woh.Karaa’ Al-Ghamaim tak pahunchey. Chaudah(14) din ke baad, Muslims ko majburan Madinah wapas lautna pada. 
✨ABUL AAS NE ISLAM QUBOOL KIYA  ✨
6 A.H. Jamadi Al-Awwal mein, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko khabar mili ke ek Quraysh ka caravan Syria se wapas laut raha hai, aur Aap ne 170 ghudsawar ko Zayd bin Haritha (R.A) ki sarparasthi mein ‘Is ko rawana kiya.  Caravan , Abu Aas , Zaynab(Rasool(SalAlkahu alaihi wa sallam) ke chaar betiyon mein se ek hai)   ke shohar ke sarparasth mein tha. Shohar aur biwi theen(3)  saal se alag alag rah rahe the,.kyun ki Zaynab , Madinah apne waalid ke saath hijrath jar chuki thi,  apne shohar ke Islam qubool karne se inkaar karne ke baad. 
🌹Muslims ne saare caravan ko gher liya siwaye Abul  Aas ke, jo Madinah bhaag nikle aur apne biwi Zaynab ke yahan panah leli. Unhone apni biwi se guzarish ki ke woh apne waalid  ko sifarish karey ki caravan ka maal lauta de. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne apni beti ki guzarish sunli. Abul Aas, jo apne karobari hunar aur imandaari ke liye mashhoor the,  Makkah wapas laute, maal saara , unke sahi maalikon ke supurd kiya aur phir Islam qubool kiya. 
🌹Woh phir Madinah hijrath kiye , jahan woh apni biwi Zaynab se dobara milgaye.  Kyun ke jab tak , woh ayah jo gair momin ke beech ke  shaadi ko rad /mana karti hai, naazil nahi hui thi, in dono ka nikaah muqarar raha. Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) , is daur mein , kayi gudsawar fouj (Saraya) rawana kiye the. Yeh bahuth hi ahem rahe , kyun ke is waqt badte hue dushmanon ka khatma hua aur dur dur tak aman aur sukoon qayam kar paaye the. 
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
END  OF LESSON 104……
NEXT LESSON TO BE CONTINUED..

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s