🌷Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌷
🌷SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚LESSON NO : 8⃣5⃣ 📚
🌷SABAQ:-
🔻Jung-e-Badr (continued)
✨ JUNG -E- BADR ✨
( CONTINUED )
🌷 Rasool (SakAllahu alaihi wa sallam) ko pata chala ki Quraysh Badr ki taraf pahunch rahe hai, aur Aap ne Apne aadmiyon se mulaqaath ki aur unlog se unke tajweej ke baare mein baatcheeth ki. Abu Bakr(R.A) aur Umar( R.A) , dono ne apni raay di, aur Miqdad bin Amr ne buland awaaz mein apni jazbat pesh is tarah kiye:
👉🏻”Aye Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ! Hum nahi kahenge jaisa Bani-Isra-eel ne Musa (alaihi salaam) se kaha tha:
📖” Tum aur Tumhare Khuda jaao aur jung karo, aur hum yahan baite rahenge.”📌 (5:24)
👉🏻” Hum Aap ke saath milkar jung karenge. Aap ke daayen se , baayen , saamne se aur peeche se.”
🌷Miqdad’ (R.A) ki baaten , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko mutaassir kiya, Aapke Sahabiyon ki sacchayi par, kyun ki Aap fikr mein the ki Ansaar jab hi jung karenge tab unpar aur Madinah par hamla hoga. Is ke alawa, Aqabah ka Dusre Ahad ke mutabiq Ansaar par koi pabandi nahi thi ke woh log Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke saath unke shaher ke bahar jung karey. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) phir apne saare aadmiyon se pucha ke kya woh sab raazi hai.
🌷Sa’d bin Mu’adh(R.A) , Ansaar ke sardaar ne kaha:
👉🏻”Aye Paigamber! Main Uski kasam khakar kahta hun Jisne Aapko Sacchaayi ke saath bheja hai, ke agar Aap samundar mein chalaang lagaye toh hum sab bhi Aapke saath chalaang lagayenge, aur hum mein se koi ek shaks bhi aisa karne se peeche nahi hoga. Hum hichkichayenge nahi , agar Aap dushman par tut paden toh , kyun ke hum sab jung mein mazboot aur maidan mein himmat rakhte hai. Aap , hamari qiyadaat karey, Allah(swt) hum par aur hamari maqsad par meher karey.!”
🌷 Is par Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne kaha:
👉🏻”Main aap sab ko Allah(swt) ki basharath laya hun. Usne wada kiya hai ki hamen caravan se ya toh maal haasil hoga ya hum maidan-e-jung mein fateh haasil karenge. Allah (swt) ki taraf se , mere nazron ke saamne Maidan-e-jung ka nazara hai, aur Main dekh raha hun ke kaun sa shaks , kaunse muqarar jagah par girega.” Saabith qadam ke saath Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) , apne aadmiyon ko lekar Badr ki ore bade, aur Aap sab bhi usi raat ko pahunche , jis raat ko Quraysh bhi pahunche.
🌷Muslims ne apne kheemey Al-Udwat Al-Duniya ke paas daaley, lekin Al-Hubab ibn Al-Mundhir ne Rasool ( SalAllahu alaihi w sallam) ko raay di ke , woh sab aage badhe aur dushman ke paas ke bowli ke paas kheemey daaley , taake woh paani ko houzon mein zakheera kar sake. Unhone yeh bhi raay di ke baqi saare bowliyon ko bhar de, taake Quraysh ke liye paani na rahe. Rasool( Sal Allahu alaihi wa sallam) ne Hubab’ ke shaandaar raay ko mana aur Hubab ke diye hue hidayaton par amal kiya.
🌷 Muslims ne khajuur ke shaaqon se ek chota sa hujra banaya , jisme Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) rah sake , jab Aap fouj ko jung ke dauraan hidayaten de. Kuch jawaan Ansaar ko Sa’d bin Mu-adh ki hukumraan mein rakh diya , chaukanna rehne ke liye.
🌷 Is ke baad, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) Badr ke chaaron taraf chale aur apne aadmiyon se kahne lage: ‘ yeh woh jagah hai, jahan falan falan shaks , kal jung mein gir jayega In Sha Allah,” Aap ne saari raat ibaadat mein guzaari, ek pedh ke neeche, jabki halki si baarish ho rahi thi , jo fouj ko itmenaan ki neend mein ke gayi. Allah(swt) , apne bandon par jo rehmaten ki , is ayaah mein bayaan kiya gaya hai:
📖” Yaad karo kaise Allah(swt) ne tumhe gunudgi se ghere rakha taake tum mehfuz mehsus kar sako. Usne baarish barsaayi, jannat se , taake tum apne aapko paak kar sako- woh baarish, jo Shaitaan ka asar khatam kare, tumhare dilon ko pakka karey aur tumko jung mein mazboot tehraaye.”📌(8:11)
🌷 Dusre din subha ( Jummah, Ramadan 17, 2A.H), dono fouj aamne saamne aaye.
👉🏻”Aye Allah(swt)! Quraysh yahan apna gurur aur jahalath lekar aaye hai,” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) dua karne lage. ‘Woh Tera inkaar karte hai aur Tere Paigamber ko jhuta kahte hai. Aye Allah(swt)! Mujhse jo wada kiya use pura kar. Hamari madad kar, Allah.!”
🌷Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne apne aadmiyon ko jama kiya aur kaha ki, jung tab tak nahi shuru karna, jab tak Aap ne na hukum diya ho aisa karne ke liye.
👉🏻”Sirf theer hi istemaal karna jab woh aapke nazdeek aane lage , aur apni talwaaren nahi nikaalna jab tak ke woh aapke khareeb na pahunche.”
🌷Abu Bakr(R.A) ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko apne hujre mein le gaye, jahan Aap ne Apne Rab se dua karni shuru kardi.:.
🙌 Aye Allah! Agar yeh jamaath khatam ho gayi. Teri ibaadat koi nahi karega. Aye Allah! Agar yehi teri raza hai ke aaj ke baad koi teri Ibaadat na kare hamesha ke liye.”
Abu Jahl bhi dua karne laga:
👉🏻”Aye Khuda! Is jamaath ka khatma karde jo tere bandishon ko thod diya aur galath karne mein yaqeen rakte hai. Aye Allah! Us jamaath ki madad kar, jise tu bahuth chahta hai.”
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
TO BE CONTINUED…………
END OF PART 85…….