🌻Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌻
🌻SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
🌻 LESSON NO:6⃣9⃣ 🌻
🌻 SABAQ:-
🔻Yathrib se cheh(6) musaafir
🔻Aqabah ka pahela ahad.
✨YATHRIB SE CHEH(6) MUSAAFIR ✨
🌻Yathrib ke Khazraj qabile ke yeh cheh(6) musaafir the: Asad bin Zurara, Auf bin Haarith bin Rifaa( Auf bin Ifra’a) , Rafi bin Malik bin Ailan, Qatba bin Amir Hudida, Yqba bin Amir bin Nabi, aur Jabir bin Abdullah bin Riqab.Yeh Yathrib se Makkah dusre musaafiron ke saath , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke muhim ke shuru hone ke gyaraven (11) saal mein aaye the.
🌻 Yathrib , kuch yahudi qabile ka bhi muqaam tha, aur kabhie kabhie Arab aur yahudi ke beech jhagde shuru hua karte the. Aqliyath ( kam tadaad) yahudi , aksar Arab ko yeh kahkar daraate the ki, jald hi ek paigamber aayenge aur woh Yahudi ko jung ki rahnumaayi karenge. Aur woh dawa karte the ki Arab ko ‘Aad aur Iram’ ke logon ki tarah qatl kardenge.
🌻 Ek raat yeh cheh Musaafir ek saath Mina(Makkah ki kuch hi duri par) mein baite hue the ki , jab hi wahan se Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ja guzarna hua. Aap unke paas aaye aur pucha ;” Aap log kaun ho?”
👉🏾”Hum Khazraj se talukh rakhte hai,” unlog ne jawab diya.
👉🏻” yahudiyon se itehaad rakhnewale,” Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne tabsira kiya. Unlogon ne ikhraar kiya. ” chalo phir hum saath baitkar baat kare,” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne sujhaw diya.
🌻Aap unlogon se Islam ke baare mein baat kiya, Qur’an ki kuch ayaah tilawath ki, aur Allah(swt) , Wahed ek , buland martabah rakhnewala par yaqeedah laane ki daawath di. Log jo wahan baite the, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) kaun hai pehchaan liya tha. ‘Kahne kage:’Yeh wahi paigamber hai , jiske baare mein yahudi bolkar hame daraya karte hai. Chalo, yahudi se pahele hum inse ahad karle.’ Saare cheh shaks Islam qubool kar liye.
🌻 “Hum hamare logon ko bahuth hi buri halath mein chod rakha hai,” unlogon ne kaha. ” Agar Allah(swt) unsab ko Aap ke zariye ek saath karde, toh Aap ki azmath itni hogi , jitni kisi ki na hui hai.” Yeh cheh naye muslim ne wada kiya ki , woh Yathrib wapas lautne ke baad, apne logon ko Islam ki daawath denge, aur yeh ke woh sab phir agle haj ke dauraan Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se mulaaqaath karenge.
✨AQADAH KA PAHELA AHAD ✨
🌻Agle saal, Yathrib se cheh logon mein se paanch log wapas laute aur Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se mulaaqaath ki. Unlogon ne apne saath , apne qabile se paanch shaks jo Islam qubool kiye the , aur do shaks Aus qabile se , saath lekar aaye. Un paanch naye muslim jo Khazraj qabile se the, unke naam the: Mu’adh bin Harith( Mu’adh bin Ifra’a) ,Zakwan bin Abdul Qays, Ubada bin Samit, Yazeed bin Thulba, aur Abbas bin Ubada bin Fadhla. Do shaks jo Aus qabile se the, woh hai Abul Haytham bin Al-Tayhan aur Uwaym bin Sa’eda.
🌻Phir, unlog sab Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se Mina mein mulaaqaath ki, jahan , unhe Islam ke baare mein aur zyada seekhaya gaya aur unse Attaiat (aqabah) ka ahad lene ko pucha gaya. Ise ‘Aqabah ka Pahela Ahad’ kahte hai. Khususan , yeh ahad Allah(swt) aur insaan ke beech ka ahad tha ke ,Insaan Allah( swt) ke saath kisi ko shareekh nahi karega, chori nahi karega, zina nahi karega, apne aulaad ka qatl nahi karega, dusron ko nahi jhutlayega, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki nafarmaani nahi karega jab Aap unhe acha karne ki taakeed karenge.
🌻Jisne bhi yeh ahad puri ki, usko Allah( swt) ki taraf se inaam milega, aur jisne bhi is ahad ko thod diya, ya us mein se kuch hissa bhi galat kiya aur woh gunhegaar saabith hua, toh use is duniya mein azaab , kuffare ki tarah milega. Agar , kisi bhi haal, kisi ne apna ahad thoda, aur Allah(swt) uske gunah ko , logon se parda kiya, us insaan ko Allah( swt) se darguzar karna padega, aur Woh chahe toh saza de ya phir maaf kare.
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
TO BE CONTINUED……
END OF PART 69………