SABAQ 78

🌻Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌻
🌻SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO: 7⃣8⃣ 📚
🌻 SABAQ:-
🔻Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) Madinah mein dakhil hue.
🔻Ali (R.A) hijrath kiye.
🔻Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka khandaan bhi hijrath kiye.
🔻Suhayb (R.A) hijrath kiye.
✨RASOOL(SalAllahu alaihi wa sallam) MADINAH MEIN DAKHIL.HUE ✨
🌻Jummah ki namaz ada karne ke baad, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) aur Aap ke musahabean (hamraah) Madinah ke liye rawana hue. Khushgawaar  aadmi, aurat aur bacche ,Aap ka estekhbaal kiye, aur Madinah ki patli galiyan , khushi ki cheekon se gunj uthi. Auraten aur bacche estekhbaal karte hue gaana  gaane lage, jo aaj bhi muslims , us khushi ke din ko yaad karte hue, khusi se gaate hai. Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) pure chaudvin ke chand ki tarah, apne logon mein nazar aa rahe the: 
👉🏻 ‘Hamare saamne pura chaudvin ka chand nazar aa raha hai. Hum Allah(swt) ka shukr ada karna chahiye. Aap ko, hamare liye bheja gaya hai,  Allah(swt) ke hukum laane ke liye jo amal kiye jayenge.”
🌻Jaise Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) , Madinah ki galiyon ae guzarte, log, Aap ke unt ka lagam pakadte aur Aap ko apne apne yahan rahne ki dawath dete.
👉🏻” untni ko apne raaste par chalne dijiye,” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha.
👉🏻”Use Allah(swt) se hidayath mili hui hai.”
🌻Akhirkaar, untni jhuki, lekin Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) us par se niche nahi uthre . Untni phir uth khade ho gayi,aur aage kuch duri tay karne ke baad, phir peeche mud kar , usi jagah par jaakar baiti , jahan pahele baiti thi. Masjid-Al-Nabawi ki tameer isi jagah par hui hai. 
🌻Bahuth saare log , ek dusre se aage bad rahe the, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko apne apne ghar par panah dene ke liye, magar woh Abu Ayyub Ansari the , jo jaldi , jaldi jaakar, unt se zeen nikaal liya aur apne ghar le gaye. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne mazaak karte hue kaha, ” ek aadmi ko apne jaanwar ki  zeen ke peeche jaana chahiye.” aur Aap,Abu Ayyub ke yahan gaye. Asad bin Zurara ne rassi pakad li, toh unhe jaanwar ki dekhbhaal karne ki izzazat de di gayi. 
🌻Ansar ke sardar , ek dusre se muqable karne lage, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka estekhbaal karne ke liye. Har raat, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko kam se kam theen(3) ya chaar(4) khaane ke thaal aa jaya karte the. Har koi , yeh batana chahta tha ki Aap ko apne sahabiyon mein ek naya ghar mil gaya hai.
✨ALI(R.A)HIJRATH KIYE✨
🌻Peeche Makkah mein, Ali(R.A) , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke jaane ke baad theen din tak ruke the, ab hijrath karne ke liye tayaar ho gaye.  Is theen din ke dauraan , aap ne Rasool (.SalAllahu alaihi wa sallam) ke saare maamle Makkah me mukammal kiye. Aur  aap paidal hi nikal pade, aur Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) se Qubaa mein jaakar mil gaye, jahan Aap Kulthoom bin Hadam ke ghar par ruke hue the. 
✨RASOOL (SalAllahu alaihi wa sallam) KA KHANDAAN BHI HIJRATH KIYA.✨
🌻Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke Madinah mein cheh(6) maah guzarne ke baad, Aap Zayd bin Harith aur Abu Rafi ko Makkah bheja. Aaplog ,wapas Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) ke khandaan ko saath le aaye: Fatimah , Umm Kulthoom, Sauda, Umm Ayman aur Osama bin Zayd. Abdullah bin Abu Bakr bhi aaplog ke saath the, saare Abu Bakr(R.A) ke khandaan ke log ke saath , Umm Ruman, Aishah aur Asmaa(R.A) .
✨SUHAYB (R.A)HIJRATH KIYE.✨
🌻Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki rawaangi ke baad Makkah mein ek nayi hawa chali , Madinah ko hijrath karne ki. Amir gharane se talukh ;  Suhayb(jise Abu Yahaya,; yaane Yahya ke waalid bhi kaha jaata tha) , jo lambe arse se hijrath karne ki koshish kar rahe the, lekin Quraysh ke nazron se bachkar nahi nikal paa rahe the, akhirkaar Makkah chodkar Madinah jaane mein kaamyaab ho gaye.Quraysh , itne amir taajir ko aur unki milkiyath ko, apne yahan se nahi jaane dena chahthe the, Suhayb(R.A) ne unse sauda kiya ki, woh apni saari jaydaad aur milkiyath, Quraysh ko supurd kardenge agar unhe Madinah jakar, muslims mein shaamil hone de.  Jab apna sab kuch dekar, bina ek paise ke Suhayb (R.A) jaakar Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) se mile aur bataya ki kaise unhone azaadi haasil ki, tab Aap ne kaha:
👉🏻Abu Yahya! Yeh sauda aapke kaamyaabi ka taaj hai.”
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
TO BE CONTINUED…….
END OF PART 78……..

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s