🍁Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🍁
🍁SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚LESSON NO :- 8⃣3⃣📚
✨SABAQ:-
🔻Fouji muhimaath(Saraya aur Ghazawat)
✨FOUJI MUHIMAATH✨
(SARAYA AUR GHAZAWAT)
🍁Jab ke ab Allah(swt) ne Muslims ko apni hifazath ke liye jung karne ki izazat ata ki, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne apne markazeh ko jo bahuth hi sataya gaya hua, kamzor aur khamosh tha, use jeene ke liye, aur dusre qabilon ki ziyadadati aur zulm se apne aap ka bachaav karne ke liye, unhe mazbooth fouji jamaathon mein tabdeel karne lage. Theer andaazi aur ghudsawaar, yeh dono mein mahirath haasil karne par zor diya. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Muslims ko fouji jamaathon mein muqarar kiya, jise Saraya kahte the.
🍁Kabhie kabhie Aap , jis fouji jamaathon ke saath muhimaath mein shaamil hote the, unhe Ghazawat kahte the. Fouji jamaath , apne upar chaar(4) aham kaamon ki zimmedari le liye the.
🔻Sabse pahele toh , inhe Madinah ki sarhadon ki hifazath karni thi, aur kisi bhi shaqui harkaton ka jayzaa aur malumaath, khufiya tareekhe se haasil karni thi.
🔻Dusra, yeh ke woh Makkah ke karobari caravanon par hamla karna tha, jo inki jaghe se hote hue guzarte the. Bahuth saare Muslims ko zabardasti majboor kiya gaya ki woh , apni zaydaad aur milikiyath, dono Makkah mein chod de, agar woh hijrath ke liye Madinah jana chahte the. Muslims ko izazat ata ki gayi ke woh Quraysh ki maali tareekhe se dekhbhaal kiye gaye caravanon par hamla kare.
🔻Theesra, unhe yeh zimmedaari di gayi ke, woh Madinah ke bahari qabilon se maheda kare. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko zaruri laga ki , unhe in qabilon se ache rishtey banaaye rakne hai taake yeh log Quraysh se jakar milkar unke khilaaf na ho jaaye.
🔻Akhri mein, in fouji jamaathon ko yeh bhi zimmedari di gayi ke, woh saare Arab mein Islam ke paigam ko pahunchaaye.
🍁Pahela Sariyya( singular form of Saraya) jo, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne rawana kiya, uska naam Sariyya Saif Al-Bahr rakha gaya. Yeh Sariyya Ramadan ke mahine mein, 1A.H.,( pahela saal jab Rasool ( SalAllahu alahi wa sallam) Madina ki hijrath ki, use hijr kahte hai.) mein rawana hua. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke chachajaan Hamzah bin Abdul Muttalib (R.A) , apne 30 saathi Muhaajireen ke saath , is Pahele Saraya ke sippe salar the aur muhimaath mein rehnumaayi ki. Aap sab Red Sea ke saahili elakhon ki taraf, Ais ki sarhadon ki taraf badhe , aur inhe ek caravan ka saamna hua , jo Abu Jahl ki sarparasthi mein tha, aur jo Syria s3 wapas ho raha tha.
🍁Yeh do jamaathon ke beech jung chidnewali hi thi, lekin Majdi bin Amr Jahni ne dono ke beech sulah karadi aur jung hone se rok diya. Islami tareeq mein yeh pahela Sariyya tha. Muslims , safed parcham ke neeche sawaar karte the(pahela parcham jo Muslims ne istemaal kiya) , jise Abu Marthad bin Haseen Ghanwi (R.A) ne banaya. Agle aane wale mahinon mein , Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne ek ke baad ek , kai Saraya rawana kiye. Abu Ubaydah bin Harith(R.A) ki rehnumayi mein 60 Muhaajireen , Batn Rabi ki taraf rawana hue.
🍁Woh log ka , Abu Sufyan aur do sau (200) Makkawalon se saamna hua. Dono taraf se theeren chalayi gayi lekin dono mein koi ladai nahi hui. Sa’d bin Abi Waqqas (R.A) ki rehnumaayi mein bees(20) Muhaajireen ko Rabigh jo Kharar ke paas tha , wahan rawana kiya gaya, lekin saare log wapad laute bina koi jung kiye. Phir Safar ke mahine aur 2 A H, mein paheli baar Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) khud jung ke liye rawana hue, apne sattar(70) Muhaajireen ke saath. Aap log ne Abwa ya Wadan ki taraf safar tay kiya, lekin is baar bhi aap log ko kisi bhi dushman ka sammna na karna pada.
🍁Bahrehaal, is safar je dauran hi , Rasool (Sal Allahu alaihi wa salkam) ne Amr bin Makhshi al Dhamri se aman aur saath dene ka ahad ka maheda mukammal kiya. Agle mahine, (Rabi’ Al-Awwal, 2 A.H) mein, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne kuch aadmiyon ki jamaath lekar Radwi ki sarhad, Buwat ki taraf bade. Usi mahine mein , Kurz bin Jabir Al-Fihri ne Muslims ke charte hue mowayshi ko tahas nahas(barbaad) kiya. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne sattar(70) Muhaajireen ko jama kiya aur Badr ki sarhad Safwan tak peecha kiya. Is muhim ko Badr ki paheli Jung kaha jata hai.
🍁 Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne 150 se 200 fauji Muhaajireen ko lekar , Jamad Al-Awwal ya phir Jamad Al-Thani ke mahine , 2.A.H mein Dhul Ashira gaye ek caravan ka saamna karne ke liye jo Syria ko jaa raha tha, lekin Aap log pahunchne se pahele hi woh caravan wahan se guzar gaya. Is safar ke dauran Aap ne Banu Madlaj se gair charhaai ka maheda mukammal kiya.
🍁Aur Apne fouji aadmi ko jung karne ki mahirath haasil karane ke liye, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne Abdullah bin Jahsh Asadi ko barah(12) Muhaajireen ke saath , Rajab ,2 A.H mein Nakhlah (elakha jo Makkah aur Taif ke beech hai) bheja. Unlog ja maqsad yeh tha ki woh Quraysh ki maali madad kiye hue caravan ki jaankaari haasil karey. Abdullah ke aadmi , caravan par hamla kiye aur ek ka qatl kar diya. Woh log do(2) ko giraftaar kiya, aur Madinah ko bandhi bana kar le aaye. Jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko teh baat malum hui, Aap bahuth naraaz hue.
🍁Aap ne bandiyon ko azaad kiya aur maqtool ke gharwalon ko muhafzaa ada kiya. Quraysh ne is baat ka zor se inkaar kiya aur ehtejaaj karne lage, kyun ki yeh hadsa Rajab mein hua, jo ‘ahtraam karnewala mahina ‘hai jis darmiyaan jung ya ladaai karna haram hai. Allah(swt) ne , Muslims ke yeh hamle ka bayan karte hue Qur’an mein yeh ayaah naazil farmaayi:-
📖” Unlog ne tumse ahtraam karnewale mahine mein jung ke baat puchi hai, kaho: In mahinon mein jung karna , bahuth bada gunah hai, lekin logon ko Allah ki raah par chalne se mana karna, Us par Imaan na lana, Baitul muqaddas mein aane se mana karna aur logon ko apne gharon se nikaalna, Allah(swt) ki nazron mein aur bhi bada gunah hai. Zulm aur badamani ,qatl se zyada kharab hai.”📌(2:217)
🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁
TO BE CONTINUED……
END OF PART 83….