🌼Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌼
🌼SEERAH OF MUHAMMAD
( SalAllahu alaihi wa sallam)
📚LESSON NO: 7⃣2⃣ 📚
🌼SABAQ:-
🔻Barah(12) sardaar
✨BARAH (12) SARDAAR✨
🌼 Jab saare log ahad le chuke, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne, logon se kaha ke woh sab milkar barah (12) logon ko chune , jo jamaath ke karobar (kaamkaach) ki zimmedaari sambhaal sake.Khazraj qabile ae nau(9) logon ko aur Aus qabile se theen(3) logon ki chuna gaya
🌼 Khazraj ke nau sardaar the:
🔻Sa’d bin Ubada bin Daleem
🔻Asad bin Zurara bin Ads,
🔻Sa’d bin Rabi’a bin Amr,
🔻Abdullah bin Rawaha bin Thulba,
🔻Rafi bin Malik bin Ajlan
🔻Baraa bin Marur bin Sakhar,
🔻Abdullah bin Amr bin Haram;
🔻Ubada bin Samur bin Qays, aur
🔻Mundhir bin Amr bin Khanis.
🌼Aus qabile ke theen sardaar the:
🔻Usayd bin Hudhayr bin Samak,
🔻Sa’d bin Khathima bin Harith , aur
🔻Rifaah bin Abdul Mundhir bin Zubayr( dusre zariyon mein Abul Haytham bin Al -Tayhan ka naam bhi zikr kiya gaya)
🌼Yeh 12 sardaaron ko muqarar karne ke baad, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne unse kaha,
👉🏻’Aap log Isa(alaihis salam) ke 12 shageerd ki tarah ho. Aap sab Madine ke jamaath ke zimmedaar ho, jab ke main saare musalmanon ka rakhwala hun.”
🌼Jab wahan se mehfil nikal ne lafi, ek ajeeb awaaz unlog ko pukaarte sunaayi di:
👉🏻”Aye jamaath ke logon! Kya tum log Muhammad se sauda nahi karoge? Is waqt abhi jahalath maujuud hai, , aur Yeh aur inke sahabi , tumlog se ladna chahte hai.”
🌼Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko pata tha ki yeh shaytaab baat kar raha hai. Aap usko jawab diye:
👉🏻Aye Allah(swt) ke dushman! Main jald hi tujse mutala karunga.” Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) phir muslims ki wahan se khamoshi se jaakar sone ko kaha, kyun ki kuch hi der mein subha hone wali thi.
🌼Dusre din subha, jaise hi Quraysh ko pata chala Aqabah ke ahad ke baare mein, woh Yathrib ke caravan ki taraf gaye , iske khilaaf ehtejaj karne ke liye . Yeh log naraz hue , mehmaan ki dastigiri ko dekh kar , unke saath jisse yeh sab milkar bedeen samaj baite the, aur apni narazgi zaahir ki, us ahad ke khilaaf jo yathrib se aayi jamaath aur Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke darmiyaan hui thi. Yathrib ke mushrikeen ne israar kiya ki aisa kuch nahi hua, jab ke muslims saare khamoshi ikhtiyaar kiye.
🌼Quraysh hichkichate hue mushrikeen ki baat par ikhraar kiya aur ghar wapas laut gaye. Baad mein , Quraysh ko pata chala ki jo afvaah , unlogon ne suna tha, woh asal mein bilkul sach thi. Gusse mein aakar unlog , apne ghudsawaaron ko daudaya ke woh un unlog ko pakde , jo is ahad mein shameel the, aur Adhaker ke paad , inlogon ne Sa’d bin Ubada aur Mundhir bin Amr ko giraftaar kiya. Jab ke Mundhir bin Amr , bhaagne mein kaamyaab hue, Sa’d ko pakad kar Makkah laya gaya
🌼Yathrib ke muslims , Makkah par hamla karne ka mansuba banaya, taake woh apne muslim bhai ko riha kara sake. Is se pahele ki woh apne mansube ko pura kare, Sa’d ko do Makkahwale Mut’im bin Adiy aur Harith bin Harb ne riha karwa diya, jiske caravan ko Sa’d ne Yathrib mein bachaya tha. Sa’d , apne saathiyon se aa mile, aur sab ne apne ghar khair khoobi se wapas laute.
🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼
TO BE CONTINUED…..
END OF PART 72….