🌹Assalamu alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🌹
🌹SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON:NO 8⃣0⃣ 📚
🌹SABAQ:-
🔻Ibadath ke liye dawath dena.
🔻Muhaajireen aur Ansaar ke beech bhaichaara
✨IBADATH KE LIYE DAWATH DENA ✨
🌹 Akhirkaar,Muslims ko apne khud ka ek ibadath ghar ho gaya. Ab unhe chupke jama hone ki koi zarurat nahi hai, jaise woh sab Makkah mein Bait Al-Arqam mein chupke jama hua karte the. Madinah mein , yeh sab paanch(5) waqt ki namaz , jamaath ke saath Masjid -e-Nabawi mein padhna shuru kiya. Bada masla yeh tha ke logon ko pata nahi tha ki kaunsi namaz kab shuru hoti hai. Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam), apne sahabiyon se, yeh masle ko hal karne mein salah (raay) puchi.
🌹Kuch logon ne kaha ki shank phuki jaaye. Umar, (R.A) jo hamesha seedhi baat karte the, ne izhaar kiya ki kisi ko awaaz se ibadath ki dawath dene ke liye muqarar kiya jaaye.
👉🏻” Ibadath ka waqt ho gaya hai!” Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ko yeh tajveez pasand aayi. Baad mein , behrehaal, Abdullah bin Zayd bin Abdu Rabb Al-Ansari (R.A) ko khawaab dekhayi diya jis mein aap ne khubsurat ibadath ki dawath ke liye alfaaz sune.
🌹Unhone, apna khawaab , Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) se zikr kiya, Aap samaj gaye ki yeh khawaab ko pura karna hai. Aap ne Abdullah(R.A) ko yeh alfaaz Bilaal bin Rabah(R.A)ko seekhane ke liye kaha, jiski awaaz bahuth hi khubsurat aur buland thi. Bilaal(R.A) ne yeh alfaaz seekh liye, aur Madinah ke Muslims ko awaaz di:
🔸Allahu Akbar(Allah sabse bada hai)
🔸Allahu Akbar(Allah sabse bada hai)
🔸Main gawaahi (Shahadath) deta hun , Allah ke siwa koi ibadath ke qaabil nahi.
🔸Main gawaahi (shahadath) deta hun , Muhammad(SalAllahu alaihiwa sallam) Allah ke Rasool hai.
🔸Namaz ke liye aao!
🔸Namaz ke liye Aao!
🔸Bhalayi(kaamyaabi) ki taraf aao!
🔸Bhalayi(kaamtaabi) ki taraf aao!
🔸Allah ke siwa koi mabood nahi !
🌹Jab Umar(R.A) ne yeh nayi Adhaan suni , aap jaldi jaldi masjid aayw aur kaha, “Khuda ki kasam, maine yeh adhaan khawaab mein suna,” Us din ke baad, Muslims , jab bhi Bilal(R A) ki yeh adhaan sunte, namaz ke liye masjid mein jama ho jaate.
✨MUHAAJIREEN AUR ANSAAR KE DARMIYAAN BHAICHAARA ✨
🌹Ansaar ek dusre se aage bad bad kar , Muhaajireen ki madad kiya karte the, taake woh Madinah mein itminaan mehsus kare aur aapne aap ko aur apni cheezon ko badh badhkar , unke saamne rakte. Unki yeh saqawath ka zikr Quran ke is ayaah mein hai:
📖 ” (Aur un logon ke liye bhi yaane Ansaar) jo Muhaajireen se pahele ( hijrath ke) ghar(yaane Madinah) mein muqeem the aur imaan mein( mushtamil) rahe(aur) jo log hijrath karke in ke paas aate hain, inse mohabbat karte hain aur jo kuch inko mila, is se apne dil mein kuch khawaish (aur khalish) nahi paate aur inko apni jaano se maqdam rakte hain, haalanke inko khud ehtijaath(zaruratmand) ho; Aur jo shaks nafs se bacha liya gaya, aise hi log muraad paane walon mein hai.”📌(59:9)
🌹Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ne madad ki painthaalis(45) muhaajireen aur Ansaar ke darmiyaan , ghere rishte qayam karne ki, ek ek muhaajireen ko , Ansaar ke ek ek khandaan mein takseem karke. Ek ek muhaajireen , ab us khandaan ka shaks hai , jise kgandaan mein use muqarar kiya gaya. Woh log sab apas mein apne pareshaani aur takleef ke hissedaar the aur unhe unki zaydaad mein bhi waaris bana diya gaya. Baad mein , unke virasath ki izzazat ko rad kar diya gaya, Qur’an ki ayah ke jaanib se, jis mein virasath sirf khoon ke rishton tak simith thi.
🌹Bhaichaara jo Ansaar aur Muhaajireen ke darmiyaan tha, koi upari rishta nahi tha, jo yeh Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke kahne par nibhaye jaa rahe the, balki yeh bahuth hi ghere rishte the, jo aaj hum nahi dekh sakte hain. Ansaar ko apni zimmedaari ka ehsaas , apne hijrath kiye hue Makkah ke bhaiyon par itna tha,ki ek baar aap sab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ke paas gaye aur apni aadhe khajur ke bageechon ko Muhaajireen ke liye pesh kiya. Jab Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ne unhe aisa karne se mana kiya, toh unlogon ne ek dusri tajveez pesh ki:
👉🏻” Muhaajireen , in khajur ke baaghechon mein kuch kaam kare aur munaafe mein se hissa paaye,” Rasool(SalAllahu alaihi wa sallam) in teh baat maanli.
🌹Sa’d bin Rabi’a , ek ameer Ansaari ( zyada log Ansaar) the. Inke saath , hijrath ki hue Abdul Rahman bin Auf se shaamil kiya gaya. Sa’d ne inhe na sirf apne zaydaad ka aadha hissa diya balki inhe apne do biwiyon mein se ek ko aap ke liye pesh kiya. “Meri do biwiyan hai,” unhone kaha, ” Aap mujhe bataye ki aapko kaun pasand hai, main unhe talakh de dunga , taake aap unse shaadi kar sake.”
🌹Abdul Rahman ne, unki saqawath ka faydaah nahi uthaya. ” Allah( swt) aapke ahle ayaal par aur aapke cheezon par barkaat aur rahmath farmaaye! Bus aap mujhe bazar kahan hai bata dijiye!” Bahuth saare Makkah waalon ki tarah aap bhi ek hunarwaale taajir the, aur jald hi woh bazar mein karobar karke, aapne aap ko sambhaal liya. Kuch din baad hi, apne Ansaar ki ek aurat se nikah kar liya.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
TO BE CONTINUED…….
END OF PART 80………..