SABAQ 87

🌹Assalamu alaikum Wa
 Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌹
🌹SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO:- 8⃣7⃣ 📚
✨SABAQ:-
🔻Imtiyaazi Din
🔻Badr ki khabar Makkah aur Madinah pahunchi.
🔻Madinah ko wapasi.
  ✨ IMTIYAAZI DIN ✨
🌹Abu Jahl ki mauth se Quraysh mayus aur mazur ho gaye. Woh insaan aur farishton ki fauj se haarkar bikhargaye, aur is tarah Jung-e-Badr  apne anjaam par pahunchi. Yeh jung , kisi sarhad ke liye, maal ke liye ya phir izzat ke liye nahi ladi gayi, balki Allah(swt) par Imaan ki jeet hui beimaanwalon par. Muslims jung kiye, apne waalidon se, chachaon se, beton se, bhaiyon se , rishtedaron aur doston  se. Umar (R.A) ne apne mamujaan Asi bin Hisham ka khatma kiya, jab ki Abu Bakr (R.A) ne apne bete ka saamna kiya, Abdul Rahman , aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke chachajaan Abbas ko qaidi banaya gaya. 
🌹Utbah bin Rabi’a woh jo Muslims ko muqable karne ko aage  badnewale theen(3) shaks mein se pahele the, apne bete Abu Hudhayfah (R.A) , jo Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke nazdiqi Sahabi the, unse jung kiya. Khoon ke rishton ko bhi khatam kiya, taake Imaan uncha rahe beimaanwalon  se. Yeh din aage chal ke “Yaum Al-Furqaan”(Imtiyaazi din)  kehlaya gaya, kyun ki is din hi jung ke huquq banaye gaye, qabile ke mutabiq nahi , balki Allah(swt) par  yaqeen aur Imaan ke mutabiq.
🌹 Jung -e – Badr ke dauran,  Chaudah(14) Muslims shaheed hue( cheh(6) Muhaajireen aur aat(8) Ansaar). Aap sab ko Badr mein hi tafneen kiya gaya, aur aaj bhi inke mazarein wahan maujuud hai. Mushrikeen ki taraf,sattar (70) log maare gaye, aur utney hi logon ko qaidi banaya gaya. Jo maare gaye, us mein se zyadatar log qabile ke naamwale  log aur sardaaren the.  Haqeeqat mein, mushrikeen ke 24 sardaron ki laashen , gandi badbu aanewali bowli mein phenka gaya. .
🌹Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) aur aap ke saathi,  theen(3) din tak Badr mein ruke. Aur jab Aap,Madinah ka wapasi safar shuru karne lage, tab Aap us bowli ke paas tehre aur har ek sardar ko unke naam se pukaar kar kaha:
👉🏻”Aye falan , falan ke bete! Kya tumko khwaish hui ke kaash main Allah(swt) aur Uske Paigamber ka hukum maanta? Mujhe pata chala ke mere Rab ne , mujse jo wada kiya tha, woh sach hai. Kya tumko tumhare khudaaon ka wada saccha laga?” 
🌹”Aye Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ,” Umar (R.A) ne pucha.
👉🏻”Aap jismon  (lashon) se kaise baat kar sakte ho, jabke un mein ruhen(jaan) hi nahi hai?”
👉🏻”Woh mujhko sun sakte hai, jaise ke tum mujhe sun rahe ho, lekin woh jawab nahi de payenge,’ Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne samjhaya.
✨BADR KI KHABAR MAKKAH AUR MADINAH PAHUNCHI ✨
🌹Mushrikeen , jo bachkar nikal gaye, apni haar ki khabar Makkah tak le gaye. 
Makkahwale zillath ke maare chukna chur ho gaye. Makkah ke Muslims ke saamne sharminda na ho, aur unhe gaam karte hue dekne ka maukha na dene ke liye, mushrikeen apne mare hue aur qaid hue logon par maatham manane se ruk gaye. Lekin maatham manane se rukna asaan nahi hai. Misaal ki taur pe   Aswad bin Muttalib , Badr mein apne theen bete kho chuke, aur woh apne marhum beton ko yaad karke rona aur maatham manana chahta tha.
🌹Ek raat unhone kisi aurat ko cheekcheek kar rote hue suna, aur samaj gaye ki maatham manane ki izzat ho gayi. Woh jaldi apne , gulaam ko bheja , malum karne ke liye.Unko pata chala ki maatham karna abhi bhi mana hai, aur woh aurat apne gumshuda unt(camel) ke liye ro rahi hai. Jab unhe yeh pata chala, gusse mein aakar kehne lage:
👉🏻” Woh ro rahi hai , apne khoye hue unt ke liye,.jo usko itna bechain kardiya ki, uski raat ki neend ud gayi? Unt par mat ro, lekin Badr par ro jahan kismat bure din ke hawale ho gayi !”
🌹Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne do kaahino ko bheja, Madinah mein jeet ki khabar  logon mein elaan karne ke liye. Abdullah bin RawHa shumaali Madinah gaye, jabki Zayd bin Haritb junubi Madina gaye. Madinah ke log bahuth hi pareshaan the, kyun ki yahudiyon ne yeh afwaah phaila rakhi thi ki, taqatwar Quraysh ne Muslims ko khaboo kar liya. 
🌹Jab Rasool.( SalAllahu alaihi wa  sallam) ne apne, logon ko wahan bheja, log cheekne lage, “Allahu Akbar! Allah(swt) sab se bada hai.!” Muslims sab khush the. Allah(swt) ne unhe jeet ata farmaya, aur woh sukun mein the apne Imaan par ki Allah(swt) unhe ajar dega agar Muslims jung mein halaq ho gaye toh. 
✨MADINAH KO WAPASI✨
🌹Jab Muslims Madinah ki taraf bad rahe the, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko  Allah(swt) ki taraf se wahi naazil hui , jung ki loot ke takseem ke silsile mein. Paanchva hissa Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko rakh kar baaqi sab un mein baat diya jaaye, jo jung mein shaamil the.  Aap pahele Paigamber the , jisko jung ke loot ka hissa lene ki izzazat di gayi. Allah(swt) ne hukum diya ki Nadir bin Harith ko phaansi di jaaye, aur Ali(R.A) ne uska sir khalam kiya.
🌹Uske baad, Utbah bin Abu Mu’ayt ko qatam karne ka hukum aaya, aur Asim bin Thabit Ansari(R.A) ne uska sir khalam kiya( lekin kuch zariyon mein kaha gaya hai ki woh Ali bin Abi Talib the, jinhone use khatam kiya). Itni badi jeet ki khabar sunkar, bahuth saare shehriyon ne Madina se Badr ki taraf safar karna shuru kiya, is umeed se ki woh sab se pahele milkar Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko mubarak baat de. Woh sab, jeete hue Muslims se Ruha mein mulaqaath ki, aur unke saath wapas Madinah laute. Jeete hue Muslims ko ,darzanon qaidiyon ke saath , Madinah  mein daakhil hote hue dekh, kayi log Muslims ho gaye.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
TO BE CONTI NUED…….
END OF PART 87…….

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s