🍁Assalamu alaikum wa Rahmatullahi Wa Barakaatuhu 🍁
🍁SEERAH OF MUHAMMAD
(SalAllahu alaihi wa sallam)
📚 LESSON NO : 7⃣9⃣ 📚
🍁 SABAQ:-
🔻Makkah mein Muslims
🔻Madinah mein mushkilaath
🔻Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ki Masjid.
✨MAKKAH MEIN
MUSLIMS ✨
🍁Makkah ke saare muslims , azaad hone mein aur hijrath karne mein kaamyaab nahi rahe. Makkahwaale gareeb Muslims ki laachaari par khush hote rahe aur unpar zulm aur sitam karte rahe, taake woh phir se apna purana deen wapas qubool karle. Waleed bin Waleed(R.A) Ayash bin Abi Rabi’a(R.A) aur Hisham bin Aas(R.A) is badkismath jamaath mein shaamil the.
🍁Madinah mein, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) inlog ke liye dua karte rahe aur Mushrikeen ke haq mein bhi dua karte rahe , jo inlogon ko rok rakhe the. Muslims sabr ikthiyaar kare, akhirkaar, inhe inke momeen bhaiyon ne bacha liya aur Madinah le chale gaye.
✨MADINAH MEIN
MUSHKILAATH ✨
🍁 Haalanke, hijrath kiye hue log , mushrikeen se azaadi milne par khush the,lekin Madinah mein guzara karne ke liye, unhe bahuth si mushkilaath ka saamna karna pad raha tha. Woh peeche apne ghar, milkiyath aur saare cheezen chod aaye the, aur ab unhe ek nayi shuruaath phir se karni thi. Bahuth saare log karobari the (taajeer ) , jab ke Madinah mein ahem karobaar ya pesha , khajur ki kaashth kaari thi. Iske alawa, naye log ko wahan ka mausam nahi suit ho raha tha, bahuth saare log bukhaar se bemaar ho rahe the.
🍁Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , bakhubi in Muhaajireen ke takleef aur pareshaaniyon se achi tarah waqif the, aur Aap ne , inlogon ki haq mein yeh dua ki:
🙌 “Aye Allah(swt) ! Madinah ko bhi hamare liye , itna aziz banade , jitna aziz hamare liye Makkah hai,
Ya usse bhi zyada aziz! Iske mausam ko saheth mand banade aur yahan ke phal aur anaaj mein barkath ata farma!”
🍁Allah(swt) ne Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) ki dua qubool farmaayi. Muhaajeerin sahethmand hone lage, aur Madinah se mohabbat karna shuru kiya. Jaise hi woh , apne aap ko Madinah mein masruf karne lage aur logon se apne rishte banane lage , unhe yeh shaher apna ghar jaisa lagne lagaa.
✨RASOOL (SalAllahu alaihi wa sallam) KI MASJID ✨
🍁Jaise hi Madinah pahunche, Rasool (SalAllahu alaihi wa sallam) , pahela Muslim riyasath tameer karna ejaad kiya. Pahele , Aap ne Masjid tameer karni shuru ki. Aap ne us zameen ko khareeda, jahan Aap ki untni ne baita tha, lagbhag , lambayi aur chuadayi mein 100 gaz thi. Us zameen par , kuch qabr thi, jise wahan se nikaalna pada, aur kuch khajur ke darkahth nikaalkar phir se lagane pade.
🍁Masjid ki deewaren mitti aur bina batti mein tayar kiye eenton se banayi gayi, uska chath khajur ke darakhth ke shaaqon se banaayi gayi, aur darakhth ke tane columns (pillars) ki tarah tehraya gaya.Reth aur kankari ko floor par phelaya gaya. Masjid ke theen darwaaze the, aur Qiblah( dewaar mein ek taaq , jahan par namaz padhane wale imaam tehrthe hai) , Bait Al -Maqdis(Sulaimaan(alaihi sallam ki Jerusalem mein ibaadat gaah) ki rukh ki taraf banaya gaya.
🍁Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) bhi Muhaajireen aur Ansaar(Madinah ke Muslims) ke saath , Masjid banane ke kaam mein , khud bhi kaam kiya karte the. Jab sab log eenten, patheren aur darakhth ke tane, uthaya karte the, tab sab milkar kaam ke nasheed gungunaya karte the, taake woh kaam se na thake. Masjid ke paas hi , do hujrath
banaye gaye, Rasool ( SalAllahu alaihi wa sallam) ke zoja , Saudah bint Zam’a(R.A) aur Aishah bint Abu Bakr(R.A) jisse Aap Madinah aate hi nikaah kiya. Yeh hujrath pathar , mitti aur khajur ke darakhth se banwaaye gaye.
🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁
TO BE CONTINUED……….
END OF PART 79……..