🌻Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌻
🌻SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO: 7⃣5⃣ 📚
🌻SABAQ;-
🔻Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ghar chode.
🔻Gufa mein theen raaten.
✨RASOOL(SalAllahu alaihi wa sallam) GHAR CHODE✨
🌻Haalanke Ali(R.A) , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke bistar par the, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) abhi bhi ghar mein maujuud the, hathyaaron se ghere hue the. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , apne ghar se bahar nikle aur haath bhaar dhul liye, jo Aap ne jawaan bachon ke sir par yeh ayah padte hue chidka:
📖”Maine inke saamne pardah rakh diya hai, aur inke peeche bhi. Maine unhe dhak diya hai taake woh mujhe na dekh sake.” 📌(36:9)
🌻Jawaan , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko bahar nikalte nahi dekha. Aap jaldi Abu Bakr (R.A) ke paas pahunche aur dono safar shuru kar diya, Yathrib ki taraf bahi balki uske mukhalif Yemen ki taraf. Subah hote hote, Aap logon ne paanch mile ki duri ka safar tay kar chuke, aur phir Aap log ne Pahade Thawr mein panah li.
🌻Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke bach nikalne ki khabar se bekhabar, hathyaare abhi bhi intezar kar rahe the ki Aap kab ghar ke bahar niklenge. Jab fajr ka waqt hua, aur Ali(R.A) neend se uthe, tab jaake unhe ehsaas hua ki unke saath khel khela gaya. Unlogon ne Ali(R.A) se, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki mujuudgi ke baare mein puchtaaj karne lage, lekin Ali(R.A) ne unhe azizi se kaha ki unhe koi khabar nahi. Unlogon be Ali(R
A) ko kheenchte hue Ka’bah le gaye aur unhe qaid mein rakha, lekin aap ne unlogon ko kuch nahi bataya.
🌻Phir unlogon ne Abu Bakr (R.A) ke ghar ki taraf daude aur wahan pata chala ki woh bhi gayab hai. Lekin, unlog ne wagan Abu Bakr( R.A) ki beti , Asmaa(R.A) ko paaya, jo unhe kuch bhi batane se inkaar kar diya. Unki khamoshi , unhe aur gussa dila rahi thi, aur gusse se bahar hokar Abu Jahl ne Asmaa(R.A) ko itni zor se thappad mara ki unke kaan ki baali nikal kar kahin dur jaakar gir gayi. Quraysh , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) aur Abu Bakr(R.A) ko dundne lage aur elaan kiya ki jo bhi unhe Aap dono ki khabar denge, ya unhe zinda ya murda layenge unhe inaam mein sau(100) unt diye jayenge.
✨GUFA MEIN THEEN(3) RAATEN ✨
🌻Jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) aur Abu Bakr( R.A) , pahade Thawr pahunche, Abu Bakr(R.A) , pahele gufa mein daakhil hue, taake aap wahan aise cheezon ki safayi kare, jisse Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ko nuksaan na pahunchaye ya phir zakhmi na karde. Unhe wahan kuch surakhen dikhi , jise aap kapde thoos kar band kiya. Phir Aap andar aaye aur apna sir Abu Bakr(R.A) ke goed mein rakhkar so gaye.
🌻Achanak, kuch aakar Abu Bakr(R.A) ki dank mara, lekin aap bilkul apni jagah se tas se mas na hue, is dar se ki , kahin Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) neend se na uth jaaye. Dard itna zyada ho raha tha ki , aap ke ankhon se aansu nikal kar bahne lage aur aansu jaakr Rasool( SalAllahu alaihi wa sallam) ke chehre par gire. Aap uthe aur dekha ki Abu Bakr(R.A) bahuth dard mein the. Aap ne apba thook , zakhm par lagaya aur dard gayab ho gaya.
🌻Lagataar theen(3) raat Aap dono ne gufa mein hi panah li. Is darmiyaan, Abu Bakr(R.A) ke bete, Abdullah , har raat wahan aas paas pahunchte aur guzarte. Hoshiyaar naujawaan , subha hone se pahele hi Makkah laut aate, taake Quraysh ko yeh andaza na ho ke woh kahin aur jaakar sote hai.
🌻Har din woh Makkah se Quraysh ki tajveezon ki aur harkathon ki khabar akhatta karte, aur har raat Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) aur Abu Bakr(R.A) ko etela karte. Abu Bakr(R.A) ke gulaam, Amir bin Fuhayra(R.A) , gufa ke aas paas aapke bakriyon ko charaate, taake Aap dono taaza dudh pee sake.
🌻Dusre din subha savere, bakriyon ko wapas Makkah laate, usi raaste se , jo Abdullah liya karte, taake unke pair ke nishaaniyon ko mita de. Is beech dunde wala jhund wahan tak pahuncha , jahan Aap dono ne panah li thi.
🌻Ek baar toh Quraysh , us gufa ke munh tak pahunch gaye, aur wahan ruk kar har jagah dundne lage, woh log Aap dono ko pakad bhi lete. Quraysh ko gufa ke itne nazdeek paakar Abu Bakr ( R.A) pareshaan ho gaye, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke hifazath ke baare mein sochkar. Phir Aap ne inhe housla diya,
👉🏻”Kyun pareshaan hote ho apne dono ke baare mein, jab ke theesra hai, khususan jab ke woh theesra khud Allah (swt) hai?”
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
TO BE CONTINUED……..
END OF PART 75…..