🌹Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌹
🌹SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO:- 7⃣7⃣ 📚
🌹 SABAQ:-
🔻Madinah ke raaste ke darmiyaan(continued)
🔻Qubaa mein aamadgi
✨MADINAH KE RAASTE KE DARMIYAAN(CONT….)✨
🌹Suraqa apne ghode ko kosne laga, aur bahuth hi mushkil se woh apne ghode ke pair reth se nikaal paya. Magar jab woh peeche mud kar dekha, usne dekha ki ghode ke khur(naal) se aag ki tarah dhul ud rahi hai. Woh jaldi se ek aur theer bahar kheecha, ache ya bure andesha ka shagun dekhne ke liye. Ab woh achi tarah mutmayeen ho gaya ki , woh ab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko giraftaar nahi kar payega.
🌹Phir woh Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko pukara aur apne aap ko Aap ke supurd kar diya. Musafir ruke, aur intezaar karne lage ki woh aage bade. Suraqa unhe khana pesh kiya, lekin woh uske anaj ko inkaar kar diye. Lekin, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne use kaha ki , woh Quraysh
ko , Aap sab ki khabar na de. Suraqa maan liya, aur unhe ek khath dene ko kaha , aage ke liye uski hifazath ka ikhraar karte hue. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Amir ko ek saaf kiye hue chamde par khath likhkar dene ke liye kaha.
🌹Suraqa , phir Makkah wapas lauta. Usne sab inaam ki lalach mein dundne nikle hue logon se kaha ke woh wapas laut jaye, kyun ki , woh pahele se hi saara elakha dund chuka hai , aur faraar hue log , use kahin nahin mile. Yeh chaar musaafir, apna safar phir se tay kiya, aur raaste mein, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki mulakhaath jald se Burida bin Husayb Aslami ke saath saath, unke maannewale sathar(70)ya assi(80) khandaanon se hui.
🌹Woh saare Islam qubool kiya aur shaam ki namaz Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke saath ada ki. Burida , Uhud ki Jung ke baad , Madinah hijrath kiye. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki mulakhaath, Abu Tamim Aus bin Hajr Aslami se bhi , Arj mein hui. Us waqt Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) aur Abu Bakr (R.A) , ek hi unt par sawaari kar rahe the, kyun ki unki ek unt kamzor ho gayi thi. Abu Tamim ne aaplog ko ek unt pesh kiya aur saath mein ek gulaam , jiska naam Mas’ood bin Hanida tha bheja , jo aaplog ke saath Yathrib pahunchne tak saath tha.
🌹 Haalanke, Abu Tamim muslim ho gaye, woh Arj mein hi rehna pasand kiya. Baad mein , Jung-e-Uhud mein aap muslims ke bahuth kaam aaye, apne gulaam Mas’ood se, yeh khabar pahunchakar ke Makkah waale , Madinah ki taraf hamle ke liye bad rahe hai.
🌹Jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) Reem ke waadi pahunche, Aap ki mulakhaath Zubayr bin Awwam se hui, jo ek muslim karobaari caravan ke saath the, jo Syria se wapas laut rahe the. Unhone , Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) aur Abu Bakr(R.A) ko safed kapde ke thaane (sheets) tohfe mein diye.
✨QUBAA MEIN AAMAD✨
🌹Paigamber banne ke chaudah(14) saal baad, Peer ke din, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , Yathrib ki bahari sarhad Qubaa mein tashreef laaye. Yathrib(jiska naam baad mein Al-Madinah Al -Munawwarah, Roshni ka shaher) ke log, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka bechaini se lamba intezaar kar rahe the, aur har ek din , sab Hira ki taraf jaate aur suraj ki tez roshni bardashth karne ki had tak wahan intezaar karte.
🌹Ek din log lambe waqt tak , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ka intezaar karke wapas apne ghar laute. Ek yahudi ki nazar , kuch dur par safed kapde pahne hue ek choti musafiron ki jamaath par padi. Usne awaaz lagayi: ‘ Aye Arab ke logon! Jiska tum log intezar kar rahe ho , woh aa pahunche hai.”
🌹Muslims apne hathyaar liye, daud pade , Rasool.( SalAllahu alaihi wa sallam) ka istekhbaal karne ke liye. Wahan par shorgul mach gayi, kyun ki har ek registaan ke kinaare tak pahunchkar , musafiron ka dedaar karna chahta tha. Rasool (.SalAllahu alaihi wa sallam) seedhe taraf mude aur Banu Amr bin Auf ke paas Qubaa mein tashreef laaye.
🌹Qubaa pahunchne ke baad, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) unt se uthre aur khamoshi se bait gaye. Ab woh Ansar ( haqeeqat mein woh sahabi, jisko yeh laqab diya gaya, woh muslims the , jo Al-Madinah ke rehne wale the)jo Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko nahi dekha tha, Abu Bakr (R.A) ko paigamber samaj gaye, kyun ki aap ke baal safed ho gaye the. Lekin jab sab ne Abu Bakr(R.A) ko , Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam)ko chadar se chaanv dete hue dekha, toh unhe apni galthi ka ehsaas hua.
🌹Rasool.(SalAllahu alaihi wa sallam) Qubaa mein Kulthoom bin Hadam ke ghar mein tashreef rakhe. Kuch sur zariye, yeh kahte hai ki Aap Sa’d bin Khathima ke ghar par rahe. Wahan Aap chaar(4) din rahe, is waqt Aap ne Masjid-e- Qubaar ki buniyaad rakhi. Us Jummah ke din , Abu Bakr(R.A) ke saath Qubaa chodkar rawana hue.
🌹Aap ne Banu Najjar, jo Aap ke nanajaan ka ghar tha, khabar bheji. Unke qabile ke log, Qubaa pahunche, apne talwaar , apne saath latkaate hue, aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke saath Madinah jaane ke liye shaamil ho gaye. Jab Aap sab Banu Salim bin Auf ke yahan pahunche, Jummah ke qutbe ka waqt ho chuka tha. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne sau muslims ke namaz jamaath mein padhayi.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
TO BE CONTINUED………
END OF PART 77…….