🌸Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌸
🌸SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚LESSON NO:-8⃣4⃣📚
🌸SABAQ:-
🔻Naya Qiblah
🔻Jung-e-Badr
✨NAYA QIBLAH ✨
🌸Sha’ban, 2H mein, Qiblah( jis ki taraf ruju hokar Muslims apni namaz padhte hai) , use Bait Al-Maqdis jo Jerusalem mein hai, wahan se tabdeel karke Makkah mein Ka’bah ki taraf kar diya gaya. Yeh tabdeel, Allah(swt) ke hukum se ki gayi, jo Qur’an ki ayaah mein bayaan kiya gaya. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) aur sacchey Muslims , us tabdeeli se bahuth khush the. Munafeeqeen, jo apne aapko Muslims batate the, behrehaal, is tabdeeli ki ehtejaj ki(inkaar kiya) , aur bahuth saare wapas yahudi ho gaye ya phir budhparasth, jiski wajeh se imaanwale Muslims ka odha(position) paak ho gaya.
✨ JUNG-E-BADR ✨
🌸Ab tak Muslim fauji jamaaten , ji muhim kar chuke the , woh bahuth hi chote the. Woh log , kuch aur se zyada, malumaath karne mein lage hue the, lekin unhe Muslims ko jung ke adab seekhne mein shuruath karni thi. Jung-e-Badr behrehaal, Islam ki tareeq mein ek aisa pahela jung ka misaal ban gaya, jo Muslims aur Quraysh ke beech faisle ka anasar (factor)ban gaya.
🌸Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) , Dhul Ashirah ki taraf sawaar hue, ek karobaari caravan ko rokne gaye , jo Makkah se Syria jaanewala tha. Lekin, woh caravan Syria bhaagne mein kaamyaab ho gaya. Phir Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne do aadmiyon ko Syria mein Hawraa jaane ke liye rawana kardiya, taake woh caravan ka wapas lautne ka intezaar kare. Jab yeh sipaahiyon ne dekha ki , woh caravan wapas laut raha hai, woh Madinah ke liye fouran nikal pade aur Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki etelah dedi. Ek baar hab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) be caravan ki wapasi ke baarey mein suna, Aap ne 313 ya 317 logon ko jama kiya, do ghode aur sattar(70) untin ke saath Badr, jo Madina ke junubi maghrib ki taraf 155 km ki duri par hai, wahan ke liye rawana hue.
🌸 Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Mus’ab bin Umayr ko Safed parcham diya. Muhaajireen ko alag parcham diya, jise Ali bin Talib ne sambhaala, jabki Ansaar ka parcham Sa’d bin Mu’adh ne sambhaala.(thama).
🌸Badr, jo pahadon se ghera hua tha, theen raaston se wabasta tha. Pahela ek, jise Al-Udwat Al -Qaswa kahte the, jo junub mein tha, dusra , jise Al-Udwat kahte the, jahan par shumaal se pahunch sakte the, aur theesra , jahan mashriq se pahuncha ja sakta hai, aur jo aksar Madinah ke log Badr mein ke aane jaane ka guzar gah ki tarah istemaal karte the.Badr mein kuch ghar, bowliyan, aur bageeche the, yahi wajeh thi ke Makkah je caravan , jo Syria jaate the, yahan se guzra karte the, aur woh apna safar , yahan par thodi der ke liye roka karte the, kabhie kuch ghante ke liye ya phir kuch din ke liye.
🌸Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) aur Aapke saathiyon ko asaan tha ki caravan ko khabza kare, agar in theenon raaston ko band(block) kardiya jaaye. Kaamyaabi , ek tajjub ki baat par muqarar thi. , lekin Muslims ko , caravan Badr ke andar daakhil hona tha, caravan andar pahunchne ke baad, aur phir theen raaston ko gher lena tha., Quraysh ke hamla karne se pahele. Uske hisaab se Rasool(SalAllahu alaihi wah sallam) aur Aapke aadmi Madinah ki taraf nikal pade, Badr ke opposite raaste par. Aur jab Madinah se kuch hifazath duri par pahunche toh Aap logon ne apna raasta badal diya aur Badr ki oor nikal pade.
🌸Muslims jo caravan ko kabza karne jaa rahe the, use Abu Sufyan bin Harb rahnumaayi kar rahe the. Us caravan mein chaalis(40) log, ek hazaar unt aur pachaas(50) hazaar dinar ke keemath ka maal tha. Abu Sufyan , bahuth hi hoshiyaar aur chaukanna raha, aur har ek shaks se Muslims ki harkathon ki jaankaari puchne laga. Woh Badr ku bahuth duri par tha, jab use malum hua ki, ek Muslims ki badi jamaath, Madinah se nikli hai. Jaldi se harkath mein aakar, woh apne caravan ko maghreebi rukh ko mod liya, aur saahil ku taraf rukh kiya, Badr ko pura hi zarguzar kar diya. Iske alawa, woh Makkah ko khabar bhejdi, taake woh aur fauj ki tayaari kare. Jab Quraysh ko Abu Sufyan ki khabar mili, unlog ne 1300 logon ki fouj jama ki, Muslims par hamla karne ke liye aur caravan ki hifazath karne ke liye. Makkah ke saare sardaar, siwaye Abu Lahab ke fouj mein shaamil hue, aur har ek insaan jo aas paas ke qabilon se tallukh rakte the, sab shaamil ho gaye. Aur Makkah ke saare qabilon mein se, sirf Banu Adiy ne hissa lene se inkaar kar diya.
🌸Jab mushrikeen ki fouj Juhfa pahunche, unhe Abu Sufiyan se khabar mili ki caravan hifazath mein hai, aur Fouj wapas Makkah laut jaaye. Log wapas laut rahe the ki Abu Jahl wapad lautne se inkaar kar diya. Banu Zahra ke log hi, apne sardaar Akhnas bin Shariq Thaqafi ki baat sunkar wapad laut gaye. Baqi fouj , jiski tadaad hazaar thi, apna safar jaari rakha, Udwa Qasmi pahunchkar, Quraysh, apne kheeme bade khule maidan mein laga diye., pahadon ki kuch hi duri par, jo Badr ko ghere hue the.
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
TO BE CONTINUED…….
END OF PART…84