SABAQ 86

🌻Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌻
🌻SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO:- 8⃣6⃣📚
✨TOPICS:-
🔻Akele akele muqable ki lalkaar 
🔻Jung-e-Badr shuru ho gayi
🔻Abu Jahl mara  gaya.
✨AKELE AKELE MUQABLE KI LALKAAR ✨
🌻Quraysh ke theen(3) behethreen ghudsawaar, Utbah bin Rabi’a, Shayba bin Rabi’a aur Waleed bin Utbah , aage bade aur Muslims ko lalkaara ki akele akele muqable kiya jaaye. Uske jawaab mein, Ansaar ke theen(3) log  aage bade, lekin lalkaar denewale Makkah ko chodkar gaye hue Muhajireen ke khoon ke pyase the aur unhone kaha, ” Hum , hamare bhaiyon ko chahte hai.” Ansaar peeche hat gaye, aur Ubaydah bin Harith(R.A) , Hamzah(R.A) aur Ali(R.A) aage bade. Hamzah(R.A) ne Shayba se, Ali(R.A) ne Waleed ka aur Ubaydah(R.A) ne Utbah ka saamna kiya aur unke lalkaar ko qubool kiya.
🌻Hamzah(R.A) aur Ali(R.A) , dono ne apne mukhalifon ko badi asaani se khatam kar diya, lekin Ubaydah(R.A) aur Utbah ne ek dusre ko zakhmi kar diya, aur dono mein se kisi ka bhi haath aage na tha, dono baraber muqabla kiye. Ali(R.A) aur Hamzah(R.A) dono Ubaydah (R.A) ki madad ke liye bhaage aur unke mukhalif ko maar diya,Ubaydah(R.A) , jo apna pair kho chuke ,  unhe wapas kheeme ki taraf  le aaye. Baad mein Ubaydah(R.A) , yeh zakhm ki wajeh se,Madinah ko wapasi ke waqt Safra ke paas inteqaal farmaaye.
✨JUNG-E-BADR SHURU HO GAYI ✨
🌻Quraysh , qibat karna shuru kar diya , apne theen log ko muqable mein kho dene ke baad, haalanke abhi jung ki shuruaath hui hi nahi thi. Woh Muslims ke upar toot pade , jo apni kaamyaabi se josh mein aa chuke the, woh unlog ka saamna bina dare aur hichkichaye , bahuth hi himmat se kiya. Allah (swt) ka Wahed hone ka mushtahir karte hue, Muslims pukaarne lage: “Ahad!Ahad!”( Ek!Ek!) . Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , jisko  basharath ho chuki thi, ruhaani madad ki, Abu Bakr(R.A) ki taraf ruju hue aur kahne lage: 
👉🏻”Khushi manaao, O Abu Bakr, Allah(swt) ki madad aa pahunchi hai. Yeh Jibra’eel(alaihi salaam) hai, jo sabse aage , ghode ka lagam liye hue bad rahe hai. Unka libaas , dhul aur mitti se kharab ho chuka hai.” Allah(swt) ki madad kayi hazaron farishton ke shakl mein aa pahunchi.
🌻Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) phir apne log ki taraf badhe, aur usi waqt yeh ayaah naazil hui:
📖”Jald hi , bhaagayi jaati hai yeh jamaath aur peeten pherdenge.”📌(54:45) Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne haathbhar ke mitti li aur Quraysh ki taraf 
pheka, yeh kahte hue ki, ” Inke chehre bigaad diye jaaye,” Mitti jaakar Quraysh ke aankh aur naak mein ja ghusi, jaise ke  yeh ayaah mein bayaan kiya gaya:
📖” Woh tum nahi the jisne pheka, lekin Allah(swt) ne kiya.” 📌(8:17)
🌻Rasool (SalAllahu alaihi wa salkam) ne apne logon ko hukum diya aur cheek kar kahne lage, “Utho!”.Muslims jo tadad mein theen ki ek the, bahuth mutassir hue jab unhone dekha ki Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) unke beechon mein maujuud the aur jung ke liye tayaar hai. Apne aandekhe farishton ki fouj ki madad se , Muslims ne Quraysh par hamla kiya. Quraysh ek ke peeche ek girte jaa rahe the, aur jald hi himmat haarke wapas hogaye. Muslims aage badte gaye, kisi ko khatam karte hue aur kisi bandhi banate hue. Shaytaan , jo wahan .Suraqa bin Malik  bin Ju’shum ki shakl mein maujuud tha, farishton ki jamaath dekha aur Red Sea mein kuud pada.
✨ABU JAHL MAARA  ✨
               GAYA
🌻Jaise ke woh sippeysalar ki tarah tha, uski hifazath kiye jaari thi, logon se jo apne haathon mein talwaar aur khanjaren  liye hue the. Uski aisi hifazath kiye jaarahi thi, ke koi Muslim uske khareeb na jaa sake. Ek jawan  ladka , Abdul Rahman bin   Auf se kaha,
👉🏻”Mujhe Abu Jahl ko bataayiye,” Abdul Rahman ne jawaab diya, 
👉🏻Aap ko unke saath kya karna hai?”
👉🏻”Maine suna tha ki woh Rasool (SalAllahu alaihinwa sallam) ko jhuthlaata hai. Uski kasam , jiske haathon mein meri zindagi hai, main use qatl kar dunga, agar main use dekhlunga, ya uske hathon qatl ho jaaounga.”
🌻Dusra jawan ladka bhi Abdul Rahman ko wahi baat kahi. Achanak , Abdul Rahman ko Abu Jahl , maidaan-e-jung mein nazar aaya aur aapne un dono ladkon ko ishara kiya. Woh dono us par toot pade, aur talwaaron se khatarnaak hamla kiya, aur Abu Jahl, zameen par gir pada. Jung ke baad , dono  Rasool.(SalAllahu alaihi  wa sallam) ke saamne pesh hue aur dono ne Abu Jahl ko maarne ki baat kahi. Aap unke talwaaren dekhi aur kaha, ” Dono ne use mara hai,” Woh jawaan ladke Mu’adh.bin Afra aur Mu’adh ibn Amr the. Kaha jata hai ki pahelewala, isi jung mein shaheed ho gaya, lekin Mu’adh ibn Amr , Uthmaan(R.A) ki Caliphate ki daur tak rahe. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne unhe Abu Jahl ki cheezen de diye.
🌻Abdullah bin Mas’ood , jisne dekha ki Abu Jahl mauth ki halath mein maidaan-e-jung mein pada hua hai; apna pair , apne purane dushman ke gardan par rakha aur uski daadi pakad ke , uska sir alag karna chaha.
👉🏻”Kya Allah(swt) ne tumhe zaleel nahi kiya, Aye Allah(swt) ke dushman?” Abu Jahl , us halath mein bhi apni galti par nadeem  nahi hua.
👉🏻” Mujhe kis baat par zaleel kiya gaya? Kya koi ys shaks ke upar hai, jinhe tumne qatl kiya.? Main khawaish karta ki , mujhe  kisaan ke badle koi aur qatl karta. Baraao mujhe, aaj kiski jeet hui hai?”
👉🏻”Allah(swt) aur Uske Rasool ki.”Abdullah ne jawab diya.
👉🏻’O bhedcharaanewale! Tum bahuth galath jagah ki unchayi par chade ho,’.Abu Jahl ne kaha.
🌻Abdullah ne phir uska sir , dhad se alag kar diya aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke saamne pesh kiya. 
👉🏻”Allah sabse bada hai! Sab tareefen Allah(swt) ke liye hai,” kahkar Aap rone lage.
👉🏻”Usne apna Wada saabith kar diya Sacchayi ka, Apne gulaam bandon ki madad ki aur apne dushmanon ko haraya.”. Abu Jahl ka sir dekhte hue Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha, 
👉🏻”Yeh apne mulk ka Feraun tha.”
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
TO BE CONTINUED…….
END OF PART 86……..

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s