SABAQ 82

🌹Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌹
🌹SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO:-8⃣2⃣ 📚
🌹SABAQ:-
🔻Islamic markazah (continued) 
🔻Quraysh ka Muslims ke natije ka imtihaan lena.
🔻Jung karne ki Izazath.
✨ISLAMIC MARKAZAH✨
          (Continued) 
🌹Bahuth saare log Islam qubool  kar liye, aur woh jo apne mazhab ko chodna na chahte , woh bhi Muslim ke hukumath  mein aman aur sukoon se rahne lage. Lekin , kuch dusre log aise the, jo na Islam mein dilchaspi rakte the, aur naahi aman aur sukoon ke saath rahna pasand karte the. Un mein se kuch Muslim ho gaye, taake ander hi ander Islam ko kamzor bana sake. Un log ko baad mein Munafeeq ( farebi, riayakar) kaha gaya. Un ka sardar tha, Abdullah bin Ubayy,aur kuch mukhalifana gair muslim ghero ke saath , yeh log Madinah ki hifazath  ke liye bahuth bada khatra nazar  aa rahe the. 
✨QURAYSH KA MUSLIMS KE NATIJE KA IMTIHAAN LENA ✨
🌹Madine ki hifazath  aur aman aur sukoon ke liye,  Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) ke hazaron koshishon, aur ehtiyath ke bawjuud, Quraysh , Madinah ke shaher ko tabah karne ka pakka irada bana liya. Quraysh ne Madinah ke Mushrikeen ko khabar bheji, yeh hukum dete hue ki , woh Muslims ko shaher se bhagaye. Agar mushrikeen ne Quraysh ki madad karne se inkaar kiya, toh Quraysh unhe dhamki dene lage ki woh unke bacchon ka qatl karenge aur unki auraton ko giraftaar karenge.
🌹Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko is dhamkiyon ke baare mein pata chala, aur Aap ne mushrikeen ko yaqeen dilaya ke woh Quraysh ke is mazbuth hathkandon ke saamne na jhuke.  Quraysh ko is baat ka pata chala, aur dekha ki unki baat ulti pad gayi. In log ki mayusi aur gussa khule aam dikhayi diya , jab Sa’d bin Mu’adh (R.A) , Umrah ke liye Makkah gaye. Jab aap Abu Safwan Umayya bin Khalaf ke saath  Ka’bah ka tawaaf kar rahe the, aap ki mulaqaath Abu Jahl se hui. 
🌹Abu Jahl ne  pehchaan liya ki aap Madinah ke rehnewale hai aur Muslim ho gaye hain aur aap se mukhalif ho kar kahne laga:
👉🏻”Toh acha, tumhe Makkah mein mehfuz dikhraha hai, jabke tum ne bedeen ko apne shaher mein panah di hai. Khuda ki kasam , agar tum Abu Safwan ke saath na hote, toh tum sahi salamath wapas na jaate.”
🌹Abu Jahl ki yeh dhamki , yeh ishara karti hai ki Quraysh , muslims ko Ka’bah aane se, aur yahan par apne hajj ke ahkaamon ko pura karne se rokna chahte hai. Aur is baat ka bhi ishara karti hai ki woh nihathey  muslims ka bhi qatl karne ke liye tayar hai. Madinah ke yahudi bhi , Muslims je liye dusri taraf se khatra ban chuke the. Woh apna purana khel, do qabile , Aus aur Khazraj ke beech ki dushmani ko lekar khel rahe the, is umeed pe ki in dono ke beech ki aag , inhe rahath pahunchayegi. Ubharte hui Muslim markazhe ko andar aur bahar dono taraf se khatron ka saamna karna pad raha tha. Khoonbhane ka khatra itna bad chuka tha ki , Muslims , raat mein sote waqt apne sirhaane   hathyaar lekar sone lage.
🌹Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ko bhi hathyaar liye  hue bodyguards hifazath kar rahe the , jab tak ke yeh ayah naazil na hui:
📖” Allah(swt) , tumhe  insaanon  se  hifazath farmayega.” 📌(5: 67)
✨JUNG KARNE KI     
         IZAZAT ✨
🌹Ab tak ke, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) Muslims ko samjhate rahe ki , woh beizzati aur tanakasi khamoshi se sehte rahe. Lekin, ab Muslims ki taqat bad chuki thi. Yeh nayi Muslims ki ehmiyath aur taqath , dushmanon mein aur khatarnaak waswasey paida kardiye. Akhirkaar, Allah(swt) ne izazat bakshi, ke Muslims , un par zulm aur sitam karnewalon se jung  karey, aur baad  mein yeh izazath  unpar farz ban gaya.  Is baat ki izazat bhi hisson mein di gayi.
🌹Pahele , Muslims ko Quraysh ke khilaaf jung ki izazath di gayi , kyun ke woh pahele the, jo Muslims par Makkah mein zulm aur sitam kiya karte the. Muslims ko unka maal zabth karne ko diya gaya, lekin un qabilon ka nahi jo unke saath aman rakha karte the. Phir Muslims ko un qabilon aur mushrikeen (budhparasthon) se jung karne ki izazat di gayi, jo Quraysh ka saath diya karte the, ya phir koi aur mushrikeen qabilon ka , jo Muslims par zulm  karte the. Baad mein, Muslims ko izazat di gayi , koi bhi yahudi qabile se jung karne ki , jo spna ahadnama , Muslims ke saath rad kar diya ho, juski wajeh se dono  ke beech ka maheda khud ba khud rad ho jata hai.
🌹Uske baad, Muslims ko ‘kitab-e-elahi’ke log , isaayi aur yahudi se jung ki izazat di gayi, agar woh Muslims par zulm aur sitam karte ho toh. Agar , yeh log apne aapko ko supurd kar dete hai, aur Jiziyah tax dete hai, toh Muslims inke saath jung nahi karenge. Akhirkaar, Muslims ko mushrikeen se aman karni chahiye, agar koi Yahudi ya  Isaayi , Islam qubool karte ho, aur inke maal aur haq ki hifazath aur ehtraam karni chahiye.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
TO BE CONTINUED……..
END OF PART 82…….

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s