🍁Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🍁
🍁SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚LESSON NO : 7⃣1⃣ 📚
🍁 SABAQ:-
🔻Aqabah ka dusra ahad (continued)
✨AQABAH KA DUSRA AHAD ( CONTINUED)✨
🍁Makkah ke mushrikeen se apas ki mulaaqaath ko raaz rakne ke liye, Yathrib ke 73( trehatthar) muslim , Aqabah ki taraf rawana ho gaye, kuch jodon mein, kuch akele, Aqabah ke Dusra Ahad ko mukammmal karne ke liye. Saare, siwaye gyarah (11) log ke baakhi sab Khazraj ke qabile ke the. Do auraten bhi maujuud thi, Banu Najjar se Nasiba bint Ka’b aur Banu Salamah se Asmaa bint Amr.
🍁 Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke saath Aap ke chachajaan , Abbas bin Abdul Muttalib jo abhi us waqt tak muslim nahi the, saath gaye kyun ki unhe apne bhatije ki hifazath ki fikr thi. Abbas bolna is tarah shuru kiye:
👉🏻Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko Makkah mein hifazath aur izzat dono cheezen hai. Agar aap log Yathrib mein Inki hifazth ka ahad pakkah na karenge toh , aaplog Inhe Makkah mein hi rejne dijiye.”
🍁Baraa bin Marur( R.A) , Yathrib ke muslims ke taraf se baat ki:
👉🏻” Hum pura yaqeedah aur faisla kar chuke hai ki , hum Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) ki taraf puri imaandari ka ahad karte hai , aur hum hamare ahad ko barkharar rakhne ke liye , apni jaane tak qurbaan kar denge.”
🍁Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) , Qur’an ke kuch ayaah tilawath kiye aur Yathrib se aaye logon ko yeh ahad karwathe :
🖐🏻”Hum Allah(swt) ke siwa , kisi aur ki ibaadat nahi karenge, aur hum kabhi bhi Allah( swt) ke saath kisi ko shareek nahi karenge.”
🖐🏻”Hum paigamber ki farmabardaaari karenge.”
🖐🏻” Hum hamari milkiyath aur zaydad khushhali mein aur gareebi mein , khule aam denge.”
🖐🏻” Hum dusron ko achi amal karne ki taakeed karenge aur unhe shaytaan ke fitne se mehfus rahne ki seekh denge.”
🖐🏻Hum , Rasool (.SalAllahu alaihi wa sallam) ki hifazath , usi tarah karenge, jis tarah hum apne auraten aur bachhon ki kiya karte hai.
🍁 Is ke alawa, Ubada ki taraf se, Yathrib ke muslim ne yeh bhi ahad kiya tha ke woh apne hukumraanon ka bhi nafarmaani nahi karenge. Baraa bin Marur , Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ka haath apne haath mein lekar kaha:
👉🏻” Main Uski kasam kahta hun jisne aap ko Sach ke saath bheja hai, hum beshaque Aap ki hifazath usi tarah karenge, jis tarah hum hamare khandaan ki karte hai. Allah(swt) ki kasam , hum jung ke bete hai aur haathyaar hamare khilone hai. Yehi humne hamare baap dada se wasiyath mein paaya hai.”
🍁 Abul Haytham bin Al-Tayhan ne phir kaha,
👉🏻”Aye Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam)! Hum hamare logon se ek ahad mein baandhe hue hai, aur Aap se imaandari ka ahad karke , hum unlog se hamare saare rishte khatam karnewale hai. Agar Aapko kaamyaaabi mili, aur Aap Makkah par fateh paali,toh kya Aap phir Makkah wapas laut jaaaoge aur hame peeche besahara chod doge?” Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) muskuraaaye aur kahne lage:
👉🏻” Nahi! Khoon toh khoon hai, aur barbaaadi toh barbaaadi hai. Main aap mein se hun , aur aap mere mein se ho. Main unke khilaaaf jung karunga, jo tumhare khilaf jung karte hai, aur unlog se aman karunga , jo aap log se aman karte hai.”
🍁 ” Aap log ko pata hai ke , aap log ne kya ikhraar kiya hai,” Abbas(R.A) ne phir etlaah kiya. “Aap sab jung par jaaane ka ahad kar rahe ho. Toh , aap sab kyaa karoge , agar aap sab ne apne milkiyath aur zaydaad kjo baitoge, aur agar aapke saare sardar maare jayenge? Kya tumlog Rasool (SallAllahu alaihi wa sallam) ko chod doge? Agar aisa hai toh, Inhe yahan par hi rahne do,,kyun ki agar aaplog inhe chod doge, toh yeh duniya ke liye aur akhirath ke liye zillath ki baat hogi. Lekin , agar aap log Inke saath barbaaadi ke baaad bhi saath rahoge, toh iska inaam aaplog ko duniya mein bhi aur akhirath mein bhi milega.”
🍁Yathrib ke muslims ne Abbas(R.A) ki saari baat suni aur kasam khaayi ke woh Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki harhaal mein madad karenge , chahe kitne bhi mushkilen jhelni pade.Kisi ne Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) se pucha,
👉🏻”Kahiye , Aye Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) !Iske badle mein hame kya milega?”
👉🏻 “Jannnath,” Aap ne seedhe jawab diya.
👉🏻” Aap ka haath dijiye,” logon ne kaha.
🍁Asad bin Zurara phir, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ka haath, apne haath mein liya aur jamath ko tableegh karne lage:
👉🏻”Aye Yathrib ke logon, bahuth lambe safar ke baad , humko Allah(swt) ke taraf se Nabi mile hai. Aap ka haath thaamne ka matlab hai saare Arab se dushmani, Aap ke bachaao mein ssrdaron ki mauth, aur talwaron ka takrana. Agar aap sab iske liye tayaar hai, toh Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka hastj thaam lo, aur iska sawaab Allah( swt) ke zimme hai. Agar, phirbhi , koi shaque hai, toh abhi peeche ho jaao.”
🍁.Apne imaan se bina dagmagaaye, jamaath ne pukara, ” Apna haath hatalijiye Asad. Hum Rasool.(.SalAllahu alaihi wa sallam) ka haath thaamne tayaar hai.” Kuch zariyon se yeh bhi pata chala ki Asad bin Zurara , pahele shaks the , jinhone ahad liya, kuch aur yeh batate hai ki Haytham bin Al-Tayhan aur Baraa bin Marur pahele the. Fo auraton ne bina haath milaye ahad liya.
🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁
TO BE CONTINUED……..
END OF PART 71………