🍁Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🍁
🍁SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO: 7⃣4⃣ 📚
🍁 SABAQ:-
🔻Dar An-Nadwah ka anjuman (continued)
🔻Jibra’eel(alaihi salaam) , Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) ko khush khabri sunate hai.
✨DAR AN-NADWAH KA ANJUMAN(CONT…..)✨
🍁Abul Aswad ne mulaqaath ke liye jama hue jamaath ka agaaz yeh kahte hue shuru kiya:
👉🏻” chalo hum sab Muhammad ko apni sarhad(elakhe) se bahar nikaal kar , unse chutkara payenge. Yeh har mamele ko theek kardega.”
🍁Shaikh Jaleel ko yeh mansuba theek nahi laga.
👉🏻”Kya tumne nahi dekha, Aapke baaten kitni mithi hoti hai, aur kaise Aap logon ke dilon ko jeet lete hai? Agar hum unhe bahar nikaal dete hai, toh Aap asaani se koi aur qabila dekhlenge aur unhe , apne maanne walon mein shaamil karlenge.Unki madad se , hum par hamla karenge aur jaise chahe waise humse pesh ayenge. Koi aur mansuba sochiye.”
🍁”Phir hum unhe qaid kardenge, jab tak ke Aap ko mauth na aa jaaye. Woh bhi usi tarah mauth ka anjaam paayenge , jaise khadim zamane mein shayeron ka anjaam hota tha. ,” Abu Bukhtari ne mashwara diya. Shaik Jaleel ne phir dakhal dete hue kaha,
👉🏾” Khuda ki kasam, agar tumne Unhe qaidi banaya aur hirasath mein le liya, yeh khabar Unke sahabiyon (saathiyon) tak pahunchegi, jo Aap ko apne baap aur beton se zyada mohabbat karte hai. Woh sab tum par hamla karenge aur Aap ko chuda le jayenge. Ek baar unlog ki tadaad bad gayi, toh woh sab wapas aayenge aur tum sab par fateh haasil karenge. Koi aur mansube ke baare mein socho.”
🍁Akhirkaar, Abu Jahl , jo khud Shaytaan ka mukhalif tha, apna mansuba pesh kiya. “Mera khud ka khayaal hai,” woh kahna shuru kiya,
👉🏾”Main dekh raha hun ke tum mein se koi bhi yeh baat tak nahi pahunche. Hum sab har qabile se azeem paidayesh wale , taqatwar aur hoshiyaar naujawanon ko chunna chaiye. Har naujawaan ko talwaar di jayegi, jo tez aur khatarnaak hogi. Yeh naujawaan , ek saath , ek bankar Muhammad ki taraf badenge aur ek saath, ek bankar hamla karenge. Kyun ke is qatl mein saare qabile ke naujawaan honge, Banu Abdu Munaf, Muhamaad ke rakhwale , itne saare Quraysh ka saamna na kar payenge. Phir woh sab , humse khoon ke badle ka muaafza qubool karlenge jo hum sab badi asaani se ada kar sakte hai.”
🍁” Yeh mansuba sab se badiya hai,” Shaikh Jaleel ne haami bharte hue elaan kiya. Wahan se anjuman ki mulaqaath khatam hui, unhe itminaan hogaya ki ab unke paas pakka mansuba maujuud hai. Ab sirf mauka aur waqt dekh kar tayari karni hai.
✨JIBR’EEL(alaihi salaam) , RASOOL (SalAllahu alaihi wa sallam) KO KHUSH KHABRI SUNAATE HAI.✨
🍁Is beech, Jibr’eel(alaihi salaam) , Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas wahi lekar aaye, ki Allah(swt) ka hukum hai , ki ab Aap hijrath kare. Jibr’eel(alaihi salaam) ne Aap ko rawana hone ka mukharar waqt bataya aur Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko yeh etala bhi dedi ke Quraysh , Aap ke qatl ka mansuba kar chuke hai.
👉🏻”Aap aksar jo bistar par sothe hai , us par mat so ya kare,” unhone Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam ) ko hidayath farmaayi.
🍁Dopahar ke waqt , jab har koi araam farma rahe the, Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) , Abu Bakr Siddeeq(R.A) ke ghar gaye, aur unhe yeh khush khabri sunaayi. Jaldi se aap dono ne lambe safar ki tayari ke liye unton ko tayar karne lage. Aap log ne Abdullah bin Urayqat ko muntaqib kiya, ke woh inhe Yathrib ke raaste mein madad kare. Abdullah, Makkah aur Yathrib ke darmiyaan ka raaste se achi tarah waqeef the, aur haalanke woh muslim nahi the, woh Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) aur Abu Bakr( R.A) ko chupkar lejaane ke liye tayaar hogaye.
🍁Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne Abdullah ko Pahad-e-Thawr ke paas theen raaton mein milne ko kaha. Is beech , Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne , apne aapko rozmaza ke kaam mein masruf rakha , taake kisi ko shaque na ho ke Aap Makkah chodkar jaane wale hai. Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) hamesha shaam ki namaz ke baad so jaya karte the, aur aadhi raat mein uthkar , Tahajjud ki namaz ke liye Ka’bah jaya karte the.
🍁Jis raat mein Aap ko rawana hona tha, Aapne Ali (R.A) ko apne bistar par sone ko kaha, yeh yaqeen dilate hue ki, unhe koi nuksaan nahi pahunchega. Jab har koi apne bistar par jaa chuke the, Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) ke qaatil, Aapke ghar ko gher liya. Unhone dekha ki Ali(R.A) , Rasool (.SalAllahu alaihi wa sallam) ke bistar par hare chogha mein lipte hue so rahe hai, toh woh soche ki , woh Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam ) hi hai. Unke mabsube ke mutabiq, unhe intezaar karna tha, aur jab Aap ghar ke bahar nikalte , Aap par hamla karna tha.
🍁Quraysh , is baat se waqeef nahi the, ki jab woh mansube bana rahe the, Allah(swt) bhi mansube bana raha tha.
📖”Yaad karo kaise mushrikeen , tumare khilaaf mansube banarahe the, tumhe qaid karne, tume maarne ya tumhe Makkah se bahar nikaalne. Woh mansube banaye, lekin Allah(swt).bhi mansube banata hai, aur mansube banane mein Allah(swt) bahuth azeem hai. “📌(8:30)
🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁
TO BE CONTINUED……….
END OF PART 74……