🌻Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌻
🌻SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO:- 8⃣1⃣ 📚
🌻 SABAQ:-
🔻Islamic markaz(samaj)
✨ ISLAMIC MARKAZ ✨
(Samaj)
🌻 Hijrath kiye hue logon mein aur unke mezbaan khandan(Ansaar) ke beech ka bhaichaara, wahan ke markaz mein itna ghera aur mazbuth rishtey khayam kiya , jise Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne aur mazbuth kiya, sabke liye , ek jaise zaabta -e-aqhlaaq(code of conduct) khayam karke. Lekin , Madinah aur do(2) qabilon ka bhi thikana tha, mushrikeen , jo Islam nahi qubool kiya aur yahudiyon ka qabila.
🌻Makkah mein jis tarah ke muqalifaath hua karte the, waise muqalifaath ko Madinah mein rokne ke liye, Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) ne, in dono qabilon se ahad kiya. Us ahad ke dastawez mein yeh points shaamil kiye gaye:-
🔻”Ansaar aur koi aur qabile, jinhone , yeh ahad par unlog ke saath dastakhath kiye hai, woh sab ek alag Ummah (nation)”
🔻Qisas(blood money aur ransom) ka ada karna aur qaidiyon ka reha karna, Muslims aur unlog ke beech, pahele ki tarah hi amal mein laya jayega, aur do(2) qair muslim qabile , muslims ko qisas ke maamle mein madad karenge.
🔻Yeh theenon(3) Madinah ke qabile, ek saath honge, mujrimon, baagiyon aur mukhalifana dushmanon ke khilaaf ladne mein , haalanke yeh log apne khandan ya aulaadon mein se kyun na ho.
🔻Koi muslim , qair -Muslim ki madad ke liye, dusre muslim ka qatl nahi kar sakta, naahi woh koi muslim ke khilaaf , qair -muslim ki madad kar sakta.
🔻Allah(swt) ki taraf farayez
saare Muslims ko ek jaise hai, aur saara islami markaz , zimmedaar hoga agar yeh farayez pure karne mein agar ek bhi insaan (muslim) apni zimmedaari nibhaane mein naa kaam hoga.
🔻Yahudi mein se jisne bhi Islam qubool kiya,unse muslim ki tarah bartaaw kiya jayega.
🔻Maal saara Muslims mein ek jaisa bata jayega.
🔻Jo koi jaan booj ke Muslim ka qatl karta ho, use qatl kiya jayega, lekin agar mazloom ka khandan use maaf kar diya toh use maaf kar diya jayega. Muslim par yeh wajib hai ki, woh us qatil insaan ke khilaaf khada rahe.
🔻Muslims ke liye , yeh Shariyah ke khilaaf hai, ki woh Muslims mein apas mein naitefaaqi paida karey aur koi Islami shariyaah aur farayez ko tabdeel karey.
🔻Allah(swt) aur Uske Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , faislaa karenge agar yeh theen(3) markazon mein koi muqalifath paida hogi.
🔻Yeh ahad Muslims ke liye , ek nayi shuraath saabit hui. Yeh sab saare ,ek hi ahad mein baandey gaye the, aur aage ke takreebaath ke raaston mein, yeh ektha, bhaichaara aur miljhul kar rehna jo yeh ahad ne beenj boye aur phul ugaaye the , bahuth kaam aanewala hai. Aur agar Muslims ka muqaam, qair muslims ke muqable dekha gaya toh yeh saabith hua ke Muslims , apne aap ke ahekaam muqarar karne mein qabile taqath rakte hai. Mushrikeen ko yeh pata chal gaya ki , woh Muslims ki hukumath ki khilafath nahi kar payenge.
🌻 Madinah ke bahuth saare qabile ke sardar aur naamcheen log Muslim ho chuke the, aur koi aise qabil log nahi the , jo khule aam Islam ki khilafath kar sake. Yeh jaan kar Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) mutmayeen hona chahte the ki, qair Muslims , jo nayi hukumi tabdeeli se nakhush hokar Makkah ki taraf madad ke liye bade. Aap ne qair Muslims ko yeh baaton par raazi kar liya:-
🔻”Hum Quraysh ko sahara nahi denge,nahi hum kisi Muslim ki madad aur hifazath karne se inkaar karenge.”
🌻Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) ne ek alag maheda kiya Muslims aur Yahudiyon ke beech:-
🔻Yahudi aur Muslims dono alag rahenge ,alag ummathon ki tarah, har ek apne khud ki marzi mutabiq zindagi basar karenge, aur har ek apni khud ke maali maamle khud dekhrekh karenge.
🔻Dono saath milkar , shaher ki hifazath karenge, aur apne apne logon ki khud hifazath karenge.
🔻Dono ummathen, apas mein milkar aman khayam rakhenge, aur ek dusre ke maamle mein dakhal nahi denge ya ek dusre ko neecha nahi karenge.
🔻Dono hukumathen ek dusre ke galthiyon ke zimmedaar nahi honge.
🔻 Mazloomon ko madad aur support karenge.
🔻Dono hukumaten, jung ka kharcha uthayenge.
🔻Baghawath aur bina baat ke khoon kharab karna dono hukumaton ke liye qair khanooni hoga.
🔻Saare muqalifaaten Allah(swt) aur Uske Rasool ki taraf tawajju kiya jayega.
🔻Quraysh aur unke saath denewalon ke liye koi madad ya panah nahi di jayegi.
🔻Yeh ahad ya maheda galath karnewalon ko aur mujrimon ki koi hifazath nahi karega.
🌻Yeh ahad Madinah ke theenon markazon ko mila diya aur Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) ko bina koi bahez ke Ummath ka Sardaar chun liya gaya.Ek baar jab har koi haq aur zimmedaariyon ko samaj gaye, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) baqi ke dono markazon ko Islam ki dawat dete rahe.
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
TO BE CONTINUED……..
END OF PART 81…….