🌹Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌹
🌹SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚LESSON NO: 7⃣3⃣ 📚
🌹 SABAQ:-
🔻Muslims , Madinah ki taraf hijrath kiye.
🔻Dar An-Nadwah ki anjuman
✨MUSLIMS, MADINAH KI TARAF HIJRATH KIYE.✨
🌹Aqabah ka dusre ahad , muslims ke halaath mein bahuth badi tabdilee le ayaa. Ab unhe Yathrib mein panah ki jagah mil gayi, aur wahan ke log un sab ki hifazath karne ke liye tayaar the. Jald hi Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko bhi wahi mil gayi thi Yathrib ki hijrath karne ke liye.
🌹Aap ne apne Sahabiyon se kaha,
👉🏻” Mujhe etela di gayi hai ki hum sab ko ek din Makkah se khajur ki sarzameen ko hijrath karni hogi. Mere khayaal se woh ya toh Yamama hai ya phir Hijr.” Aur ek aur moukhe par Aap ne kaha,
👉🏻” Mujhe woh jagah dekhaayi gayi ,jahan hum hijrath karne wale hai. Woh lava ke do pahadiyon ke beech mein hai. Woh ya toh Hijr hai ya phir Yathrib.”
🌹Is panahgah ka faydaa lekar , jo inhe ata ki gayi hai, bahuth saare muslims, ahad ke baad Yathrib ki taraf hijrath kiye. Pahele rawana hone wale the Abu Salamah Makhzoomi(R.A) , Umm Salamah (R.A) ke shouhar. Woh apne biwi aur bacchon ke saath Aqabah ke Dusre Ahad ke ek saal pahele hi hijrath karne ki koshish ki thi, lekin unke qabile ke log , unke biwi , bachhon ko le jaane ki izzazath nahi di thi, toh inhe majburan akele hi Yathrib ki hijrath karni padi. Ek saal baad Umm Salamah(R.A) bhi apne shauhar se jaa mil gaye.
🌹Amir bin Rabi’a, unki biwi Layla bint Abi Hathma, aur Abdullah bin Umm Maktoom(R.A) , Abu Salamah(R.A) ke baad hijrath kiye. Makkah se nikalna bahuth hi mushkil tha, kyun ke Makkah se yeh sab Quraysh ke ankhon se bachkar nikalna tha. Lekin Umar bin Khattab(R.A) , Quraysh ke ankhon ke saamne se Makkah chodkar Yathrib ko rawana hue, aur kisi mein himmath na thi ke aap ko roke. Aap ne apne saath bees(20) aur logon ko saath le gaye.
🌹Jald hi, lagbhag saare Makkah ke muslims , Yathrib ko rawana hi gaye. Yagan tak ke Abyssinia ko hijrath kiye hue log bhi(muhajir) , Aqabah ke Ahad ke baare mein sunkar, Yathrib ki taraf rawana hone lage. Lekin, Abu Bakr(R.A) , Ali(R.A), Suhayb(R.A) aur Zayd bin Harith(R.A) , Makkah mein hi ruke rahe, un muslims ke saath , jo abhi hijrath nahi kar paaye. Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) bhi Makkah mein ruke hue the, Allah(swt) ki izazath ka intezaar karte hue. Aap ne Abu Bakr(R.A) ko apne saath rukne ko kaha.
🌹Abu Bakr(R.A) ke paas do tez doudne wale untniyan the, aur aap unhe hamesha acacia ke pathe khilaya karte the, taake woh aur tez aur taqatwar bane. Is tarah aap aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) tez raftaar se Makkah se nikal sake, jaise hi Allah(swt) ka hukum hoga.
✨DAR AN -NADWAH JA ANJUMAN ✨
🌹Quraysh , gussa ho gaye ki Muslims ko Jazeera-e-Arab mein panah ki jagah mil gayi, jahan woh apne aap ko taqatwar bana sake. Unhe yeh bhi dar lagne laga ki , muslims , unse zyada taqatwar ho jayenge aur shumaali karobaar raaston par hukumat karenge aur mushreekin ke karobaar ko nuksaan pahunchayenge. Kyun ke Makkah ke log , aksar us maal par apna karobar karte the, jo shumaali Arab aur Syria se caravaan laya karte the. Unka yeh shaque galath saabith nahi hua.
🌹 Unlog ko yeh bhi fikr sata rahi thi, ke kahin Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) khud bhi yahan se bachkar Yathrib ko toh rawana na ho jayenge, jahan Aapke sahabi , Aap ka intezaar kar rahe hai, aur Aap kahin ek taqatwar muqaam na bana le, aur akhirkaar unlog ko yeh sab hone se rokna hai. Yeh masle ka jawab nikaalne.je liye , myshreekin ne Dar An-Nadwah ke paas ek anjuman bulaayi. Quraysh ke saare namcheen qabile ke sardaar wahan maujuud the. Iblees bhi wahan roop badal kar Najd ke Shaikh Jaleel ke roop mein maujuud tha.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
TO BE CONTINUED……..
END OF PART 73……..